Part-10

856 70 10
                                    

Engagement ceremony got over...guests had left only luthra family and arora family were busy in chit chatting...and preeta and karan were glancing each other karan was asking her to come to terrace by his gestures...but she was not agreeing...after a lot she stood up and left the living room while karan also stood up left the living area behind preeta....

Preeta was standing facing moon on the terrace when karan came and back hugged her...preeta leaned back to his shoulder knowing that ot was coming....

Karan- (whispered in her ears) i love you preeta...

Preeta was shocked by his sudden confession....she turned and looked at him....

Karan- yeh ehsaas to ho gya tha mujhe ki mere dil mein kuch bohot special feeling hai tumhare liye aur us ehsaas ko maine naam bhi de diya hai humare pyaar ka naam humare ishq ka naam jise aaj sagai ka naam mila hai aur kuch dino mein humare vivaah ka naam bhi mil jaayega....aur mai tumse tumhare ehsaas ke baare mein poochna chahta hu kya tumne bhi is ehsaas ko wahi naam diya hai jo maine diya hai...

Preeta- mera dil bhi isey yahi naam dena chahta hai humari chahat ka naam yeh feeling mai mehsoos karna chahti thi janna chahti ki kya jaisa mai sochti hu is ehsaas ke baare mein kya yeh asal mein vaisa hai aur iske jawab mein mujhe tum mile karan wo saari feelings maine tumhare saath feel ki hai....aur...aur....( she got nervous)

Karan- ruk kyu gyi bolo na jab tum vo saare ehsaas mujhse share kar sakti ho to ehsaas ke naam ka zikar uska bayan karte waqt kyu ghabra gyi...

Preeta- i love you karan...i love you too...i love you so much..

Both looked at each other with moist eyes which were sparkled with happiness and both embraced each other in their arms...
After a while both broke the hug...

Karan- mai tumhe bina kisi condition ke pyaar karna chahta hu preeta tumse baatein karna chahta hu bina matlab ke tumhe mai sab dena chahta hu bina reason ke tumhari care karna chahta hu bina tumhare expect kiye aur yahi mere pyaar ki neev hai preeta...

Preeta- aur tumhare khayalon ne meri neendein isliye uda di hai kyuki mere pyaar ki hakeekat mere sapnon se bhi sundar hai.... aur tumse milne ke baad aisa lagta hai jaise sapne sach mein hakeekat mein badalte hai kyuki mera sapna sach hua hai tumse milne ke baad...

Karan- mai chahta hu tum mujhe apni preet mein dubo do preeta mai tumhari preet mein doobna chahta...chahta hu ki yahi preet tum mere ghar mein bhi bhikher do...

Preeta looked at him with moist eyes with smile of happiness playing on her lips...they hugged each other again...
While shrishti and sameer entered the terrace....

Sameer- bhai bhabhi not bad ha sabse chup ke aap dono yaha aa gye romance karne...

Shrishti- aap dono to bade hi shatir nikle sabke beech mein se uthkar aa gye vo bhi bina kisi ko kuch pata chale...issey pehle ki aap kuch bolo mai aapko aapke hi fayde ki baat batane aai hu neeche pandit ji baithe the sab log milkar aapki shadi ki dates fix kar rahe the...aur pandit ji ne kaha hai ki is mahine ki sabhi dates bohot shubh hai sabhi rasmon ke liye to aap dono ki shadi ki date agle ek hafte ke baad ki nikli hai....matlab...

Sameer- matlab yeh ki ek hafte baad bhabhi officialy humare ghar aa jayegi...
Aur is hafte mein saari rasmein poori ho jayegi....

Shrishti- mai aapko dates batati hu 2 din baad sangeet uske agle din mehndi phir ek din baad haldi aur di ki choode aur kaleere ki rasam aur agle din shaam ko shadi...matlab aaj se 6 din baad aap dono ki shaadi hai....

Sameer- ha ab aap dono neeche chaliye sab pooch rahe the ki ek baar aap se pooch le ki yeh dates theek hai final karne ke liye phir aage ki tayari bhi shuru karni hai...

Karan and preeta looked at each other with smile and both nodded their heads being shy...

Shrishti- oho...aap dono phir sharmane lag gye...chaliye neeche aur sabko boliye ek baar warna agar humne bola to vo to humpar vishwas nhi krenge hum dono par shak karenge ki humne aapse poocha ya nhi ya khud ki excitement mein hi haa kar diya

Both of them dragged karan and preeta downstairs....

Bani dadi - vaise mujhe lagta hai in dono ne tumhe shadi ki date ke baare mein bata diya hai to tum dono batado agar koi changes karne hai to...aur ha plz hichkichahat mat rakhna...

Both were looking down not able to control their blush...

Kaveri- mujhe lagta hai hume har decision ab inke sharmane ke tareeke se lena padega agar yeh kam sharmaye matlab na hai aur zyada sharmaye to matlab ha hai...arey bolo to sahi...

Bani dadi- agar yeh dono isi tarah sharmate rahe to pata nhi mujhe kabhi mere padpote ya padpoti ka chehra dekhne ko milega...

Karan and preeta were shocked by dadi's statement and both kept their hands on their faces...

Bani- arey...sahi to bola maine...agar aise hi sharmai jaoge to bache....

Karan- dadi bas kijiye...plz...jo dates aapne final ki hai vo theek hai...

Parineeti- to phir theek hai yahi dates final karte hai or mai soch rhi thi ki abhi sangeet do din baad hai to hum sab log picnic par chalte hai 2 din baad aakar subah tayari kar lenge sangeet ki subah saari decorations ho jaayegi sangeet to shaam ka hi hai...

Mahesh- bohot acha plan bataya hai bhabhi ji aapne isi bahane sab ki outing bhi ho jayegi...lekin jaayenge kha...preeta beta tum batao koi achi jagah...

Preeta- udaipur mein hi kisi jharne  (waterfalls) par chalte hai natural environment mein hume humare shehr se door bhi nhi jana padega...khi zyada door travel karke jaayenge to sab thak jaayenge....

Mahesh- bilkul sahi kaha phir sabki energy sangeet mein low ho jaayegi jaha preeta kahegi hum sab wahi jaayenge...

Bani dadi- ha ha bilkul...to phir sab aaj apni apni packing karlo kal jaane ke liye...

Rakhi- ha aur hume bhi ab ijazat dijiye hum chalte hain aur sangeet humare ghar par hoga aur mehndi bhi kyuki haldi aur choode ki rasam to aapke hi ghar honi hai...

Luthras left after greeting raichands...

End with this chapter
Precap- picnic...

VivahWhere stories live. Discover now