Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙...

Galing kay ItsButterstar_

203K 12.8K 22.3K

Yeh nikkah deal hai yaad rahey! Iss baazi mein koi ek bhi haar gya toh? Game over ! ══════•❁❀❁•══════ Tumh... Higit pa

Author's Note
Let's Meet Them.
Chapter 1| Yeh mera aaj hai
Chapter 2| Manjdhaar
Chapter 4| Intizaar
Chapter 5| Ek kal raakh hua, Ek kal maloom nahi
Chapter 6| Deal
Chapter 7| Sangemarmar Ka Dil
Chapter 8| Aatish
Chapter 9| Khwaabo kay Musafir
Chapter 10| Parwaaz e Nahumwaar
Chapter 11| Raaz e Rang
Chapter 12| Husn e Nazar
Chapter 13| Dastak
Chapter 14| Sard Bahaar
Chapter 15| Barf sa sard
Chapter 16| Dil se nikley hain yeh Lafz
Chapter 17| Bss itna hai tumse kehna..
Chapter 18| Dil sambhal jaa zara
Chapter 19| Dhalti Shaamein
Chapter 20| Alvida! Ay Dil
Chapter 21| Sawaal zehar ka nahi tha woh toh mein pee gya
Chapter 22| Ab kay hum bicharey toh shayad Khwaabon mein milein
Chapter 23| Bin Roye
Chapter 24| Waqt ne kiye kia Haseen Sittam
Chapter 25| Aghaaz e Anjaam
Chapter 26| Faasley
Chapter 27| Broken and Burnt
Chapter 28| Tu Dard bhi, Tu Dawa bhi
Chapter 29| Mumkin hai
Chapter 30| Aşk
Chapter 31| Baaran
Chapter 32| Charha Dey Rang
Chapter 33| Tere Haatho ki tarf Mere Haatho ka Safar
Chapter 34| Poori Hui Dua
Chapter 35| Baa yakjaa mann o tu
Chapter 36| Tu saabit e hassti Ashq e mn
♡ Author's ending note ♡
Chpater 38| A Whole New World 🦋
MY MOTHER! ♡
Chapter 39| Girtey Sambhaltey yunhi Chaltey
Chapter 37| At Last I see the lights

Chapter 3| Rivayaat

4.2K 306 201
Galing kay ItsButterstar_


"O tussi kin'ni daer laani a aithey?" Aurangzeb Sahb subah se intizaam mei masroof thai. Haveli k wasseeh o areez baagh mein kharey mulaazmeen ko hidayat de rahey thai.

"Baba bass karein kyoun itni tension le rahey hain. ek function hi to hai !" Safoorah ki awaaz thi. woh kaafi dair se inkay peechey khari kuch soch rahi thi.

"Puttar jee yeh humari fassal ka itna eham tehwaar hai. Aisey kese na tension lun. Sarey karobaari mehmaan arhey!"
Unka andaaz hashash bashaash tha.

"Baba ek baat karni hai." Safoorah baghaur unka chehra parh rahi thi.

"Pehle e pata sii mennu! Dasso ?"
Apni beti k chehrey ki uljhaney woh bhi saaf samjh sktey thai.

"Baba actually mein... woh darasal... "
Boltey boltey achanak zehan se ek awaaz sunai di ussey.

"Kese baat karein gi fia? Apko pata hai barrey abu iss mamley mein nai sunney gain. Pehle e itni mushkil se ijazat di thi aur yeh to bilkul hi risk hai."

"Puttar kia baat hai sb theik hai na?"
Apne baba ki awaaz pr usne ek gehri saans li.

"Baba mein aur Zaira baahir parhne jana chahtey hain!"

"To yeh to achi baat ay betaa jee.. dil lga k parho !"
Woh waqqi khush huey thai.

" America mein !"
Agley lamhey Aurangzeb k chehrey pe sannata chaa gya.

