4. Roka ki Tayyari Shuru Karo!

Start from the beginning
                                    

  "Koi baat nahi, main kisi aur se puchh lunga."

  "Suno." Bela Veer ko rokti hai. "Uhh..."

  "Veer, Veer Mehrotra."

  "Veer, hamein tumse ek baat puchhni hai."

  "Haan, puchhiye."

  "Ham aunty lagte hain kya?"

  "Aunty? Aapko aisa kyun lagta hai?"

  "Tum hamse pehli baar mile ho, par hamein 'di' bula rahe ho. Ham budhi lagte hain isiliye hamein di bula rahe ho?"

  "Aap bohot sochte ho. Aarohi aapko 'di' bulati hai aur meri aur Aarohi ki age same hai to main bhi aapko 'di' hi bulanga na."

  "Achha, tab theek hai. Ham to..."

  "Chill, Bela di. Itna mat socho. Shaadi ke ghar mein aaye ho, aap bas relax karo."

---☆---

  "Bela di, mujhse aapse baat karni hai. Agle hafte mera roka hai aur-"

  "Us bacchi ji jaan logi kya? Dheeraj rakho, Aarohi. Ham sab aram se baith kar baat karenge kya kaise hone wala hai." Dadi bolti hai.

  "Dadi, main to bas-"

  "Samajh sakti hoon tumhari utsukta. Meri bhi shaadi hui hai. Par tumhe bas aram karna hai, baki ka sab kaam karne ke liye ham hain."

  "Main bas chahti hoon ki sab kuchh achhe se ho."

  "Aap chinta mat kariye. Sab kaam achhe se hoga. Aap bas aram kariye aur enjoy kijiye."

---☆---

  Raat mein dinner karne ke bad Dadi, Kunal, Ansh, Veer aur Aarohi living room mein baithte hain aane wale roke ki tayyari ke baare mein baat karne ke liye.

  "Ek hafte mein Kunal ka roka hai. Jia, puttar, tu list banati ja. Puja ki samagri pandit ji se baat karke mangwana hai. Shagun ka saman ke bare mein ek baar Sonia se baat kar lena. Khane ke menu, welcome drinks vagaira ke bare mein Ansh se baat karlo."

  "Nahi dadi, aapne galat kaha. Drinks ki responsibility meri."

  "Responsibility ka matlab bhi janta hai?" Kunal Veer ko chidhata hai.

  "Mujhe drinks ke baare mein kafi pata hai." Veer aankh marta hai.

  Anshuman Veer ko tapli marta hai. "Welcome drinks, gadhe. Non- alcoholic."

  "Uski chinta tum mat karo. Veer will handle it. Jia, aapko drinks ke bare mein jo bhi puchhna ho aap mere paas aa sakti hain. In fact, aapko jo bhi chahiye ho mujhse puchh lijiyega. Is ghar mein mere bina koi kaam hota hi kahan hai."

  "Phir shuru ho gaya ye." Anshuman Kunal se kehta hai.

  "Rukta hi kab hai?"

  "Dadi, khane aur drinks ke liye Ansh bhaiya se puchhna hai. Samajh gayi. Aur decorators ko bhi hire karna hai, to aap theme select karke bata dijiyega aur uske hisab se booking and order ho jayega." Shaivi likhte hue bolti hai.

  "Ek minute, abhi to maine kaha, drinks main sambhal raha hoon. To drinks ki zimmedari meri. In fact, main khud apna special punch banaunga."

  "No special punch!" Anshuman aur Kunal saath mein bolte hain aur Veer pout karta hai.

  "Shaivi, tum Veer ka naam likh do," Kunal kehta hai.

  "Ji sir." Shaivi notes banate jati hai jaise jaise Jia aur Dadi discuss karte hain. Neha catalogue ke saath baithkar Aarohi aur Veer ko options dikhati hai.

  "Yeh to ho gaya Kunal ka roka. Ab kal ham Aarhoi ke roke ke baare mein bhi baat kar lenge. Aap sab jakar so jaiye, kal tayyari shuru kar deni hai." Dadi Jia, Neha aur Shaivi se kehti hai. "Tum teeno bhi so jao."

  Teeno bhai upar chale jate hain par apne kamre mein koi nahi jata. Sab Kunal ke room mein jaate hain aur poolside pe rakhe sofe pe baith jate hain.

  "It's finally happening."

  "Mujhe to pata hi tha. Aapne dekha Neha kitna smile kar rahi thi mujhe dekh kar."

  "Gadhe, Kunal apni aur Maan ke roke ke bare mein baat kar raha hai. Aur please, tu un wedding planners ke saath flirt karna mat kiya kar."

  "Veer hoon main, main ladkiyon ke pichhe nahi, ladkiyan mere pichhe bhagti hai. Aur main kisi ladki ko kabhi naraz nahi karta."

  "Kunal, are you sure?"

  "Kis baare mein?" Kunal puchhta hai.

  "Ansh aapki aur Maan ki shaadi ke bare mein baat kar raha hai."

  "Ansh, we've had this conversation."

  "I know, Kunal, par uske bare mein kuchh sahi nahi lag raha."

  "Ham sab Maan ko bachpan se jante hain."

  "Nahi Kunal, ham use utne achhe se bhi nahi jante. Tum dono 7 saal se date kar rahe ho, aur usme se bhi 4 saal tak wo abroad thi. Suddenly, as soon as she returns, tum log shaadi kar rahe ho. Yeh bohot jald baazi mein nahi ho raha?"

  "Relax, Ansh, don't overthink it."

  "Ansh apni wali ko trust nahi karta, aapki wali ko kya trust karega?"

  "Aisi baat nahi hai. I trust Radhika."

  "Achha? To abhi tak propose kyun nahi kiya?" Veer puchhta hai.

  "Because, it's not in our plan right now. Ham jald baazi mein-"

  "Jald baazi nahi hai, Ansh. Tujhe aur Radhika ko 3 saal ho gaye. Ham interfere nahi kar rahe hain, but she wants to settle."

  "Abhi time sahi nahi hai. Tumhari shaadi ho rahi hai to tumhare badle mujhe company sambhalna hoga. Agar main bhi shaadi kar loon to office kaun dekhega? Veer bhi to help nahi karega."

  "Karna bhi nahi chahta hoon," Veer kehta hai. "Aap dono hi karo ye sab boring kaam. Main jo karta hoon usme hi khush hoon. Aur Ansh bahane maar raha hai."

  "Ansh, ham tumhe bachpan se jante hain, bhai hai ham. Ham jante hain problem kya hai, par tu manne ko tayyar nahi hai."

  "Kunal bhaiya sahi keh rahe hain. Past mein jo hua usse bohot affect hue ho aur ab tum commit karna nahi chahte."

  "Aur tu waisa nahi hai? Har dusre din koi nayi ladki hoti hai tere paas. At least mera stable relationship to hai." Ansh topic divert karne ke liye kehta hai.

  "Kya, mere taraf kyun dekh rahe ho dono?" Veer kehta hai.

  "Tum mano ya na mano, tum dono ki same problem hai par koi manne ko tayyar nahi. Par ek din tum dono ko milegi aisi ladki jo tumhara nazariya badal degi."

  "Kaisi filmi baatein kar raha hai, Kunal? Tujhse ye umeed nahi thi."

  "Abhi tumhe yeh sari baatein filmy zaroor lag rahi ho par jald hi tum apni apni wali se yahi baat kahoge."

Uljhe DorWhere stories live. Discover now