The Extention

302 31 41
                                    

This os is for the auspicious time of barrister babu, 2nd year bb anniversary. The show witch not only gave us entertainment and knowledge but also young writers to discover their talent. And bb will always be the closest one to my heart ❤

We all know how bb ended, so i wanted to give a beautiful extended version of ending.. So here you go.

Batuk's pov

(Writing a diary)

Aaj..bohot lamba samay hogya hai ki mai apne desh, Hindustan nahi jaa paya.
Sahi kaha hai kisine, subah ka bhoola sham ko ghar laut aye to use bhoola nahi kehte. Yahi kuch mere sath bhi hua. Meri kahani janne se pehle mai bas itna kehna chahta hu ki please mujhe teerchi nazro se na dekhe. Pehle meri kahani jaan le, aur tab mai bura tha ya acha, aap jo bhi chune mujhe manzoor hai.

Aaj se thik ek saal, 10 mahine pehle

Aaj mai India wapas laut aya hu.. Apne family k pas, apne big D k paas. Wow.. After so many years.. Kitna sab kuch badal gaya.. Par mere kaka aur bondita bilkul nahi badle.. Bilkul bhi nahi.
Ha.. Sahi suna, Maine bondita ka zikra kiya..maine socha kyu na ek mauka de hi du bondita ko, jo kuch bhi hua usme uski kya galti, Big D ne aur som dada ne sachme mujhe achi tarah se samjha diya hai ki jo hua usko bhulkar nai shuruwat karlu. Ata hu to kya dekhta hu, Big D aur bondita dono baadh me dub rahe they. Mujhe kuch samaj nai araha tha ki kya kare kya nai. Mai sidha pani me kud gaya aur ussey pehle ki Mai apne Big D ko bacha pata.. Wo.. Wo baadh me beh gaye. Mano jaise dil ekdam se tut sa gaya. Meri to duniya hi challi hogai. Kisko kya jawab du ki kaha hai unka anirudh

Phir mujhe pata chala ki jo bhi hua wo bondita k wajah se hi hua.. Usi ko marne aye they gaw wale. Aaj usi ki wajah se mere big D mujhse, ham sab se dur chale gaye. Tab Maine than liya ki ab mai is bondita se apne bhai, apne big D ke maut ka badla leke hi rahunga. Maine bas kaka ko bataya ki mai batuk hu dada nahi. Jab mai uske pas jakar usko marne hi wala thi ki doctor ne bata diya ki wo pregnant hai. Pregnant hai bondita.. Mere big D ki akhri nishani.

Maine socha ki ab mai apne big D k bache ko apne pas rakhunga aur is bondita ko ghar se nikal dunga.
Samay dheere dheere bit ta gaya aur jab akhri mahina aya to bondita ko sachai malum padh gayi ki ab unke husband, mere big D nahi rahe, aur mai anirudh nahi batuk hu. Bichari tut gayi, par maine tab bhi har nai mana, than liya tha to ab badla to pura karna hi tha. Bondita ne do bacho ko janm diya, ek beta aur ek beti. Usdin to mano jaise ham sab khushi se jhum uthey. Ek pal k liye to bhool hi gaye they ki sachai kya h.

Bondita abhi bhi behosh thi aur maine mauke ka faida uthaya. Maine bohot koshis ki ki un bacho ko bondita se dur kar saku, par ek maa ki himmat k agay mera badla haar gaya, mera gussa, meri zid sab khatam hogya. Mera ye pathar sa dil bhi na jane kaise rone lag gaya aur mujhe aisa laga ki shayad mai galat hu. Phir pata chala ki mere big D zinda hai.. Wapas agaye. Jo khushi mujhe usdin hui wo mai shabdo me bayan hi nahi kar sakta. I realised that karma is real.
If you go out with wrong intentions to others, you will left all broke and alone. Aur mujhe mere karmo ka fal mila bhi..bht hi kadwa fal.

"Big D".. Jaise hi mai unke pass gaya unse gale milne k liye, unhone mujhe chata mara. He slapped me.. My big D slapped me. This really hurt me.

" Mere samne mat raho batuk warna mai gusse me abhi hosh kho baithunga.. Behtar hoga ki tum chale jao. Aaj se na tum mujhe jante ho na hi mai tumhe"

He said not even looking at me once.

" Meri baat to suno big D.. Please let me explain.. " I pleaded him.. Bohot roya mai da k samne par unhone ek nahi suni. Issey pehle ki mai kuch aur keh pata, unhone mujhe dhakke marke ghar se nikal diya.

"Mr. Batuk aaj abhi isi waqt se ye roy choudhary haveli k darwaze tumhare liye band. Please lautkar dobara kabhi mat ana"

Aur mere big D ne hamesha k liye mujhe khud se, is parivar se dur kardiya. Mai tut chuka tha.. Itna zada tut chuka tha ki shayad phir kabhi jee hi nahi pata.

