In kagaz ke panno me
Kuch baatein hein
Ankahi si
Aisi baatein
Jo sirf ek awaaz he
Ek raaz he
Aisi baatein
Jo kisi ki nazar me na ayein
Vo kabi jaan na payein
Aisi baatein
Jo sirf sach he
Meri zindagi ka sach
Iss dil ka sach
Aisi baatein
Jinka mukaddar he
Dafn hona
Kho jana
Mere sath!July 2023
YOU ARE READING
Baatein (Hindi)
PoetryKya kabhi itni himmat kar paungi ke keh sakun sab? Vo sab jo ankaha reh gaya....