A Tensed Situation

514 75 70
                                    

Next Day.

Karishma: Iski Maiya ka Sasu Maiya...Ama phir se ye Topa Bakshi kaha se aa gaya.

Anubhav : Bakshi ne ye Patra nahi bheja hai... humne pata Kiya hai Bakshi ko Vishesh karagar mein vishesh nirikshan mein Rakha gaya hai.

Haseena: Matalab ye letter Bakshi ke kisi Admi ne bheja hai.

Nayab: Lekin apne ek baat notice ki?

Adarsh: kya?

Nayab: Jab hum Ghar se bahar aaye tabhi vo Gadi aaie.

Karishma: matalab koi humare ghar par najar rakh Raha hai.

Santu: lekin Nayab...ap function chhod kar bahar kyu gaiee thi?

Nayab looked at Abhinav and Abhinav at Nayab.

Abhinav: S..santu !! Ye zaroori nahi hai is waqt.

Nayab : haa...hume sabse pehle ye pata lagana hai ki ye letter...aakhir bheja toh bheja kisne.

Santu: mujhe kya lagta hai...Ki hume Post office Jana chahiye... Kyu ki sare letters ki jankari toh post Office mein he hoti hai.

All looked at her and Cheeta Smiled.

Cheeta : Ufff...ye Masumiyat!!

All glared at Cheeta.

Adarsh: Putri... Mastiksh ko Kasht mat do.

Anubhav: Nayab...

Nayab: Humne recording niklwa li hai Anubhav...ati he hogi.

Abhinav: Recording laa kon raha hai?

Nayab: Billu Champat.

Then entered Billu wearing Goggles.

Billu: Billu the Spy is here!!

Santu quickly took the CD and Played it with all carefully looking at the screen.

Haseena: Santu ek min pause kijiye...

Haseena looked at Nayab.

Haseena: Nayab ap ro rahi thi?

Nayab got Tensed.

Anubhav: ap ro kyu Rahi thi?

Abhinav: A..A..Anu...Bhabhi!! Mudda ye nahi hai na.

Karishma: par bhaiya...

Nayab: kya Karishma appi ap bhi!! H..Hume iswaqt Bakshi par focus karna hai.

Anuseena exchanged glance in worry.

Nayab: S..Santu Video play karo.

Santu nodded and resumed the video.

All again carefully looked at the screen

Anubhav: Santosh Sharma ek min...thoda piche lijiye.

Santu: kise?

All looked at Santu.

Cheeta: Santu ji ... Video ko peeche lijiye.

All looked at Cheeta .

Cheeta:(blushingly) U..kabhi kabhi Santu ji ki Masumiyat se sakshatkar ho jata hai

All focused back on screen.

Anubhav: Santosh Sharma jaise he Screen par Gadi ka tez ujala ho ap video rok dena.

Santu followed the instructions of Anubhav.

Anubhav: bas ... Ye dekh rahe hai ap sab.

Haseena: haa ab sab saaf saaf dikh raha hai.

Santu: haa...Ab sab saaf saaf dikh raha hai Nayab di ki apne Apne lehenge ke saath Matching lipstick nahi Lagaiee hai.

All  closed their eyes out of irritation and looked at Santu except for Cheeta.

Cheeta: uff...ye Masumiyat!!

Anubhav glared at Cheeta and Cheeta became scared.

Cheeta: s..sorry... sir sorry.

Anubhav: toh hum keh rahe the ki vahan ki Aank Paati (number plate) spasht roop se dikh Rahi hai. Karishma Singh!!

Karishma: ho jayega sir...kal tak ee gadi ka malik apke samne hoga.

Anubhav smiled.

Now all looked at Nayab, who was aware of the Strom of questions coming towards her.

Anubhav: ab ap bataiye Nayab... Ap ro kyu Rahi thi?

Nayab: h..hum kaha ro rahe the?
V..vo toh bas...h..humari aankhon mein kuch chala gaya tha.
Bas au..aur kuch nahi.

Haseena: Nayab ap jhoot bol rahi hai.

Nayab: aur Sach kuch hai he nahi appi!!

Saying that Nayab left from their.

Adarsh moved towards Abhinav.

Adarsh: baat kya hai putra?

Abhinav: kuch nahi pitaji

Saying that he too left

Anubhav too moved towards his room and behind him went Haseena.

Anubhav was seated on his bed when came Haseena and sat besides him and held his hand.

Haseena: sab Theekh ho jayega Anu.

Anubhav: Nayab ki behen hai ap, Humse zyada Kasht apko ho raha hai uske liye parantu aap hume sambhal Rahi hai?

Haseena: nahi Anubhav, Ek bestfriend se zyada takleef apne bestfriend ki koi nahi samjh sakta...kyu ki hum apne zindagi ki takleefen utni apne bhai behen se share nahi kar pate jitni ki apne bestfriend se karte hai. Toh humse zyada takleef apko hai kyu ki ap Nayab ko humse behetar jante hai aur phir yaha toh baat Abhinav ki bhi hai.

Anubhav layed on the bed keeping his head on her lap.

Anubhav: uski kya truti hai Haseena ji? Kyu? Kyu sadev uske saath he sab anisht hua hai? Pehele humare Bhai ko uske parivar se dur kar diya gaya aur phir...uska apne he Pariwar ke virudh upiyog kiya gaya...ab jab sab punha kushal ho raha tha toh...punha uske jeevan mein dukh aa gaya ... Usse jis se prem hua vo...

Haseena : vo chah kar bhi uski nahi ho paa rahi hai.

Anubhav: (gritting his teeths) aur vo bhi keval uss Suyog ke karn.

Haseena: Anubhav, problems kis love story mein nahi aati? Humari love story dekhiye kya kuch nahi hua...phir bhi hum saath hai na!! Vaise he Nayab aur Abhinav bhi saath hoge.

Anubhav: Nayab aur Abhinav ko toh hum sambhal lenge

Haseena: par Bakshi ...

Anubhav: koi hai Haseena ji... Jo uss Bakshi ke Dal se hai aur uss Bakshi ka pratikar lene hetu Aatur hai.

Haseena: jo bhi ho Anubhav... Par iss baar hum alag nahi hoge.

Anubhav got up and looked into Haseena's eyes.

Anubhav: Nahi Haseena ji ...iss baar nahi. Jeeyenge toh saath.

Haseena: Marenge toh saath.

Anubhav: Parantu ek dusre ke bina nahi rahenge.

And they touched their foreheads.

Karishma and Pushpa who were watching Anuseena from outside got Worried.

Karishma: Dekh rahi hai Amma aap?

Pushpa ji: Haa dekh Rahe hai ki iss Kambakt Bakshi ka Zikr kya hua...humare Bacchon ke chehre se toh jaise Raunak he chali gaiee .

Karishma: Pushpa ji!! Iss baar...

Pushpa ji: Aar ya Paar!!

__________________________________

Precap: Resuming the Mission

_________________________________

𝐊𝐲𝐮 𝐤𝐢 - 𝐓𝐮 𝐃𝐡𝐚𝐝𝐤𝐚𝐧 𝐌𝐚𝐢 𝐃𝐢𝐥 ♡♡Where stories live. Discover now