chapter 37

202 32 17
                                    

Anirudh's POV...

Meine chashmish ko Priyanka ka, aur Priyanka ko chashmish ka number de diya tha..

Dono mein kya baate huyi, yeh nahi pata..

Par baat hone ke baad, Dono hi khush the..

Chashmish ne mujhe call kiya..

Bondita: Anirudh! Ladki bohot pyaari hai... Tumhe bohot chahti hai.. iss se jyaada toh mein bhi kabhi tumhe pyaar nahi kar paayi.. tum isi se shaadi karo.. aur hamesha isee khush rakho!

Meine puchha..

Anirudh: arey! Aisa kya ho gaya?

Chashmish hasne lagi..

Bondita: voh aapko bachpan se hi chahti hai.. Aapke gharwaalo ne aur Uske gharwaalo ne aapke liye alag hi pehchaan bana rakhi thi Uske liye! Jisse voh kabhi nikal hi nahi paayi! Aur ha.. voh thoda jyaada hi dhaarmik hai. Mujhe lagta hai ki serial wagera jyaada dekhti rehti hogi!

Hadd hai! tumhe toh bhagwaan hi bana baithi hai voh! Tum bachpan mein uske baal nochkar maarte firte the, aur usee usme bhi khushi milti thi..

Kaaju ki barfi ke liye juthe se maara, socha bhi nahi ki voh ladki hai!

POV continues...
Kehkar chashmish bilkul ghussa ho gayi..

Bondita: kaise insaan ho? Kisiko koi iss tarah se maarta hai kya? Aur ek voh hai, iske baad bhi aapko sarakho par bithake rakha hai. Aaj bhi voh kaaju ke barfi ko haath nahi lagaati hai.

Meine kaha..

Anirudh: arey Nahi Yaar! Voh mera bachpan tha, meine ghusse mein maara tha.. aur Ghar par maar bhi toh bohot padi thi uski vajah se.. phir bhi baad mein, BHU aane se pehle, meine uss se dhang se maafi maangi thi. Aur khud hi kaju ki barfi bhi di, khaane ko!

Meine tunak kar kaha..

Yeh toh nahi bataya hoga usne!

Chashmish boli..

Bondita: bataya hai, sab bataya hai! Par uske baad bhi usne phir kabhi nahi khaayi kaju ki barfi.. bolti hai, ki jis barfi ke wajah se unhone mujhe itna maara, mujhe man nahi karta, kabhi bhi khaane ka..

Meine kaha...

Anirudh: kuchh nahi.. voh bas jiddi hai!

Chashmish hasne lagi aur boli..

Bondita: haa jiddi toh hai.. aur mujhse keh rahi thi ki aapse shaadi nahi hogi toh.. kisi aur se bhi nahi karegi..

Meine kaha..

Anirudh: haa... Yeh toh usne mujhse bhi kaha tha.. isliye jyaada hi pareshaan rehta hu..

Chashmish boli..

Bondita: haa! Isliye keh rahi hu, ki karlo shaadi! Kyuki aaj nahi toh kal.. karni hi hai.. aur kam se Kam kisiko toh uska pyaar mile.. shayad, Priyanka ka hi pyaar tha, Jo hame tumhe na milne diya ho.. shayad, niyati ko yahi manjoor tha..

Meine bhi naa chahte huye, haa kaha, kyuki mein bhi abb maan raha tha, ki meri niyati ko yahi manjoor hai.. ki Jo mere maata pita chahte hai, wahi karu.. Kam se Kam voh toh Khush rahe.. aashirwaad Raha, toh ham bhi Khush rahenge..

Meine chashmish se baat karke, Priyanka ko call Kiya..

***

Priyanka: haa hello.. boliye kya baat hai?

Meine kaha..

Anirudh: Kuchh baat huyi yaa Nahi bondita se?

Priyanka: haa Didi ka call aaya tha.. baat huyi hai..

POV continues...

Didi shabd sunkar hasi aa gayi, par khaaskar khaasi Ka bahana karke, hasi ko chhupaya.. Jo kal ghusse se bol rahi thi ki, "mein kyu baat karu uss ladki se?" Wahi ladki aaj Didi keh rahi thi.. aur udhar chashmish bhi tarif par tarif karee jaa rahi thi.. yaani ki Dono mein kaafi baatchit huyi thi.

Aur baatchit safal bhi huyi.. kaaran bhi tha.. safal hone Ka, chashmish aur mera rishta khatam ho chuka tha. Par pyaar.. abb bhi tha.. Jo chahta tha ki.. mere jindagi mein kuchh sudhaar aaye.. kyuki chashmish ko pata tha, ki Uske jaane ke baad, mein sharab mein aisa duba, ki puree college mein charcha ka vishay ho Gaya.  Chashmish ko Lagta tha ki, shayad Priyanka ke aane se,. mein sambhal jaau.. chashmish mujhe khush dekhna chahti thi.. aur Priyanka ko mujhse hi matlab tha.. chashmish hame milaane mein sahayak ban rahi thi.. toh Priyanka ka usko Bondita Didi bolna toh banta tha..

Meine puchha..

Anirudh: kya baat huyi?

Priyanka: kuchh nahi.. bas Didi aapki bohot tarif kar rahi thi.. aap hi ke baare mein, aur apne baare mein bata rahi thi.. kab mile? kaise mile? Jo aapne bataya tha, bas wahi!

Meine kaha..

Anirudh: Bas wahi sab kaha?

Priyanka: Nahi.. Didi ne kaha hai ki aapko inn sab se bahar nikalne mein vakt lagega.. aur mein isme aapki help karu..

POV continues...

Meine man mein socha, Yaar.. chashmish tum itni achhi kyu ho!?

Anirudh: thik.. hai..

Priyanka: dekhiye, Jo hua so hua.. mujhe koi ehtraj Nahi hai.. aap Didi se bhi baat kariye.. miliye bhi.. mujhe usme bhi koi ehtraj nahi hai.. kyuki aaj jab Didi se meine baat ki.. toh mujhe aap par.. aur Didi par Pura bharosa hai.. ki aap Dono rishte ki maryada ko samjhenge.. baaki aapko jitna wakt chahiye.. ham aapko dene ko tayyar hai.. Shaadi ke baad bhi, aap jaise chahe waise reh sakte hai. Par aap hamse yeh mat kahiyega, ki ham shaadi ko kuchh Saal ke liye Taal de.. kyuki yeh mere bas mein nahi hai.. mein Ghar par inn mamlo mein nahi bol sakti.. par aapko, Aapka Pura space milega.. Shaadi ke baad bhi! Yeh mein promise karti hu.

Anirudh: thik hai, ham Shaadi ke baare mein baat nahi karenge.. Mera kaam tha, tumhe saare sach ke baare mein batana.. agar mere past ke saath tum mujhe swikaar kar rahi ho, toh mein bhi Puri imaandaari se tumhe swikaar karunga... Shaadi kab hogi, iska faisla gharwaalo ko hi karne do..

Priyanka: ji thik hai..

Uske aawaj se lag raha tha ki voh kaafi Khush hai.. aur iska shrey jaata tha toh sirf aur sirf chashmish ko! Sabki life mein khushiya bekher deti thi voh, fir chahe voh kitni bhi dukhi ho.. par khudko sambhaalna usee bohot achhe se aata tha, mujhe pata tha, ki voh andar se bikhri huyi hai.. par kabhi batati nahi hai..

Anirudh: abb phone rakhte hai.. bye!

***

To be continued...






Mera Pehla Pyaar - ChashmishWhere stories live. Discover now