"Baba please. Ek baar meri baat sun lein araam se phir koi faisla lijye ga please.... "

Safoorah agey barhi hi thi k unho ne hath k isharey se ussey roka. unk chehrey pr halki si sakhti darr ayi thi.

"aap ne zidd ki Zaira aur apni parhaai shehar mei krni hai mei ne kuch nai kaha kyoun k mein apni betiyo ko zamaaney k sath khara dekhna chahta tha lekin iska hr ghiz yeh mtlb nai tha k aap pardes parhne chali jayein. Apne chotey abbu k waqiye se naseehat leni chahiye apko!"

Iss waqt woh waqqi Jageerdaar maloom ho rahey thai.

"Baba yeh baat ap keh rahey hain? Ap hi to kaha krtey thai isme kisi ki ghalti nai yeh unki kismat thi. har larki choti ami jesi nai hoti, mein to apki beti hun apko bharosa nai hai mujh pe?"
Safoorah ko jese wjah sun k dhachka lga tha. aur kuch bhi ho usne iss wjah ki tawaqau nai ki thi.

"Safoora Baisaakhi k baad kuch log apko dekhne arhey hain. Mera khyaal hai apna dehaan us trf lgayein!"

unho ne sanjeedgi se baat khatam krni chahi thi.

"Baba yeh ghalat hai. Ap to km az km uss soch k malik na bney phir ap kehtey hain mujhe apni riwayato se chir kyoun hai. "

Safoorah agr thaan le to phir akhri had tk koshish kr k guzarti hai.

"Zairaaaa! " Aurangzeb ne ahista se awaaz di.

"G barrey abba!"
Woh jantey thai Zaira Safoora ko akela nai chorti. Kisi darwazey k peechey se nikley gi aur woh sai bhi thai.

"Safoorah ko kamrey me le jayein aur iski madad karayein!"

"G barrey abba. Chalein fia Please... !" Usne safoorah ka baazu pakra tha.

"Baba Mein apko ek baat bta dun jo aapne Zaira k sath kia hai mein apne sath nai hone dun gi !" Safoorah ne ek zakhmi nazar Zaira pr daali thi.

"Aur kia kya hai mein ne Zaira k sath!"
Woh ab mazeed sanjeeda dikhai de rahey thai.

"Uss bhayns jesi aqal waley se iski mangni krwa di apne beghair yeh janey kay Zaira Khush hai k nai?"
Safoora cheekh nai rahi thi magr zich thi.

"Fiaa bs karein please....!"
Zaira ne usey kamrey ki trf kheencha tha.

"Kyoun bass karun. Tum insaan nai ho? Tum apne lye nai bol skti to mein bolun gi... "

"Zaira bchey ap khush nai hain?"
Aurangzeb ko Safoorah ki yeh bdtameezi ab naraz kr rahi thi.

"Woh apse kuch nai bol skey gi mein bol rahi hun woh khush nai hai. Jis trha ka woh jaahil hai ... "

"Safoorah! Ek lafz aur nai ab! Apne kamrey mei jaou wrna mujhe sakhti krni parey gi."
Is guftago mei pehli bar unki awaaz oonchi hui thi.

"Khuda ka waasta hai fia.. please chalein!"
Zaira ussey zabardasti kheench kr le gyi.

_______________

"Kia msla hai apko. Kyoun har baar apko aag se khelna hota hai. Aap kyoun nai araam se sabr krtei !"
Ab ghussa krney ki baari Zaira ki thi.

"Allah G bhi unki madad krtey hain Zaira jo apni madad aap krtey hain. Apne jaaiz khwaab k lye larna aur koshish krna ghalat nai hai. Sabr haq mein behtr faislo pr kia jata hai, daqyanoosi riwayato pr nai. "
Woh Baizaar lehjey mei boli thi.

"Fiaa dekhain.. is trha mt karein. Barrey abu bdgumaan hojaye gai apse!"
Zaira usk paas a kar Beth gyi.

