"beta sab kuch thek haina? "
Kuch haal o haal ke baad bibi jaan mutmeen hona chahti thi...

"jee"
Usne muskura ke kaha

"tum khush hona? "

"jee"
Woh phir muskurai

"sach keh rahi ho"
Bibi jaan apne dil ko har haal se mutmeen karna chahti thi

"kya apko apne hi faisale pe bharosa nahi hai"
Woh unko unke kiye faisale yaad karwane lagi

"hai lekin tumhari fikar..."

"Meri fikar karna chor de mai yaha bhot khush hun "

"ye sun kar Waqai khushi mehsos hoi"
Ab ki baar Bibi jaan halka muskurai

"lekin ek dar sa hai..."
Woh soche boli...

"dar? Kesa dar"
Bibi jaan ke maathy pe shikan aane ko thi

"dar.. Mujhe dar lagta Hai kisi ko koone se"
Ab ki baar chehre pe muskurahat nahi ek ajeeb sanjeedgi thi...

"tumhe kisne kaha tum usko kho do gi"

"dil... mere Dil ne kaha"
Woh thehry thehry boli...

"ye dil itni jaldi dar bhi raha hai"

"janti hun faqat mujhe nikkah se phele koi umeed nahi thi mera dil mutmeen na tha lekin kal raat se mujhe khud se zyada bharosa hogaya un pe na jane kyu tab se ek dar dil mai Beth gaya hai ke kahi mai kho na dun inko.."

"tum kyu kho gi??"

"waqt... waqt ka koi bharosa nahi haina bibi jaan ajj aesa aur Kal na jane kesa"
Woh Waqai dar rahi thi ajj itne saalo baad kisi ko koone se....

"khud ko Azad kar do is dar se"
Bibi jaan uska hath apne hath mai pakre usko tasali ke lehje mai keh rhi thi..

"nahi kar sakti ek baar khoshish ki thi tou sab kuch hi kho diya tha maine..."
Ankhe bheegne lagi thi alfaaz zuban ka sath chor rahe thy.......

...

"jee, Han woh file mere kamre mai mujood hai mai apko bas tori dair tak behjwata hun"
Husam aur sikandar ke sath woh baatein hi Kar raha tha ke uska phone baja usne caller id dekhe phone foran utha liya, baat sunne ke baad woh fori tor par uth khara huwa aur apne kamre ke janib chal diya jab kamre ke darwaze ke samne aya tou uski awaz ne uske qadam yakdam ruka diye....

"dar.. Mujhe dar lagta Hai kisi ko koone se"

"tumhe kisne kaha tum usko kho do gi"

"dil... mere Dil ne kaha"

"ye dil itni jaldi dar bhi raha hai"

"janti hun faqat mujhe nikkah se phele koi umeed nahi thi mera dil mutmeen na tha lekin kal raat se mujhe khud se zyada bharosa hogaya un pe na jane kyu tab se ek dar dil mai Beth gaya hai ke kahi mai kho na dun inko
.."

"tum kyu kho gi"

"waqt... waqt ka koi bharosa nahi haina bibi jaan ajj aesa aur Kal na jane kesa"

"khud ko Azad kar do is dar se"

"nahi kar sakti ek baar khoshish ki thi tou sab kuch hi kho diya tha maine..."

Usko khushi zaroor hoi thi ke Zarnish us pe bharosa karne lagi Hai lekin woh khud darta tha waqt se us waqt se jab usko khud us se sach batana hoga ek aesa sach jo shyd hi zindagi badal Dale... apni socho ko dabaye usne gehra sans bhara aur chehre pe muskurahat sajaye andar knock Kar ke dhakil huwa....

𝑺𝒐𝒛 𝑬 𝒀𝒂𝒒𝒆𝒆𝒏Where stories live. Discover now