1️⃣6️⃣ :- welcome back

Start from the beginning
                                    

Achha hua bhagvan ji ne khud hi tuje tere bhaiyon se milane ka rashta nikal liya Varna es jaman me to impossible tha

Kyuki tu Aaj bhi us ek baat ko pakad ke betha hai aaj bhi tu vahi khada hai jaha saalo pehle khada tha learn move on rishabh learn to forgive and forgot"

Rishabh - "tu ye keh raha hai jo unhone Kiya me ese hi bhul jau itna asaan hai sab kuchh"

Rajiv - "zindagi me kuchh aasan hota nahi hai rishabh banana padta hai

Me ye nahi keh raha unhone Jo Kiya vo sahi tha bohot galat kiya unhone tere saath par unhe unki galti ka pachhtava hai

Unhe apni galti sudharne ka ek moka de janta hu you can't forgive him that easily but give him chance to earn your forgiveness

Kehte hai apni galti manana bohot mushkil hai aur usase bhi muskil hai use swikar karna"

Galti zindagi ka panna hai aur rishtey puri kitaab zarurat padne par galti kaa page faad Dena chahiye par ek panne ke liye puri kitab nahi gawani chahiye mere bhai

Let the by gone is by gone leave bitter past behind and let the present lite your life"

Rishabh - "tu kehna kya chahta hai mene Jo Kiya galat kiya aur jo kar raha hu vo bhi galat kar raha hu"

Rajiv - "me sahi galat ki baat nahi kar raha par kya jo tune Kiya usase koi bhi khush hai kisi aur ki chhod tu khud khush hai''

Past ka hath thame rakhne se takleef ho milti hai rishabh isase koi khush nahi reh payega

Aur tum dono bhaiyo ke bich us masoom bachhe ki to soch kya vo Tera pyar deserve nahi karta kya vo tuje pyar karna deserve nahi karta

Tumhari aapsi ladai me uski kya galti hai use teri zaroorat hai not just as doctor but more as brother

Bhagvan ne dusra moka Diya hai uske saath rehne ka yaade banane ka god forbid agar use kuchh hogaya to kya tu khud ko maaf kar payega ki jab tere paas uske saath rehne ka vakht tha tab tune apni zid aur takleef ko chuna"

Rishabh - "use kuchh nahi hoga me use kuchh nahi hone dunga"

Rajiv - "Dara nahi Raha hu rishabh samja raha hu zindagi bohot chhoti hai sikave , sikayat aur narazgi ke liye

Tu hurt he to puchh unse kyu Kiya unhone esa kyu badal gaye learn to excess your right my friend''

"As a friend me tuje salah de sakta hu aage Teri Marzi tere har decision me tere sath hu me hamesha"

Rishabh look him being surprised 😯 Rajiv raise his eyebrows asking what

Rishabh -" tere pass dimag bhi hai tune bataya nahi kabse esi badi badi batein karne laga"

Rajiv -" oh please dimag to mera chanakya jitna tez hai bas me zyada chalata nahi kahi ghish gaya to"

"Chal aab chehra sudhar bandar lag raha hai rishabh smile and hug him tightly while saying tere bina kya hota mera"

Rajiv - "tera pata nahi par tu jis seher me jata vaha baad zarur ajati rota jo rehta hai rotlu kahika"

Rishabh -" me rotlu nahi hu"

Rajiv -" haa man liya ab ja Jake ready hoja tere dono bhai intzaar kar rahe honge"

Rishabh -" tu bhi chal raha hai mere saath"

Rajiv -" mera vaha kya kaam tu Jaa apna family time spend kar itne saal baad unse mil Raha hai"

Rishabh -" tu bhi to meri family hi hai chalna yaar i need you Rajiv said chal raha hu aab vapis rona mat start karde"

ULJHE DHAAGE (Complete)Where stories live. Discover now