⚛️Rameshwar Dham Sthapna (Part 1)⚛️

219 21 6
                                    

This time, Unedited.

Sorry for a bit late update guys. Rakhi ke chakkar me couldn't do it.

****

"Sagar paar kaise karenge?" Vibhishan asked for the 100th time. "Mere sir se karenge." Urmila burst out before she could stop herself. Everyone looked at her shocked. "Bhot der hogi puchte puchte. Arey khdi ek baari nhi pta phir vhi sawaal. Dimaag kha liya." She ranted angrily and then stormed away from there and stood in a corner.

"Maine kya kiya?" Vibhishan asked shocked. "Lagta hai uske periods are going on." Lakshman said only to recieve a pillow on his face. "Vo kya hota hai?" Jamavant asked. "Pta nhi. Par ye pta hai ki har mahine hota hai aur har mahine ye itni chidhi padi rhti hai." Lakshman answered and recieved a pillow on his face again.

Urmila came back after 5 minutes and apologized to Vibhishan making everyone go in shock. "Mere pass ek idea hai." She announced. "Kis cheez ke liye?" Nal asked. "Samudra par karne ke liye, obviously." Urmila deadpanned. "Acha btao to kya idea hai." Ram said calming her down. "Haan to hume paar kya karna hai?" Urmila asked smiling a bit. "Samudra." Neil answered. "To hume kisse baat karni chahiye?" Urmila asked her smile growing. "Kisse?" They asked in unison. "Socho socho. Itna to buddhu aap mein se koi nhi hai." Urmila said grinning from ear to ear.

"Haan. Jeevo se." Lakshman said making her smile to falter. "Abey gadhe aadmi." Vanshika said fisting her hands in frustration. "Samudra devta se baat karenge na. Duffer." She said hitting him on the side of his head. "Haan." They said in realization. "Ab samjhe?" She asked grinning from ear to ear. "Mujhe nhi lagta hume ye karna chahiye." Lakshman said. "Kyu?" Urmila asked keeping her hands on her waist.

"Arey hum Raghuvanshi hain humne kabhi kisi ke samne yachna nhi ki, kabhi haath nhi felaye, to aaj tum keh rhi ho ki hum samudra se raasta dene ki vinti kare? Huh, ye nhi ho sakta." He boasted. "O maharaj!" Urmila said showing him her hand. "Ji." Sugriv and Vibhishan said together. "Lo bolo. Bulaya kise bol kon rha hai." She said. "Bulaya kise aur bol kon rha hai." All repeated and Urmila looked at them perplexed. "Arey ye bolna nhi tha. Par aap dono ne 'Ji' kyu bola?" She asked Vibhishan and Sugriv. "Maharaj to saare hume hi bolte hain na to isliye." Sugriv said and Vibhishan agreed.

"Arey humare yaha par jab koi aesi harkat karta hai na tab use maharaj kh dete hain." She said. "Kyu? Maharaj kya itne bure hote hain?" Anhad asked. "Pta nhi. Humare yaha pe to chunav hote hain. Jisme hum saare alne apne representative ko chunte hain phir unmein se koi ek PM bnta hai. Main baad mein samjhaungi phle jis baat ki tension hai vo solve karle?" She said seeing the expressions of everyone. "To main kya keh rhi thi?" Urmila asked trying to remember. "O maharaj!" Nal said.

"Haan. To har baat par ye fauladi seena dikhane ki jarurat nhi hai. Kuch baate prem se, araam se bhi hal ho jati hain. Agar Samudra nhi maana to aap chahe uska sir phod dena par sabse phle rasta prem ka chuno." Urmila requested. "Lakshman, Urmi sahi keh rhi hai. Ek baari prem se baat karne mein kya ja rha hai. Phir dekhenge jo hoga." Ram said and everyone nodded. It was decided that they would start Samudra dev's puja from the next morning. The next morning, everyone sat near the beach and started praying to samudra devta.

Meanwhile in Lanka;

Ravan was laughing in his sabha. "Samudra se raasta maang rha hai?" He said in between his laughs. "Bhikhari ki tarah rahte rahte har kisi se bheekh mangne ki aadat pad gyi hai. Vo ye samajhta hai ki samudra ke samne royega, apna dukh sunayega ki meri patni ka haran ho gya hai to samudra usko apni lehron mein sukha rasta bana dega? Hahaha..." Ravan laughed.

"Hahaha... Jinke saathi Vibhishan kaka jaise kayar ho vo aesi hi murkhta karenge. Bina khaye piye 2-4 din beet jane dijiye phir vahi vanar sena unki mrit sharir ki shobha yatra nikalegi." Meghnad said making everyone laugh.

Lakshmila: Time TravelWhere stories live. Discover now