Sunne mein aya hai ki, Ruling party ke jane Mane neta aur navuday party ke founder Yash Raj Rao mukhyamantri padd ki shapath lenge. Ayiye dekhte hai unki coronation ceremony live."

Veer khade hokar bahar ki taraf bhagta hai car leke wo jaldi se CM office Tak drive kerta hai waha pahuchte hi usko Jay ka call ata hai,"Ha Jay bol."

"Bhai Y/n ne live conference organise kia hai." Ye sunte hi Veer bhagte hue andar jata hai aur Muktar usko ek room mein escort kerta hai jaha ek sofa aur bada sa TV tha. TV per bhut sare reportors Jo apas mein baat ker rahe thhe chup Jo jaate hai jab Y/n stage per aati hai, ankhon mein confidence, no hesitation.

"Veer Singhania se rishte ke baare mein aap kya kehna cahengi ma'am?"

"Wo apke personal house har rooz aate thhe kya?"

"Apne romance ke liye unko appoint kia tha?"

"Boliye ma'am kya kehna cahengi aap?"

Sabhi reporters ek sath questions puchne lagte hai, "Aap sabhi 10 minute ke liye chup rahenge, aur mein ek ek kerke har kisi ke sawalo ka jawab dungi.....
bus 10 minute ke liye chup rahiye."
Sabhi reporters Beth jate hai," ek mukhyamantri ke taur per mene 11 mahine 13 din kaam kia hai, ye time Kam nhi hai....agar 11 mahine ke liye bhi adhikar apke hath mein ho toh aap bhut kuch ker sakte hai, traffic rules ko naa mante hue jab log manmani kerte hai toh unhe, *snap* discipline mein laya jaa sakta hai, government schools Jo band hone ki tagad pe hai jo apni pehchan kho chuke hai, *snap* firse chalu kiye jaa sakte hai, iss state ke saare doctors contractors jinka politics se koi lena dena nhi,*snap* sudhare jaa sakte hai, neta ka kaam hota hai janta ki seva lekin power mein aate hi wo politics ko APNI JAAGIR SAMJHTA HAI AUR JANTA KO BHUL JATA HAI, sorry........AESE BRASTHACHARI NETA KO SUDHARA JAA SAKTA HAI, *snap* aese, ye neta satta mein aakar ye bhul jate hai ki wo janta ke naukar hai aur janta Malik, aur fir Dara ker ye logo per raaj kerne lagte hai inhe *snap* you sabak sikha sakte hai, saalon se chali aa rahi Gau ki pareshaniyo ko suljaya jaa sakta hai ussi Gau mein rehkar unke saare rights unn tak pahuchaye jaa sakti hai, *snap* aese. Agar kuch nhi pata toh mein bolti hu I don't know but for the first time in my life I can confidently say this, I know.....agar sirf 11 mahine 13 din mein itna kuch ho sakta hai toh sochiye agle 5 saalon mein kya kya ho sakta hai I know this." Y/n bolker reporters ki taraf dekhti hai lekin wo sab uski baaton pe koi attention nhi de rahe thhe.

"Mujhe lagta inn sab se apko koi matlab nhi hai, per meri personal life mein kya ho raha hai ye janna apke liye bhut important hai. Unka naam Veer hai--"

"Mr singhania ke--" ek reporter Y/n ko beech mein roke bolta hai lekin .

"I AM NOT DONE YET!" y/n gusse mein bolti hai, wo reporter beth jata hai," aaj se 6 saal pehle hum mile thhe, college mein, Veer sabse alag hai, zindagi mein pehli baar mene kisi ko mere liye itna curious, possesive, concerned aur worried dekha tha, pehli baar aesa laga tha ki koi .....ki koi hai jiske liye mein important hu aur wo mujhe mere liye pasand kerta hai mere background ke liye nhi, mene usko chorh ker London bhi Jane ka faisla Kia lekin usne mere liye government services mein Jane ka socha he became what he is just for me, because mene bus ek baar bola tha ki tum police uniform mein ache lagoge." Y/n ki ankhon se aasun aa rahe thhe,"5 saal mein usne kisi aur ladki ki taraf aankh utha ker nhi dekha, wo cahta toh life mein aage badh sakta tha lekin wo mere liye ruka, usne mera intezar kia and I am proud to say this DGP Veer Singhania jo kuch hai apni mehnat aur hardwork ki wajah se hai. Rahi baat meri? Toh mein kabhi bhi iss politics mein nhi ana cahti thi, ye ittefaq tha, kya bolte hai log ki hum professional jagah per personal kaam kerte thhe? Veer ne mujhe bola tha, ki professional jagah per mein CM hu aur wo DGP that's it. Jab bhi wo mere sath tha I felt even more motivated to work. Mein hamesha se normally jina chahti thi apni family ke sath, Jisne mujhe itni saari khushiyan di mein usko humesha khush rakhna cahti thi but I COULDN'T TUM LOGO KI WAJAH SE." Y/n camera ki taraf point Kerti hai," tum sab log besharam ho...saare ke saare... Veer ke baare mein ek khas baat batau wo mujhe Jaan kehke bulata hai, lekin kabhi ki office ya work place pe wo mujhe Jaan nhi bolta balki Ma'am kehke bulata tha humare pati patni hone ke baad bhi, kyuki wo iss office ki iss padd ki mariyada ko samjhta tha but tum log YOU CALLED US SOMETHING ELSE DIDN'T YOU?  Kya likha tha wo newspaper mein? Haa mukhyamantri ki rasleela, likhne wala bhi koi buzurg tha."

