Entry in the house

1.6K 153 31
                                    

Continued from previous part....

KS - Magar Anu bhaiya aap rahenge kaha... Mera matlab he ki hamara ghar to us Natasha....

AS - Behna us baare me kripya karke baat na kare.... Aur rahi baat rehne ki to Haseena ji ki ammi ko yakeen dilane ke liye hume aur Haseena ji ko ek sath rehna hoga to hum koi kiraye ka ghar dhundhte he....

A voice came from back...
Voice - Kiraye ka ghar kyu.... Hamare ghar me rahenge hamari bacchi aur damad ji.....

Everyone turned towards the voice.... They were shocked except AS.... It was Ammi....

HM - Am... Amm.. Ammi aap.... Aapne kya suna....

Ammi - Are itna hakla kyu rahi he.... Hum jab aaye tab damad ji bol rahe the na ki kiraye ka ghar dhundhna padega to humne bol diya ki hamara ghar he na.... Are itna bada ghar he... Damad ji ka parivar to vaha reh hi sakta he kuch din....

Everyone sighed that she just listened that part....

HM went and hugged Ammi.... Ammi too hugged her back...

Ammi - Tu na gadhi hi he.... Are shaadi karni hi thi to bol ke kar leti... Hum konsa mana karte..... Ese bina bataye karne ki kya jarurat thi....

Anuseena looked at each other.... Anubhav went and touched Ammi's feet....

Ammi - Khush raho...

HM - Ammi ye sir.... I mean Anubhav ji he....

Ammi taunting - Ha janti hu... Teri badolat TV par dekha he mene....

AS - Aunty wo darasal humari family me bas Kashi hi he... Hamare maa baba ab is duniya me nahi he....

Ammi - Aap Karishma ke bhai he.... Jisne uski shaadi me....

Anubhav interrupted her - Ha Aunty hum wahi he jisne samose me namak nahi dala tha.... He glared PS while she nervously laughed.....

Ammi - Are koi baat nahi beta.... Hum he na tumhara parivar.... Tumhari Ammi.... Aur ab to tum hamare ghar me hi rahoge... Are bhai hamare damad kiraye ke ghar me kyu rahenge jab unka khudka ghar he....

AS looked at Kareena and both of them smiled....

AS too smiled with tears - Thank you Ammi....

Ammi smiled hearing Ammi from his mouth.... Haseena too felt happy hearing him....

Ammi - Chal Haseena tune jindagi me ek accha kaam kiya.... Anubhav ko dekh kar hi bata sakti hu ki dil ka kitna saaf aur saccha insan he....

HM in mind - Ye to sach kaha ammi aapne.... Sir dil ke bohot hi acche he... In jaisa saccha insan humne aaj tak nahi dekha....
___________________________________________

After meeting everyone in MPT Anuseena along with Ammi went towards their house....

Ammi stopped them at entrance....

HM - Kya hua Ammi ese bahar kyu rok diya...

Ammi - Are pehli baar tum dono sath me ghar ke andar aa rahe ho....  Aarti to karne do....

Ammi did their aarti while Anuseena were feeling guilty for lying to her....

Both of them entered the house.... It was a beautiful house.... AS looked around and saw India's map on a wall....

Ammi - Haseena tum dono bohot thak gaye honge safar me ... Thodi der jake aaram kar lo.... Me khane ke samay tumhe bula lungi....

HM - Thik he Ammi.... Sir... Aa...
Anubhav ji chaliye ....

AS nodded... He followed Haseena....

They entered the room . The room was beautiful room painted with light colours giving a peaceful aura....

HM - Sir aapka saara saman aap almari me set kar dijiye hum jagah kar dete he

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

HM - Sir aapka saara saman aap almari me set kar dijiye hum jagah kar dete he...

AS - Haseena ji aap takleef mat lijiye... Aap bhi thak gayi hongi... Abhi rest kar lijiye... Ye sab baad me kar lenge...

HM - Lekin sir...

AS cut her in between...
AS - Haseena ji ammi ke samne aapke muh se baar baar sir nikal jata he isliye accha hoga agar aap hume sir na kahe.... Warna aapki aadat ki wajah se kahi hamara sach samne na aa jaye...

HM - Ha sir... I mean Anubhav ji aap sahi keh rahe he..... Aap pehle freshen up ho jaiye tab tak hum bhi ammi ki dawai unhe de dete he....

AS nodded.... He took his clothes from his bag and went inside the bathroom....
__________________________________________

At night after dinner Anuseena entered their room.... HM got a call from Santosh regarding a file so she went in the balcony to talk....

When she returned she saw Anubhav standing there confused...

HM - Kya hua Sir aap ese confused kyu lag rahe he...

AS - Miss Malik hum aapke call khatam hone ka hi wait kar rahe the... Wo kya aap hume ek blanket aur takiya de dengi....

HM - Lekin sir wo bistar par pade to he...

AS - Ha lekin abhi to hum dono hi he na to hume pati patni jesa abhinay karne ki koi awashakta nahi he.... To hum ek bistar par kese soye... Hum sofe par so jayenge isliye mang rahe he....

HM in mind - Me yahi soch rahi thi ki ek bistar par kese hum dono sath me soyenge.... Lekin sir ne hamari stithi ka fayda na uthake ulta khud sofe par so rahe he.... Koi itna accha kese ho sakta he....

HM - Sir aap aaram se bistar par so jaiye.... Wese bhi aap hamari Ammi ki wajah se already aapki life ke 6 mahine barbaad kar rahe he.... Itna to hum kar hi sakte he... Hum couch par so jayenge aap aaram se bistar par so jaiye....

AS - Haseena ji hamari maa ne hume yahi sikhaya he ki aurto ko takleef me rakh kar khud aaram nahi karna chahiye.... Aap so jaiye bistar par hum couch par so jayenge... Wese bhi mission ke chalte hume 6-6 mahine ajeebo garib jagaho par rehna padta tha... Ye to phir bhi couch he.... Aur hum dono hi bohot jyada thake huye he to is baare me aur baat nahi karte...

HM too thought it was not good to argue.... So she quietly gave him blanket and pillow and slept on the couch....

Both closed their eyes but sleep was far away from their eyes...

HM pov- Kesi hoti na ye kismat.... Hum agar is na chahi shadi me fase bhi to Sir jese nek insan ke sath... Agar koi aur hota to wo kyu ye sab karta... Hum jane hamari ammi jane wo kyu apni jindagi ke 6 mahine barbad karte.... Hum bhi aaj wada karte he jab tak hum is shadi me he tab tak pure dil se is rishte ko nibhayenge.... Sir ki har khushi kar dukh me in 6 mahino unka sath dungi....

AS pov - Bhagwan ne bhi kesa khel khela he humare sath.... Jo insan desh ki khatir kisi se shadi nahi karna chahta tha use usi desh ke khatir shadi karni padi.... Lekin hum Haseena ji jesi sacchi aur desh bhakt ladki ka dil kabhi nahi dukhayenge.... Hum jante he maa ko khone ka dard kya hota he hum unhe is dard se nahi gujarne denge.... Aur jab tak is rishte me hum he hum is rishte ke man ko rakhenge... Hum Haseena ji ki har khushi ka dhyan rakhenge in 6 mahine... Aur ammi ne hume beta mana he to hum bhi unke bete ke saare farz nibhayenge....

Precap - Anuseena plan their holiday...

Who is Natasha??.... What was Karishma talking about??....
Will be revealed in later chapters😁...

Marriage For Mission Or LoveWhere stories live. Discover now