"To kia karun? Tumhari trhaan chup chaap beth jaoun. Tumhey shauq hai na chup rehne ka, raho. Pr mein apni aur tumhaari zindagi barbaad nai hone dun chahey mujhe kuch bhi krna parey. Woh Jaahil jissey larkiyo se baat krne ki tameez nai hai tumhey kese khush rakhey ga!"

"Apka bhaai hai woh!"
Zaira janti thi Safoorah ko Faheem zehar lgta hai jo kay kahi na kahi ussey bhi zehar hi lgta hai.

"Bhaai nai seengo wali bhayns hai woh!"
Ab dono hi hns parii thei.

_____________________

LAHORE, PAKISTAN

Lahore mein waaqiyah yeh jadeed tarz ka khoobsurat ghar jitna shaandaar tha utna hi khaamosh bhi. Gehri shaam mein Roshniyo se jagmagaata mgr har koi chup chaap apni zindagi jeeta.

Gate pr maujood siyah audi teen dfa horn kr chuki thi aur ab gate slide hone ka intizaaar kar rahi thi. gate khultey hi rocket ki speed se 35 feet chorey garage mei yeh teesri gaari daakhil hui thi.

Darwaazey slide ho kr opr uthey thai aur andr se 2 firangi shahzaadey baahir nikley thai.

dono apni hi adaoun aur maghroor se andaaz mein andar daakhil huey. mulaazmeen ko hidayat thi. woh pehle hi darwaaza khol chukey thai.

"Assalam Alaikum Ruhaan sahab. Assalaam alaikum Aarish sahab"

"hey wassup AQ. How's your new wife?" Aarsih barey shauqeen andaaz se bola tha.

"Aarish Pakistaaaaaannn!" Ruhan ke lehjey mein halki si tanbeeh thi.

"walaikum salaam! Daadi janam kidr hain?" uska andaaz sanjeeda aur rookha tha.

"woh jee apne kamrey mein Quraan parh rahi hain!"

Ruhaan sar hila kar daadi jaan k kamrey ki trf chala gya aur Aarish kisi bairooni tourist ki trhaan seeti bjata usk peechey hi chal diya.

_____________________________

الفاتحة 1:1

بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ

In the name of Allah, the Entirely Merciful, the Especially Merciful.

الفاتحة 1:2

اَلۡحَمۡدُ لِلّٰہِ رَبِّ الۡعٰلَمِیۡنَۙ

[All] praise is [due] to Allah, Lord of the worlds -

الفاتحة 1:3

الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِۙ

The Entirely Merciful, the Especially Merciful,

الفاتحة 1:4

مٰلِکِ یَوۡمِ الدِّیۡنِؕ

Sovereign of the Day of Recompense.

الفاتحة 1:5

اِیَّاکَ نَعۡبُدُ وَاِیَّاکَ نَسۡتَعِیۡنُؕ

It is You we worship and You we ask for help.

الفاتحة 1:6

اِہۡدِنَا الصِّرَاطَ الۡمُسۡتَقِیۡمَۙ

Guide us to the straight path -

الفاتحة 1:7

صِرَاطَ الَّذِیۡنَ اَنۡعَمۡتَ عَلَیۡہِمۡۙ۬ غَیۡرِ الۡمَغۡضُوۡبِ عَلَیۡہِمۡ وَلَا الضَّآلِّیۡنَ٪

The path of those upon whom You have bestowed favor, not of those who have evoked [Your] anger or of those who are astray.

( SURAH FATIHA RECITIATION )


Darwaazey par dastak hui thi.

"Biya to!" (ajao!) ek narm mgr raubdaar awaaz ne faarsi mein kaha.

"Aysh what's up? I missed ya so much!" Aarish ne headphones gardan mein atkaye huey thai mgr sar aisey ghuma raha tha jese bas abhi beat pakr le ga.

"Salaam honda ay khoteya! mein chittar chak lena ay. Aysh da puttar!" Daadi jaan ne uski muscial entry ki izzat afzaai kr k hath mein pakra di thi.