Y/n uss reporter ki taraf dekhti hai jisne wo likha tha, "apki beti hai ya nhi ye mein nhi janti, lekin agar hai toh kya ye likhne ki himmat ker sakte hai ki uska aur uske boyfriend ka kis tarah ka relationship hai? Trp badhane ko aap ye news chapte hai, lekin kya fayda sir, his news se kisi ka dil tut jaye usse kamaya Paisa apko kabhi raas nhi ayega," y/n camere ke paas jati hai, "itne dino mein jo apne mere aur Veer ke relationship dilchaspi dikhayi hai itni hi dilchaspi agar aap logo ki samasya mein dikhate toh wo *snap* yu khatam ho jati, lekin shayad apko apni zindagi badalni hi nhi hai, toh apko apke hune neta Mubarak ho, aese hi apni zindagi bitate raho, andhere mein, abb aap apne sawal puch sakte hai" Koi bhi reporters kuch nhi bolte,"thank you."

Conference khatam hote hi Bhaskar Y/n ko safely ek room mein escort kerta hai, Veer waha tha wo turant Y/n ko hug kerta hai,"Pagal ho gayi ho kya? Aese achanak se gayab ho gayi, mein kitna Darr gaya tha pata hai?"

Y/n piche hoti hai aur wo notice kerti hai Veer ki ankhon mein aansu thhe, wo uske tears wipe kerke smile kerte hue bolti hai,"Veer duniya cahe Jo bole per humara pyar najayaz nhi hai, tum sahi ho duniya se koi farak nhi padta, magar abb hume sirf apne baare mein nhi," wo uska hath apni tummy pe rakhti hai,"Hume apne baby ke baare mein bhi sochna hai, mein nhi cahti ki duniya usko kuch bhi kahe aur usko humari wajah se sharminda hona pade."

Veer shocked hoke bolta hai,"Mene itni dur ka nhi socha tha Jaan. Tum sach mein sabse alag ho." Wo usko forehead pe kiss kerta hai,"chalo Ghar chalte hai."

"Veer pehle mujhe Mere Ghar leke chalo, mujhe papa ki library se kuch books Lena hai aur fir Rahul se bhi mil lenge." Wo bolti hai aur Veer usko drive kerke le jata hai. Andar wo library se books leti hai, tabhi Rameshwari, aur dono bache waha aate hai," Mein bus kuch books lene aayi thi, socha aap sab se mil lu. Baby ki delivery ke baad hum dono India se bahar shift ho jayenge." Wo apne papa ki portrait ki taraf dekhti hai," mene aesa koi kaam nhi kia hai ki Inka sar jhuk jaye. Bachpan se aaj tak inke adarsho per hi chalti rahi hu mein "

" tumne inse bhi acha kaam kia hai, tumhare papa bhut ache insan thhe, wo andar se khub jindadil thhe, chahe log unse khush hai ya nhi bhi hai, wo unki jarurato ki har cheez dete thhe, lekin tumhare aate hi sab badal gaya, har taraf jese khushiya chaa gayi ho, tumhe maa ki jarurat thi lekin kabhi shikayat nhi ki tumne, ek maa ki kami ko pura kerne ki koshish bhi nhi ki mene, per tumne apne bhai ke liye uske pita ki kami ko jarur pura kia hai, tum mujhse choti ho fir bhi...... mujhe maaf ker dena." Rameshwari life mein pehli baar Y/n se bolti hai aur hath jodker khadi ho jati hai,"tumhare papa hamesha kehte thhe Log hi unka parivar hai, per aaj mene mehsus kia, tum bhi mere parivar ka hissa ho"

"Haa ma'am, mein bhut se logo ka personal secretary raha hu, magar itna personal kabhi feel nhi hua, apki wajah se mere bacho ki achi education mil rahi hai, wo bade hokar samaj ke liye kuch acha ker payenge, aapko unke liye yaha rehna hoga ma'am." Bhaskar bolta hai aur Y/n Veer ki taraf dekhti hai, Veer smile kerke apna sar haa mein hilata hai.

Rowdy Policewala (Completed)Where stories live. Discover now