Kartik: Decision toh apne liya hai but Ishqi ke liye nahi..society ke liye....logon ke liye, so called rules ko follow karne ke liye but apni beti ki khushi ke liye nahi...

Manav: Woh meri beti hai aur mein jaanta houn ke uss ke liye kya sahi hai aur kya galat! Aur uss ka yeh faisla bohot galat hai! She doesn't understand ke log kya kahenge agar Rahul aur usski engagement toot gayi aur ussne Ahaan se shaadi karli! 

Kartik: Uncle, logon ka toh kaam hai kehna...Ishqi is an adult aur woh apna accha burah khud samajti hai...Aur logon ne zyada se zyada ek-dou hafton ke liye baatein baanani hai? Phir unko koi aur mil jaiga gossip karne ke liye! he said, trying to knock some sense into Ishqi's father. 

Manav: Baat sirf society ki nahi hai! Mein Rahul ko tab se jaanta houn jab se woh paida hua hai but mein Ahaan ko sahi tarah nahi jaanta..kya guarantee hai ke woh meri beti ko khush rakhega?

A faint smile appeared on Kartik's face, instead of a "stubborn-egoistic man who was overly worried about societies taunts", he now saw a father who was worried for his daughter's future happiness. "Uncle mein jaanta houn ke aap ke liye yeh zyada matter nahi kareyga but phir bhi mein aapko assure karta houn ke bhai bohot khush rakhege Ishqi ko. Aur yeh mein sirf issiliye nahi keh raha kyunke woh mere bhai hai balke mein yeh issiliye keh raha houn ke unn dono ki khushi saath hone mein hai" 

Manav: Mein kaise maan loun?! Ishqi ke mamle mein-mein koi risk nahi le sakta!

Kartik: Aap meri baat mat maaniye but aap ek-dou din khud observe kijiye...I know ke aap pyaar mein zyada yakeen nahi rakhte but I swear, unn dono ko saath dekh ke aap ko bhi pyaar hojaiga..

Manav: HUH?!

Realizing that he'd completely mixed up his words, Kartik facepalmed himself, "Sorry sorry, I meant ke pyaar mein yakeen hojaiga.."- Manav chuckled, "Accha uncle, mein chalta houn, I know mein zyada time bakwaas karta houn but phir bhi aap please soochiye ga jo meine kahan hai..." Kartik said as he stood up and went towards the door.

"Kartik!" Manav called out- 

"Gi" he said as he turned around- 

"Thanks...tum ho toh saab se chote but baatein barho waali karte ho...You're a nice kid"

Kartik smiled cheekily, "Thank-you Uncle" he said and exited the room, closing the door behind him. 

"Wah! Image bhai ki banane gaya tha aur meri bhi bann gayi...ek teer se dou nishane! Tu amazing hai Kartik...Bhai aur Ishqi ki love story sort karte karte apni mat bhool jaio...aise hi kamaal karte rahoge toh tera rasta toh saaf" Kartik mumbled out loud- 

"Kon sa rasta?" he heard, bringing him out of his thoughts- "Bhai?" 

Ahaan walked towards him, "kon sa rasta?"

Kartik: Kon sa rasta? 

Ahaan: Abhi jo tu barbara raha tha???

Kartik: Arrey bhai, aap mera rasta chodo aur apni at hand tragedy pe focus karo- Aap yahan kya kar rahe ho??

Ahaan: Manav uncle se baat karne aya tha...

Kartik: Woh situation filhal meine sambhal li hai, aap mujhe yeh baatao ke room mein kon se jwala mukhi phate??

Ahaan: Shut up Kartik! Aur kon si situation? Kya kiya hai tu ne? Seedha seedha baata de warna pitega!

Kartik: Arrey bhai, aap itne hyper kyun h- he stopped when he noticed tear stains on Ahaan's face and his gloomy gaze glued to the floor."He looks sadder than he's ever looked before." 

Kartik pulled his brother into a hug to which Ahaan reciprocated, knowing he needed it more than anything right now. "bhai! are you okay?" Kartik asked concerned, knowing well his elder brother was not okay. 

"K-Kartik mujhe bohot darr lag raha hai, aisa lag raha ke mera pyaar mere se cheen jaiga" he sobbed on Kartik's shoulder- 

"Bhai, aap tension mat lo, kuch nahi hoga..." he tore from the hug, "Manav uncle Ishqi ko emotionally blackmail kar rahe the...Aapko chod ke Rahul se shaadi karne ke liye keh rahe the...but guess what?"

"What?" Ahaan said as he wiped his tears- 

Kartik: Uss ne haan nahi kiya, she took a stand for you and herself!...aur meine bhi unse baat ki, he seemed to understand a little..aur aap dekhiye ga..Jaldi hi saab theek hojaiga.."

Ahaan nodded, "Thanks Kartik"-

Kartik: Arrey, aap mujhe thanks mat bolo, jaa ke Ishqi se baat karo...I know aap logon ne jo plan kiya tha uss ke hisaab se toh obviously kuch nahi horaha-

Ahaan: Tujhe kaise pata?

Kartik: Aap dono ki shakalon se pata chal raha hai, har second bechare dono ko koi na koi jhatka mil raha hai-

Ahaan: Hmm- he said as he practically ran to the other side of the hall and towards where Ishqi's room was. 

"Aaj toh almost pakra gaya! Kartik tu na apne thoughton ko apne dimaag tak hi rakha kar...no need to say them out loud. Especially not now..." Kartik said to himself as he went towards the garden. 

//To Be Continued//

Q- Do you guys prefer Rhea or Rahul? Do let me know cuz I need to get rid of one of them 😅

===============================================================================

That's all for today guyss!! This ch was mostly dedicated to Kartik cuz he's the best 😆- hope ya'll liked it! { Word Count: 1520 } Next part'll be updated soon!💛

Suggestions are always welcome ⚡️

Pls ignore any mistakes 😙

Lots of love and stay safeee ❤️

~ Vera 🌸

Ishqaan: The Games of Destiny ( ✔️)Όπου ζουν οι ιστορίες. Ανακάλυψε τώρα