"MashaAllah jori kitni achi jamay gi"
Husam ne foran usse aur Shehryaar ko dekhe usse keh diya... Shehryaar khud aaj itfakan safaid shalwar kameez aur sath mai apni pasandidar shawl pehne huwe tha.. Twining

"kis ki?"
Zarnish ne usse herangi se pucha tha

"oh woh apki jiske sath apki shadi hogi"
Apne alfazo ka andaza hute Husam ne baat ko cover up karna Chaha.. Dar haqeeqat woh usse aur Shehryaar se mukatif tha..

"huh seriously!"
Woh dheemi si muskurayi

"Kyu zarii apne shadi nahi karni"

"hargiz nahi!"
Woh foran jhat si boli.. Shadi ka tou usne dur dur tak nahi socha huwa tha..

"aesa kyu?"

"actually iam not ready for such a commitment"
Uska jawab sunne Husam lamhe ko kuch sochne pe majboor huwa lekin wapis apni socho ko dhabaye woh halka sa muskura diya..

"As-salamu alaykum"
Shehryaar ne waha aate sath usse salam Kiya tha.. Shehryaar ko dekhe woh lamhe bhar tou usse dekhti reh gayi..

"walikumassalam"

"Masla tou nahi huwa nah aane mai"

"not at all!"

Aese hi shehryaar apne har ek guest se khush iklaqi se milta julta nazar arha tha.. Aur doseri taraf Husam wakfey wakfey se Zarnish ko company de raha tha takay woh khud ko uncomfortable mehsoos na karwaye...

"ab mai ijazat chahti hun Husam Insha'Allah phir mulakat huti hai"
Party se farigh hute ab usne janne ki tayari pakri thi jis pe Husam usse bahir parking area tak chorne aya tha

"Zarii mai aya ek call attend kiye tum yahi rukna"
Husam ke phone pe kisi ki call ayi thi woh uska excuse karta tore corner pe jaye woh zaroori call sunne lag gaya

Jabke Zarnish tora aage chal kahi apne purany dino mai kho gayi thi..

Itne mai achanak se samne se do larkiyaan aur sath mai ek hobuho nujawan arhy thy.. Aage chalti larki ke hath mai cold drink can majood tha jo ab uski takar Zarnish se lagte uske kapro pe gir chuki thi..

"tumhe dekhayi nahi deta kya??? Andhii ho??"
Woh samne khari larki gusse se cheek uthi thi uski cheek sunne Zarnish khabra gayi thi..

"MAINE KAHA DEKHAYI NAHI DETA TUMHE IDIOT! non sense Kahi Ki"

"jab raaste pe chalna nahi aata tou chalte kyu ho... Maa baap ne tameez nahi sikhayi raaste mai chalne ki"

"EXCUSE ME!"
Zarnish uski bewajha ki baatein sunne boli thi..

"mai agar apko kuch keh nahi rhi tou bilawajha baat ko kaha se kaha le ja rahi.."
Zarnish abhi apni baat mukamal kar hi rahi thi ke jhat se woh larki bol pari...

"oh you shut up!..."

"shut your mouth up and listen me carefully! Tarbiyat tou apki fur fur bol rahi hai.. Lagta apko apke maa baap tarbiyat ka T bhi nahi sikha paye miss"

"hey!! Kab se bole ja rhi ho, ho kon tum yeh bakwas karne wali huh"
Woh larkii larne mai aapuchi thi.. Yeh dekhe Zarnish bhi peeche hathne wali nahi thi..

"phr ap kon huti hai meri tarbiyat pe naam uthane wali.. Phele jaye tameez sikhe phir ana mujh se larne"

"tumhe tou..mai"
Woh larki gusse se aag bagola ho chuki thi yaha tak ke hatha payi pe baat aapuchi thi..

"kya tum Haan.. Mai dekhti hun tum kya karti ho Haan"
Jis tarah se us larki ne Zarnish ka bazu pakra tha usi tarah Zarnish ne bhi uske bazu ko pakar liya tha '.. Us larki ne apna bazu Zarnish ki grift se nikale uske chehre pe tapphar marna chaha lekin Zarnish apni defence techniques Ke badolat Bach gayi isi tarah dono ek bich had se zyada baat bharne wali thi... Ke us larki ke dost usse pakre chora rhy thy woh jante thy is larki ka gussa kis hadd tak ja sakta hai..
Utni dair mai Husam bhi waha aa pucha tha.. Dono larkiyoon ko ke dosere se churaty churaty us larki ki kalai pe pehne huwe bracelet se ek halka sa scratch Zarnish ke hath mai aachuka tha... Lekin Usne us scratch ki parwah na ki...

𝑺𝒐𝒛 𝑬 𝒀𝒂𝒒𝒆𝒆𝒏Where stories live. Discover now