"Nazar nahi aarahi. Lagta hai unhounne haar maanli." Uskay dost ne peechay murrkay dekha.

Uskay chehray par eik shararat bharri muskurahat ubhri. "Police ko haar chakhwadi, ab ao uss ullo ko chakhayein."

Gaari ne eik aakhri morr liya aur ab finish line unki nazaroun mein tha. Bas eik farq tha. Unhein ab eik intersection se guzarna tha, aur intersection ki doosri road par unka rival tezzi se barh raha tha.

Usne pedal dabanay mein apni poori jaan lagadi. Gaari ki speed 200 se bhi upar chali gayi thi. Usse dekhte uskay rival ne bhi tezzi pakarli thi. Dono gaariyaan intersection k kareeb aati jaarahi thein.

"We're gonna crash!" Uskay dost ne aankhein band kartay kaha, jaise woh jhatkay k liye tayar horaha ho.

"Not today." Larkay ne zorr se clutch dabatay hoye gear tabdeel kiya aur gaari ki raftaar mazeed barhayi. Speedometer ka kaanta kab se dosri side par jhool raha tha.

Dono gaariyan intersection tak pohanch ne lagayein. Tamaam haazir e samayeen ki saans atki thi. Sab k dimagh par eik sawaal, kiya aj ki race eik fateh k saath khatam hogi ya eik haadsay k saath.

Ussne aakhri dafa accelerator ko zorr se dabaya aur khud bhi aankhein band karlein.

Chand lamhay baad logoun k shorr se uski aankh khulli, aur usne brake lagakar hand brake kheencha. Gaari foran drift karti murri, matti ka badal uski nazaroun k saamne aya. Sawaal ka jawaab ab bhi nahi mila tha.

Jaisay hee nazar saaf hui, usne apni taraf logoun ko aatay dekha. Unka shorr eik baar phir zorr se macha aur unki barhti awaazoun ke saath uski bhi muskurahat gehri hoti rahi. Woh jeet gaya tha.

"Ahad," Usne apnay dost k kandhay ko zorr se hilaya. "Aankhein khol, jahil aadmi!"

"Hum janaat pohanch gaye?" Ahad ne madham awaaz mein poocha.

"Hamari itni achi kismat kahan? Lekin haan, hum jeet zaroor gaye hain!"

Ahad ki aankhein foran khullein, aur hairat se phattein. "Waqqai?"

"Waqqai!" Woh hasta hoa gaari se utra.

Hujoom mein maujood log uskay naam ko eik naaray ki tarha baar baat chilatay dhurarahay thay.

Uski muskuraati nazarein LED screen par parhein jahan replay chalraha tha. Uski gaari eik inch se bachi thi. Woh log, eik inch se mout se bachay thay.

"Cheating hui hai! Inn logoun ne shortcut liya tha." Uska opponent chilata hua gaari se bahar nikla, aur eik dam sannata chah gaya.

Usne apni aankhein pherrein. "Grow up, Shah. You know there are no rules or anything as shortcuts in underground racing. Aur wesay bhi, police ko khabar karne ki saazish yaqeenan aapnay hee ki thi."

"Police? Mene aesa kuch nahi kiya! Tum baat se mat palto."

"Mein saaf baat karta houn, tumhari tarah baatein ghoomata nahi. Agar tumharay pass mere khilaaf koi proof ho toh leao. Trust me, I'll be the one anticipating your attack the most. Lekin agar tum sirf barri baatein karne ke liye shorr macha tay ho, toh mere paas bohat proofs hain tumharay doughlay pann ke, Fazal Shah!"

Fazal Shah ki nazaroun k saamne laal chamak raha tha. Uska chehra surk hochuka tha and aankhein qaatilana andaaz se ussay goorh rahi thein. Magar woh nahi peechay hatta.

HasratWhere stories live. Discover now