CHAPTER ELEVEN

1.4K 144 10
                                    

They broke the hug......

bon : patibabu aapse ek baat puchni hai kabse......

ani : pucho bondita tumhe kabse meri ijazat leni padi.....

bon : patibabu mujhe galat mat samajhiyega kal tak aap ek kamre mein rehne ke khilaaf the toh achanak kya ho gaya........aap yeh mat samjhna main nahi chahti ki aap yaha rahe aap hi ka kamra hai aap reh sakte hai par achanak aisa kya hua ki aap......

ani(mind) : main tumhari uljhan samajh raha hu bondita lekin bass thoda intezaar kar lo jaise hi tumhari exams khatam ho jayegi main tumse apni dil ki baat ke dunga.....aur phir tumhara birthday bhi tumhari exams ke baad hi hai toh iss baar tumhare birthday ko main itna special banaunga ki tum kabhi nahi bhulogi......

bon : patibabu jawab dijiye.....

ani : bondita maine socha ek hi baat par kyu kaka se humesha behes karte rehna isse accha maan lu unki baat......

bon(mind) : matlab main sahi thi patibabu sirf ksj ke kehne par iss kamre mein rehne aaye hai tu bhi na bondita kya kya ummidein paal li thi......teri zindagi mein yeh sukh kabhi nahi aane wala yeh sach jitni jaldi swikar kar legi tere liye hi accha hoga......

ani : ab tum kaha kho gayi.....

bon : kuch nahi main aati hu.....

she went to bathroom.....

ani : sorry bondita main jaanta hu mere jawab ne tumhe niraash kar diya par yakin rakho isse dugni khushiyan dunga main tumhe.......

In binoy and sampurna's room......

binoy slept but sampurna was awake......

sampurna(mind) : yeh bondita kam thi jo ab yeh nayi musibat.......yaha bondita se takkar lena mushkil tha agar yeh aashita bhi dusri bondita nikli toh kya hoga.......

Next morning......everybody got ready and went to aashita's house......som was very nervous.......

mr.banerjee(aashita's father) : aaiye zameendar babu.....suno aashita ko lekar aao.....

aashita came with a nervous face.......when she saw bondita her nervousness calmed down a little.......som was staring at her continously......aashita looked at him and he down his gaze.......

kaka : hume koi appatti nahi hai iss rishte se aaj hi shagun kar lete hai......

mr.banerjee : hume bhi manzur hai.....

anirudh saw somnath's face.......

ani : kaka main kya kehta hu ek baar som aur aashita ko ek dusre se baat karne deni chahiye.....

bon : haa ksj phir kar lenge shagun.....

kaka : thik hai......

somnath and aashita went on terrace......both were quite nervous to talk.......

som : aashita tumhe iss shaadi se koi dikkat toh nahi hai na I mean tumhare saath koi zabardasti toh nahi ho rahi hai na.......agar aisa hai toh abhi keh do main baat karunga sabse.......

aashita : aisi koi baat toh nahi hai main bass itna chahti hu ki shaadi ke baad main apni padhai continue rakhu.....

som : uske liye tum befikar raho tumhari padhai kabhi nahi rukegi.......

aashita : shukriya......

both smiled at each other......

they came down and agreed for marriage......everybody got happy......bondita hugged aashita.....sampurna was burning in anger.......they completed shagun and finalised their wedding after one week......

They returned home......

ani : kaka ek hafta zyada jaldi nahi hai upar se bondita batuk aur aashita tino ki pariksha hai 2 hafte baad......shaadi ke mohol mein padhai kaise karenge aapne waha bhi mujhe kuch bolne nahi diya......

som : haa kaka dada thik keh rahe hai......

kaka : dekho humne bhi yehi chaha tha par phir 3 mahine tak ka koi shubh muhurat nahi tha isiliye yeh tarikh tay karni padi......

they sighed as they know there is no point to argue.......

kaka : bahu khana laga do khana khakar phir tum apni padhai kar sakti ho......

bon : ji ksj.......

she went to kitchen......

they all had lunch and got retired in their rooms.......bondita was studying while anirudh was in study thinking something.......som entered.......

som : kya soch rahe hai dada......

ani : kuch nahi tum yaha kuch kaam tha......

som : nahi bass aise hi mann nahi lag raha tha toh socha aapse baat karlu.......

ani : kya hua kisi baat ki pareshaani......

som : nahi dada bass yehi shaadi ke baare mein soch raha tha dada yeh sab bohot jaldi ho raha hai aashita se main mushkil se 2 ya 3 baar mila hu woh bhi baudi ke saath humari koi zyada baat nahi hui kabhi aur ab achanak shaadi......woh bhi ek hafte ke andar......dada main thik se jaanta tak nahi hu aashita ko......puri zindagi ka sawal hai dada sirf meri hi nahi uski bhi.......and I am sure usse bhi mujhe lekar koi na koi doubts honge.......

ani : som main tumhari haalat samajh raha hu bondita ko main ek shishya aur dost ke roop mein acchi tarah se jaanta hu par jab hum ek kamre mein pati patni ke roop mein rehte hai toh mujhe bhi aisa hi lagta hai ki main bondita ko thik se jaan hi nahi paaya hu......bondita bhi mujhse khul kar baat nahi karti main kya karu......

som : dada aapki problem ka bass ek hi solution hai ki aap baudi ko apni dil ki baat bata dijiye.......

ani : haa som main bhi batana chahta hu par main soch raha tha uski exam khatam ho jaaye tab bataunga waise bhi uski exams ke baad uska birthday aa raha hai........

som : thik hai dada aapki marzi  par mera kya......

ani : aashita se milkar baate karo 1 hafta hai na tumhare pass dekho som aisa nahi hai ki pati patni shaadi ke baad ek dusre ko nahi jaan sakte......jab meri aur bondita ki shaadi hui thi uske naam ke alawa aur kuch nahi jaanta tha main.......phir bhi tum chaho toh mil lo usse.......

som : thik hai dada......

Anidita : Match Made In HeavenWhere stories live. Discover now