*Teaser*

2.6K 95 48
                                    


Anubhav: Vo Samay koi aur tha Haseena Mallik, Jab apke Hone se hume koi farak padta tha par ab aisa nahi hai .

Haseen held his hand and made him look into her eyes

Haseena: Aisa nahi hai toh kaisa hai Anubhav? Ap humara saath Yun beech mein chhod nahi sakte ...ap shayad bhul rahe hai zindagi bhar saath nibhane ka wada kiya tha apne...humse pyaar karte hai app...yehi kaha tha na apne?

Anubhav: Prem toh ap bhi humse karti thi na?

Haseena: Haa toh karte hai na!!

Anubhav: Kaisa prem hai ye? Jisme vishwas he nahi hai?

Haseena: kaise karte vishwas? Han? Kaise karte? Apne ammi ki jaan khatre mein Dali thi Anubhav

Anubhav:(shouting) haa Dali thi ...(in a taunt) hum toh hai he dusht...toh dal diye humne Ammi ke pran sankat mein...kyu aiee hai ap iss dusht ke nikat? Jaiye...humse bhi uttam log hai iss Vishwa mein...ap unmein se kisi ka chayan kar lijiye...

Haseena kept staring at Anubhav with teary eyes with the constant flow of fluid from her eyes

Anubhav: Mat bhahaiye ye Ashru...mat bahahaiye ...hum jaise Dhokebaaz keliye ap apne Amulya Ashru mat bahahaiye...Hum...hum iss yogya nahi hai Miss.Mallik

Haseena: Bas kijiye Anubhav... please Bas kijiye

Karishma: Bhaiya...

Anubhav stopped her with his hand

Anubhav: Bhaiya nahi Karishma Singh...Bhaiya nahi

Karishma looked at him with a shock

Anubhav: ap toh ...balpan se humare samaksh thi Karishma...Humare saath thi ,humse parichit thi... phir bhi apne ye kaise swikar kar liya ki hum Deshdrohi hai? Kaise?

Karishma: (crying) maaf kar dijiye bhaiya ...

Anubhav: nahi Karishma Singh... Ap hume kshama kijiye ...kyu ki chah kar bhi na hum apko apke bhaiya lauta sakte hai (looking towards Haseena) aur na apko apka Premi...kyu ki ye jo hriday haina...isake itne tukde ho chuke hai ....itne tukde ho chuke hai ki ap isme kisi bhavna keliye sthan he nahi...kash apne haar case ki tarha humara mammla bhi apne jazbaton ke drishtikon se dekha hota toh shayad aaj kahani he kuch aur hoti

Haseena and Karishma looked down while crying

Anubhav: Ha...ek baat keliye sadev garv hoga hume

Both looked at him

Anubhav: Hume Garv hai iss baat par ki ap dono ne hum se pehele desh ko Rakha

Kareena exchanged glance and smiled

Anubhav: Prantu...kya kare ...chah kar bhi bhula nahi pate ki ap dono ne hum par vishwas nahi kiya ... Isiliye humne apne haar samband ka parityag kiya hai

He joined his hands

Anubhav: Ap kripya kar ke jis kary hetu yaha aiee hai vo kary kare aur yaha se chale jaye

Anubhav turned to leave but he stopped by Haseena's words

Haseena : Hum nahi jayege ...

Anubhav looked at her

Haseena: Hum apne Anubhav ko apne saath le kar jayege


__________________________________

So My dear lovely people
I hope you loved this dramatic teaser... As you all guys wanted I am again going to write on Mission Beherupiya
Lots of love to you dear ones ❤️
__________________________________

𝐊𝐲𝐮 𝐤𝐢 - 𝐓𝐮 𝐃𝐡𝐚𝐝𝐤𝐚𝐧 𝐌𝐚𝐢 𝐃𝐢𝐥 ♡♡حيث تعيش القصص. اكتشف الآن