4. HER ANGRY ASSAULTS

Start from the beginning
                                    

Monami (While crying) - Tum aisa kaise kar sakte ho, Karan? Tumhe ek baar bhi mera khayal nahi aaya? Panch saal, Karan... Panch saal nikal gaye aur tumhe ye tak khayaal nahi aaya ke main kaisi hougi, kaise jee rahi hougi tumhare bina...!!!

Tum itne patthar dil kab se ho gaye, Karan? Tumne ek baar bhi nahi socha ke mujhpe kya beeti hogi jab tum, mere inhi haatho me... Tum mere samne mare the, Karan...!!! Tum mere sath aisa kaise kar sakte ho? Batra Sir sab jante the but unhone bhi mujhe kuch nahi bataya.

Mujhe Army zaroor join karni thi lekin tum logo jaise patthar dil nahi banugi main kabhi... Agar tumhe marne ki acting karni hi thi to mere samne marne ki acting karne ki kya zaroorat thi...!!!

Tumhe pata bhi hai that vo mere liye kitna painful aur traumatic tha? It was like, meri bhi tumhare sath jaan nikal rahi hai. Aneesh aur mere apne Papa ke us dhokhe ke baad sirf tum aur Sid bache the mere apne. Sid humesha mere sath raha par tum... Tumne bhi mujhe unki tarah dhokha hi diya, Karan.

(Sitting on her knees while crying) Tum mere sath aisa kabhi karoge, ye maine kabhi nahi socha tha. Tum kabhi nahi samajh sakte ke mujhe us waqt jab.... To mujhe kaisa lag raha tha.

Main manti hu ke mission important tha par itna ke tum mujhpe bharosa tak nahi kar paye ke mujhe bata sako, ke mujhe atleast ye tasalli dila sako ke tum zinda ho aur mujhe tumhari maut pe aasu bahane ki koi zaroorat nahi hai?

Tum itne cruel kaise ho sakte ho? Tumne to mujhe aasu bahane se bhi mana kar diya tha ke main tumhari shahadat pe ro nahi sakti...!!!

And she started to cry bitterly. She hasn't cried from last 4 years as she got a hold on herself after nearly a year, after his death. She was crying for the last 4 years in which she couldn't cry at all, thinking about her promise to Karan.

Karan was also in tears. He was feeling really very guilty after doing this to her. He couldn't bear it anymore and hugged her tightly but this time Monami also responded by tightening the hug. They both were crying over their fate and over their painful separation. He broke the hug and said...

Karan (Cupping her face) - I'm so sorry, Monami. I know, maine jo kiya hai uske baad ye ek sorry bahot hi chhota pad jayega, lekin please mujhe maaf kar do. Mujhe pata hai ke tumhe kaisa feel hua hoga in panch saalo me kyuki main bhi tumse dur raha hu.

Aur jaha tak baat hai bharose ki to aisi koi baat hi nahi hai Monami. Vo incident sach me hua tha aur blast se pehle mere bhaiyya ne mujhe vaha se nikala tha. Main behosh ho gya tha lekin vaha se nikalne ke baad meri condition kafi critical thi. Uski vajah se I was in coma for two years aur jab coma se utha to sidha apne bhaiyya ko is mission me join kiya.

Tumse milna chahta tha but Batra Sir ne kaha ki, agar tumse mila to dushmano ko pata chal jayega ke main zinda hu aur ye mission khatre me pad jayega. Mujhe nahi pata tha main kya karu, isliye maine socha ke is mission ko jald se jald pura karke tumhare pass aa jauga par... mujhe nahi pata tha ke aur teen saal lag jayege.

Please, mujhe maaf kar do Monami. I promise, ab main tumhe chhodkar kahi nahi jauga.

After listening this much, Monami just hugged him tightly out of relief. She said...

Monami - Jo hua, so hua. Let's start a fresh, Karan. Magar mujhse waada karo ke tum mujhe chhodkar kabhi nahi jaoge.

Karan (Caressing her hair) - Bhala ek Pati apni Patni ko chhodkar, bachke kaha bhaag sakta hai...???!!!

Monami looked at him with a jerk. She asked...

Monami (In a confusion) - Kya matlab?

Karan - Ye panch saal bahot dur reh liya. Ab ek minute bhi tumse alag nahi reh pauga main, Monami. Let's get married...

(Cupping her face lovingly) Kya aap mujhse shaadi karegi, Rani Sahiba???

Monami was overwhelmed after listening this. She hugged him tightly out of happiness and excitement. She said still hugging him and nodding like a child...

Monami (Like happy child) - YES... YES... YES... I WILL...!!!

Karan laughed seeing her excitement. He took out a ring, with which he was going to propose her five years back. He made her wear that on her ring finger. They hugged eachother happily and they were thanking the God to not let them be apart and make them meet again and this time, for forever...!!!
.............................................................

Here's the last part guys...

How was it???🤔🤔

Please vote and comment and share your opinions and ideas...😊😊😊

Till the new one... Take care, be happy, be healthy & bye - bye dear readers...❤️❤️❤️

ZDMN OS, TS & FS BOOK (SUNDAY UPDATE)Where stories live. Discover now