Tapur tupur ne mujhe dekha haveli k bahar.

Tapur- kya hua h jamai babu.. Aap is tarah se bahar kyu baithe hai.

Batuk- Nahi tapur, mai tumhara jamai babu nahi hu. Mai batuk hu, wo hi batuk jo tum log k sath reh raha tha pichle 9 mahino se.

Both - kyaa!!

Tupur- To phir apne hamse ye sach kyu chupaya. Aur jamai babu kaha hai?

Batuk- Mai tumlog ko sab kuch sach sach bata dunga par please mujhe kuch din k liye rehne do tumhare ghar me.

Phir dono man gayi mujhe kuch dino tak ghar me rakhne k liye. Mai usdin bohot zada guilty feel kar raha tha. Maine un dono ko sab kuch sach sach bata diya ki maine aisa kyu kiya. Aur ye bhi bata diya ki som dada aur tapur ka rishta todne me  mera hi hath tha. Maine socha bhi nai tha par tapur ne mujhe maaf kardiya.
Sachme bohot bada dil hai unka.

Thand k wajah se mai bohot bimar padh gaya. Do hafte ho gaye they us baat ko par ab bhi mera dil apne parivar ko hi pukar raha tha. Meri akhey taras gayi thi unko dekhke k liye.. Do chote chote bacho k sath khelne k liye.

Maine tapur tupur k sath itna bura kiya phir bhi unhone mere mushkil waqt me mera khyal rakha. Maine behno se behno ko dur kardiya.. Aur ye log jee jaan laga rahe hai ek bhai ko bhai se, ek bete ko uske parivar se milane k liye. Tab mujhe pyaar ka ehsas hua. Girlfriend wala pyar nahi.. Dosti wala pyaar, parivar wala pyaar.. Behno wala pyaar.

Dekhte dekhte teesra hafta bhi nikal gaya, aaj bache ek mahine ko hone aye hai. Mai ghar me akela tha, bimar bistar par padha hua. Tapur tupur bazar gaye the. Aur waha unki mulakat som dada aur kaka se hui. Tab dono se samjhaya unko ki sachai kya thi.. Kyu kiya tha aisa. Aur request kiya ki anirudh dada ko samjha de. Aur na jane kya jadu hogya.. Jaise hi dada ne.. Mere big D ne suna wo daure chale aye mere paas.

Unhone mujhe chua bhi. Pani patti bhi kardi. Akhe khola to dekha ki dada kuch barbadha rahe they.Bhai hi to hai akhir..

" Ye ladka bhi na uff.. Dekho to kitna bimar padh gaya, bayis (22) ka hogya par phir bhi harkate bacho wali.. Pakka bheeg raha tha ye barish me. Dekh to kitna tez bukhar hai.. Kuch sunta nahi h kisiki.. Shadi kara dunga iski mai ab kaka se kehke tabhi sudrega ye"

Sach me bohot gusse me they wo.. Par unke gusse me bhi pyaar bhar bhar ke tha.

Do din me unke dekh bhal me mai bilkul thik hogya tha. Wo mujhe khud ghar le jane aye they. Aaj phir ek bar mai khudko zinda mehsoos kar raha tha. Jaise hi ghar pohucha to aap yakin nahi karoge..bondita ne mera swagat kiya.

Wakai me pura parivar phirse ek hogya.. Ussey badhi bat aur kya ho sakta hai. Meri karmo ki saza bhi mujhe mil gayi..

Dekhte dekhte kuch din beet gaya aur bache bhi pure ek mahine k hogaye. Mere big D aur bondita k pyaar ki do khubsurat nishaniyaan.. Muskan aur advait.

Mere wapas Italy jane ka waqt agya tha. Ek baar phir maine haveli ki dehleez par ki par is bar dukh se nahi.. Khushi se. Ek aur baar parivar se dur hua, par is bar nafrat nahi..pyaar , izzat aur garv tha. Mai ab aisa koi bhi kam nahi karungi jissey inhe koi takleef ho.

Aur aaj, thik ek saal 10 mahine bad Mai phir se apne desh Bharat laut rha hu. Zindagi ne pata nahi aisa kaunsa mod le liya ki mujh jaise badmash, besharam, nalayak brc ko bhi akhir sacha pyar mil hi gaya. Meri girlfriend, aur ussey bhi zada meri best friend, meri har sukh dukh me mera sath dene wali, radhika.. Best combination of beauty with brain. Hamari kahani bhi hamari hi tarah bohot fun, interesting and twisted hai. 7 mahine pehle mile they ham. Hamari kahani to mai aapko kisi din zaroor sunaunga.. Par abhi bas mujhe deri hai to ghar pohochne ki. Aur shayad isi ko ham keh sakte h.. A happy ending

Maruni : shades of life with AniditaWhere stories live. Discover now