Ruhaan muskurata hua aagey barha aur jhuk kr unka hath chooma.

"Chay toori ashqam?"( kesi hain pyaari?) Ruhaan ne faarsi mei pucha tha.
Uski Woh bhoori, gehri, muskurati aankhai. uthi hui maghroor naak. uskey chehrey ki taraash khoobsurat thi. Daadi jaan aksr ussey Daada jaan se milaya krti thei. Jeans jacket mein malboos bhoorey baalo wala yeh larka bala ki maghroor aur mas' hoor kun shakhsiyat rakhta tha.

"man aali hastam!( bilkul shaandaar!) Daadi jaan ne muskuratey huey iska maatha chooma.

"And if both of you are done with your romance , Hello I'm Aarish !"
(Agr aap dono ka ho gya hai to Hello mein Aarish hun!)

"Aidar a khoteya! "
woh daant nikaalta aagey barh k Daadi jaan k gaaley lg gya.

Daadi jaan ne pyaar se Aarish ka maatha chooma.

"dair kr ditti tussi lokaa ne aandey! safar changa si? "

"whoa Ru who is safar? were we suppose to meet safar?"

"Ghaddhey! Safar means journey ! she is asking about our journey!"

"KHABARDAAR! mei chitthar la lena ay. koi angraizi vich gal na karey mere samney! faarsi ya punjaabi bas. "

"Daadi aysh you cant do this to me!"

Aarish pareeshani se daadi jaan kay paas baitha unhey daikh raha tha aur yeh ayi ek pyaar bhari chammat.

"O tey pushto tey urdu vi bol le ga tu tey faarsi vich e gal karey ga!" Daadi ne Aarish ko baqaida dhamki di thi.

"Daadi Ashqam Aarish ne urdu seekh li hai!" Ruhaan ne uska difah kia.

"Acha tey suna ?"

"Aarish urdu bol please!" Ruhaan aankho se ussey kuch yaad dilaney ki koshish kr raha tha.

"Kameena. andha jiya. ullu ka... !"
Aarish khushi se jazbaat mei bol raha tha kay Ruhan ne usk mun bnd kr dia.

"Bassss bassss mera puttar basss kinna zor laye ga?. "

"But you're my aysh, daadi aysh !" Aarish ne masoom si shakal bna li thi.

"Faer angraizi !" Daadi jaan ne phir chamaat ka ishara kia tha.

"Mafizz . mafizz !" Aarish jhatkey se uth khara hua.

"Maafi aur Khuda hafiz hota hai. !" Ruhaan muskura raha tha.

Yeh sb kitney saalo se aisey hi tha. Ek bas yahi Rishta tha jisne Aarish, Ruhaan ko Daadi jaan ya kaha jaye Pakistan se jorr rakha tha. Thori hi sai mgr Muhabat aur rivayaat se jorr rakha tha.

_________________________

Ipagpatuloy ang Pagbabasa

Magugustuhan mo rin

61.6K 3.9K 34
"Woh muskurahat bhool hi nahi paata main,woh chehra mere samne se hat ta hi nahi..." "Mohabbat ho gai he usse?" "Nahi. lekin agar phir woh muskurahat...
2.9K 172 2
"مجھے تمہارا ہاتھ اس لیے پکڑایا گیا ہے کہ سکھ میں اسے پکڑوں اور دکھ میں اسے اور زیادہ مضبوطی سے تھام لوں" ...
19.5K 1.3K 29
Zaryan Saeed & Seherunnisa Afnan Kuch rishte aap ki zindagi me ek thande hawa ke jhonke ki tarah aate hain aur kabhi do pal ka sakoon de kar chale ja...
4.4K 380 10
رحلتِ نور یعنی نور کا سفر! یہ کہانی ہے نور کے مسافروں کی! یہ کہانی ہے اندھیروں میں بھٹکنے سے لے کر نور کی طرف سفر کی! یہ کہانی ہے نور کے راستے پہ چ...