Chapter 6

133 13 2
                                    

Y/n subha har baar toh jaldi hi uth jaati hai par kal raat ko woh der se soyi thi toh usski neend hi nahi khuli woh uthti hai par apne bagal mein noor ko nahi dekhti hai

Y/n- N-noor kahan chali gayi?

Woh jaldi se uthti hai aur hall mein aati hai par hall mein bhi koi nahi hota hai toh woh phir kitchen mein jaati hai aur dekhti hai darishta aur afsana nashta bana rahi hain

Darishta- Arre good morning y/n.

Afsana- Beta uth gayi tum good morning.

Y/n- G-good morning w-woh actually kal main thodi der mein soyi thi toh-

Afsana- Arre koi baat nahi beta ab jab se tum aayi ho tab se hi toh khud hi sab kiye jaa rahi ho aaj hum kuch karlenge toh problem hi kya hai, hai na darishta?

Darishta- Haan mummy.

Afsana- Hmm accha toh main dinning table pe plates laga ke aati hoon.

Afsana wahan se chali jaati hai

Darishta- Kya re kal bhai ne kuch......😏😏 Haan~

Y/n- Kya?

Darishta- Aye haye itni innocent mat ban....sach sach bata.

Y/n- Kya bataun behen accha woh sab chhod noor kahan hai?

Darishta- Kya yaar baat ko ghooma diya tune khair woh noor bhai ke sath hai chhat pe.

Y/n- Oh main dekhke aati hoon usse zara.

Darishta- Ok jaa.

Aur y/n kitchen se jaati hai chhat pe aur jaake dekhti hai armaan noor ke sath khel raha hai

Y/n- G-good morning.

Armaan- Hmm.

Aur y/n ko dekhke noor usske paas jaane maangti hai aur armaan noor ko y/n ko deta hai

Y/n- Umm main isse nehlane ke liye le jaati hoon.

Armaan- Thik hai.

Y/n jaane wali thi ke

Armaan- Suno.

Y/n peeche mudti hai

Y/n- Ji?

Armaan- Woh......k-kal raat ke behaviour ke liye sorry main kuch zyada hi bol gaya.

Y/n- A-ab k-koi baat nahi a-aur waise bhi s-sach hi toh kaha aapne.

Itna kehke y/n neeche chali jaati hai

Next scene

Sab nashta karne ke liye baithe hue the par armaan nahi tha

Y/n- A-armaan kahan hain?

Darishta- Kyun😏😏~

Y/n- Darishta.......

Darishta- Arre yaar mazak kar rahi hoon bhai honge woh apne room mein office ke liye taiyar ho rahe honge.

Y/n- Nashta nahi karenge woh?

Afsana- Nahi beta aaj woh kuch nahi khayega.

Y/n- Kyun?

Afsana- Woh aaj hayat ki barsi hai na.

Y/n- Oh par-

Tab hi armaan wahan aata hai

Armaan- Main chalta hoon ab bye.

Woh noor ke paas jaata hai jo ki y/n ki godh mein thi woh usske paas jaata hai aur usske forehead pe kiss karta hai

Armaan- Bye baccha papa jaldi aa jaayenge hmm and happy birthday.

Noor ussko ek cute si smile deti hai aur armaan chala jaata hai

Y/n in mind- Aaj noor ka birthday bhi hai?
Next scene

Y/n- Mummy main uss waqt kuch samjhi nahi matlab aaj ager hayat ji ki barsi hai toh armaan khana kyun nahi khayenge?

Afsana- Beta woh kya hai na ki armaan hayat se bohot pyar karta hai aur aaj ka din woh bina khaye hi bitayega khud ko aise bhukha rakh ke takleef dega (sob).

Time skip
At evening

Halanki ki aaj noor ka pehla birthday tha par usse koi khas tarike se nahi manaya gaya kyun ki aaj hayat ki bhi pehli barsi thi, armaan thoda jaldi hi ghar aa gaya tha kyun ki aaj noor ka birthday tha sab zyada acche se toh nahi par acche se hi celebrate karte hain

Armaan apne room mein tha aur y/n aati hai room mein usske liye khana leke

Y/n- Ji suniye main khana leke aayi hoon aapke liye kha lijiye subha se aapne kuch nahi khaya hai.

Armaan- Mujhe bhuk nahi hai.

Y/n- Waah ji waah subha se nahi khaya hai aapne aur keh rahe hai ke bhukh nahi hai.

Armaan- Please tum jao na mujhe nahi khana hai-

Y/n- Please na.... hayat ji ke liye please.......

Woh kuch kehta nahi hai aur chup rehta hai phir y/n jaake usske paas baithti hai

Y/n- Dekhiye aaj jo aise nahi khake rahoge toh hayat ji ko kitna bura lagega aur woh bhi aaj ke din, woh toh chahti hongi ke aap khush raho acche raho kyun ki woh aapse bohot pyar karti hain hmm aur ab ager aap hi aise rahoge toh noor ka kya hoga ya phir mummy papa darishta unka kya hoga? Please kha lijiye-

Y/n aage kuch keh paati ke armaan usse hug karta hai aur rone lagta hai

Armaan- W-woh a-(sob) ager mujh-mujhse pyar hi(sob) karti toh chhod ke kyun gayi(sob).

Y/n- Iss mein hum kya kar sakte hain ya phir woh hi kya kar sakti thi yeh allah ki marzi hai na.

Woh hug todta hai aur kehta hai

Armaan- Par-

Y/n- Dekhiye i know ke woh aapse judaa ho gayi hain aap unse judaa ho gaye ho par phir bhi dur nahi huye ho kyun ki woh aapke dil mein hain aapki dhadkan mein hai, hai na?

Armaan- (noded).

Y/n- Toh phir jaldi se khana kha lijiye nahi unhe bohot bura lagega hmm.

Armaan- Hmm.

Armaan y/n ki baat manta hai aur khana khane lagta

Armaan- T-tumne khaya?

Y/n- Uh j-ji nahi main baad mein kha lungi.

Armaan- Aise kaise abhi khud bhashan de rahi thi aur ab.....koi na muh kholo.

Y/n- Aap khaiye na main kha lungi-

Armaan- Aaa karo.....

Phir y/n muh kholti hai aur khane hi wali thi ke

Darishta- Aap dono jaldi chalo noor ko kuch ho gaya hai!!

Armaan, y/n- Kya?!!

To be continue

Pehle toh sorry sorry ke maine bohot time laga diya update karne mein par main kya hi karti pehla toh mujhe kuch sujh nahi raha tha aur doosra time hi nahi mil raha tha aaj jab dono hi mila toh maine kar diya

Bye bye❤️❤️☺️

FanaaWhere stories live. Discover now