Woh Baat Nahin...

64 6 8
                                    

Aisa nahi k ab yaad nahi aati aapki,
Par ab yaad mai woh baat nahin,
Pehle jaise humare aapke liye jazbaat nahi,
Waqt toh guzar gaya, hum bhi aage badh gaye, tum bhi aage badh gaye...
Par woh khushnuma pal aaj bhi dil ko choo jaate hai, aur kabhi kabhi aapki yaad bhi dila jate hai...
Par kya kare, ab yaad mai woh baat nahi..
Pehle jaise humare aapke liye jazbaat nahi..
Tab yeh dil chahta tha, Yeh raahein na ho judda..
Aaj dil yeh dua karta hai, humari raahein na takraye kabhi..
Kyuki agar yeh raahein takra gayi, toh shayad khudko hum sambhal na paaye, phirse aapse dur jaa na paaye...
Aisa nahi k ab yaad nahi aati aapki..
Par ab yaad mai woh baat nahi..
Pehle jaise humare aapke liye jazbaat nahi..
Kareeb toh kabhi na aaye hum.. Par aap humare sabse kareeb the.. Phir waqt ka paiya yun chala k kareeb na hote hue bhi door ho gaye..
Aisa nahi k ab yaad nahi aati aapki...
Par ab yaad mai woh baat nahi...
Pehle jaise humare aapke liye jazbaat nahi..
Ab na raahon ka milna hoga aur na humara takarna hoga...
Ab na raahon ka milna hoga aur na humara takarna hoga...
Aur na teri unn aankhon mai humara dhoob jaana hoga...
Aisa nahi k ab tum yaad nahi aate..
Aisa nahi k ab tum yaad nahi aate...
Aisa bhi nahi k hum unn aankhon mai dhoobna nahi chahte..
Baat bas itni si hai k agar iss baar hum jo doobe unn ankhon mai, hum hum na rahenge...
Hum jo doobe unn ankhon mai, hum hum na rahenge,
Aur khudko khoneke ab hum mai woh taqat nahi....
Aisa nahi k ab yaad nahi aati aapki...
Par ab yaad mai woh baat nahin..
Pehle jaise aapke liye humare jazbaat nahi...
Naa koi gila hai, na koi shiqwa hai aapse..
Par kya kare, shayad bachpane mai hi sahi jo umeed aapse rakhi thi humne...
Jo umeed aapse rakhi thi humne, uska tootna hume yun bikher gaya, k bas ab koi umeed hi nahi rakh paate..
Aisa nahi k ab yaad nahi aati aapki..
Par ab yaad mai woh baat nahin..
Pehle jaise aapke liye humare jazbaat nahin...

----------------------------------------------------
Hope so jyaada bakwas na ki ho.. Bas mann mai aaya toh likh diya nd thought k aapse share karu toh kar diya..

Yours lovely,
Tansyy

Bonding Over The BookWhere stories live. Discover now