CHAPTER TWENTY NINE

1.1K 137 13
                                    

In kitchen......

Aas : kya hua bondita ji......aap toh nahi maan ne wali thi na......ab kya hua.....!!!!

Bon : ab patibabu naraz rehne hi nahi dete toh kya karu......

She laughed......

Bon : tu kya hass rahi hai tu bhi toh maan gayi......

Aas : haa thik hai ab chod iss baat ko......

Both laughed......

Batuk came there.......

Bon : aree batuk kuch chahiye kya......

Batuk : haa maafi.....

Aas : batuk humne tujhe maaf kar diya hai aur tumhare dono dada ko bhi.......

Batuk : aap dono ki maafi toh mil gayi par mere dono dada mujhse naraz hai.......baat hi nahi kar rahe hai mujhse.......

Bon : batuk maine tumhe pehle hi kaha tha na ki jis din tumhari yeh romantic novels bahar aayengi tufan aayega ghar mein........tumhe acchi tarah se pata hai ki patibabu ke liye padhai ka kya mahatva hai........

Batuk : I am sorry baudi.......main jaanta hu maine galti ki hai main padhai mein puri mehnat karunga par aap dada se baat kijiye na......

Aas : batuk woh tumse naraz nahi hai hurt hai.......lekin woh tumse bohot pyar karte hain unhe thoda time do maan jaayenge.......

He nodded.......

They came out and saw them sitting in hall.......

Ani : accha hua tum log aa gaye bondita aashita jaakar padhai karo aur batuk tum humare sath study mein chalo.......

Bon : patibabu kya hua......

Ani : chinta mat karo Bondita tumhare dost ko maar nahi denge hum.......jao.....

They nodded.......

They went to their rooms for study......

In study......

Batuk : sorry dada......

Som : hum tujhe yaha kuch samjhane ke liye laaye hai beth......

He nodded and sat on couch....... they sat beside him.......he was scared.......

Som : batuk jis age mein abhi tu hai uss age se hum bhi guzar chuke hai iss age mein kai tarah ke attractions distractions aate hai jo kabhi kabhi hume humari raah se bhatka dete hai........

Ani : haa batuk isse teenage kehte hai jaha humara mann nayi nayi chizo ko jaan na chahta hai main samjhta hu kyuki ek waqt par humne bhi yeh saha hai batuk.......main jab London mein tha aur tumhari age mein tha toh mere saamne bhi aisi kai chize aayi thi tum yakin nahi karoge par yeh sach hai.......main jaanta hu iss teenage ko control karna aasan nahi hai bohot self control chahiye........

Som : hum sab ki life mein yeh waqt aata hai batuk........romantic novels padne mein kuch galat nahi hai humne bhi padhi hai.......

He looked at them shocked.......

Ani : aise chauko mat.......sach hai yeh humne bhi romantic novels padhi hai aur hum yeh yakin ke saath keh sakte hai ki padhai affect karti hai........aur isme tumhari koi galti nahi hai yeh umar hi aisi hai ki aap na chahte hue bhi isme phas jao aur kabhi kabhi aapke dost aapko majboor karte hai.......

Som : jab main medical college mein tha na toh mere bhi dost the......unn sab ke pass toh aisi novels ka jaise godown tha........ maine bohot koshish ki ki ignore karu par nahi kar paaya apna self control kho diya maine bhi aur uska natija yeh hua ki uss semester mein main fail ho gaya tha.......

Batuk : aap fail hue the dada......

Som : haa sabko jeevan mein kabhi na kabhi failure ka saamna karna padta hai maine bhi kiya.......uss waqt mujhe jo thokar lagi thi woh main aaj bhi nahi bhula uss din se maine than liya ki chahe kuch bhi ho jaaye ab toh doctor ban ke hi dum lunga......

Ani : batuk yeh sirf som ke saath nahi mere saath bhi hua hai aur shayad hi kisi ke saath nahi hota hoga.......batuk jo humne face kiya hai hum nahi chahte ki tum bondita aashita face karo.......novels padne mein koi burai nahi hai par agar uske liye aap apni padhai chod rahe ho toh phir woh thik nahi hai........batuk yeh tumhari padhai karke jeevan main kuch banne ka samay hai......yakin rakho batuk hum tumse bohot pyaar karte hai aur dil se chahte hai ki koi tumhe tumhare baba ya bhai ke naam se nahi tumhare naam se jaane......toh ab mehnat karoge na.......

Batuk : haa dada main wada karta hu ki bohot mehnat karunga......I promise......

Som : yeh hui na baat......

They hugged each other........!!!!!

*****************

In evening......

Trilochan returns from his work and saw everyone laughing and playing with each other.......

Kaka : hey dugga maa......yeh sab aise hi haste rahe.......

He goes to them.......

Kaka : chalo aakhir humari grehlakshmiyaan hasi toh sahi.......2 din se yeh ghar ghar nahi lag raha tha.......

Ani : kaka aapki lakshmiyon ko manane ke liye humne kitne papad bele hai hum hi jaante hai.......

Kaka : haa toh galti bhi toh tum dono ki hi thi.......aur aap batuknath maharaj akal aayi ya nahi......

Batuk : sorry kaka aage se nahi hoga.......

Kaka : na hi ho toh accha hai........aur tum dono agli baar agar bina baat jaane humari bahuon ko kuch bhi kaha na toh khair nahi tum dono ki.......

Som : kaka kabhi kabhi toh hume aisa lagta hai ki yeh dono aapki betiya hai aur hum jamai.......

They chuckled.......

Ani : mujhe bhi aisa hi lagta hai......

Kaka : bass bass bahu khana laga do......

They nodded........

Anidita : Match Made In HeavenTahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon