CRAZY SOULS

By sofss_17

45.2K 7.6K 1.7K

When one falls in love whose craziness matches with another.... A love story of giraffe and bakri More

✨ONE BIG MESS✨
✨THIRD UMPIRE 🏏✨
✨GIRAFFE AUR BAKRI KI BIKE✨
✨REVENGE PLANNING✨
✨REVENGE LIZARD FIRED✨
✨PAINING DISTANCE✨
✨KHOOBSURAT BAKRI✨
✨ASKING HER OUT?! ✨
✨UNOFFICIAL GIRLFRIENDS✨
✨MYSTERIOUS DREAM✨
✨FALLEN FOR HER ❤️✨
✨DATE OF LOVE 💞✨
✨MY SPECIAL ❤️✨
✨THAT UNKNOWN FEELING✨
✨TIME MATTERS✨
✨THE ONE ACT ✨
✨THE LAST TIME ✨
✨I LOVE YOU✨
✨I LOVE YOU TOO✨
✨LOVE MEANS THE WORLD ✨
✨I BELONG TO HER✨
✨SEPARATED HEARTS✨
✨THE LEAP✨
✨ALMOST SPILLED✨
✨THE RIDE BEGINS✨
✨WONDER SURPRISE✨
✨ONLY MINE✨
✨THE FINAL RIDE✨
✨HER RESPONSIBILITY✨
✨HER LIFELINE✨
✨THE PLAYFUL LOVE✨
✨LOVE, LIVE & LAUGH✨
✨APPROVAL & ACCEPTANCE✨
✨LOVE OR DECEPTION✨
✨THE FACE-OFF✨
✨CROSSROADS OF HEARTS✨
✨LOVE & WRATH✨
✨NEW ADVENTURE✨
✨DARK SEA OF SECRETS & REVENGE✨
NOTE
✨THEIR WORLD✨

✨LAST NIGHT✨

943 188 18
By sofss_17

Back to Lucknow,
After a long week of spending quality time together Haseena and Karishma return back to Lucknow.
The next day Haseena is supposed to leave for the Mumbai Port, from where she will be joining her job. Both Mallik's and Singh's were sad about her departure but the most miserable is Karishma. 
To cheer up everyone, Aayan and Barbie arranged dinner for both the families. Everyone was having dinner silently. Haseena was seated right in front of Karishma. Karishma was trying her best to control her emotions and tears.

"Arey aap log itne chup chap kyu ho?", After dinner, Haseena broke the silent environment and gets up from her seat, hugging pushpa ji from behind. "Pushpee aap toh Kam se kam sab ko samjhaiye na."

"Haseena... Ab humari best friend jaa rahi. Kis k saath gossip karenge", Pushpa ji said in a sad voice.

"Aap bhi? Kya yaar hum aap ko kitna strong samhjte the. Sherni hai aap."

"Beta inn sab ko chhod. Hum bahut khush hai. Haan thoda sa dukh hai ki itne mahine hum se dur rehegi. Par tum ne humara khwab pura kiya. Tum ne jo itni mehnat ki hai ye uska phal hai. Aur hum bahut khush hai. Allah tumhe aur kamiyab kare.", Shehzad Mallik said coming near to his daughter and gave her blessings.

"Tum galat baat mat daalo humari beti k dimag mein. Hum bhi bahut khush hai.", Noor Jahan said strictly which soon changes into unhappy one. "Par hum se dur jaa rahi hai. Iska dukh nai hoga?"

"Ammi... Ye humari behan hai. Dekhna kaise promotions milenge.", Aayan said.

"Bilkul. Aur di ne bataya hai na unke ship par internet hai. Aap log jab chahe baat kar sakte hai.", Cheetah says keeping his hand on Santu's hand who is really emotional. Santu responds by holding his hand tighter.

"Haan wo baat alag hai ki agar wo baat nai chahti hai toh aap logo ka call nai receive karegi.", Barbie tried to make the environment light.

"Kya yaar bhabhi...? Aise aag toh mat lagao.", Haseena complains.

"Agar tum ne call nai uthaya aakar tumara sar phodenge abhi bata rahe hai.", Karishma finally speaks.

"Tumara calls toh khas tor pe nai uthaengey bakri!", Haseena teased her.

"Bhulo mat hum koun hai."

"Haan haan ache se yaad hai."

"Hasu di aap unka nai humara call uthana. I'm your little sister na...", Santu said.

"Okay!!! Hum sab ka call uthayenge siwaye bakri ka.", Haseena teased her again.

"Giraffe humare saath ye ganda mazak karne ki zaroorat nai hai.", Karishma was hurt but Haseena didn't get it.

"Mazak nai sach hai. Jitna tum ne sataya hai na. Yehi karne wale hai tumare saath.", Haseena continues her teasing.

"Theek hai mat karo. Hume kounsa farak padne wala hai. Amma hum ghar jaa rahe hai.", Karishma says and storms off.

"Hasu... Aise nai karte. Chahe tum dono jitna bhi lado par ye baat manlo nai reh sakte ek dusre k bina. Bina ek dusre ki tang keeche hue.", Noor Jahan said.

"Ammi hum mazak kar rahe the.", Haseena puts her point.

"Jo usse pasand nai aaya beta.", Shehzad Mallik explains.

Haseena realises her joke has crossed the line. She rushed behind Karishma followed by Barbie.

"Haseena!", Barbie stops her in the front yard.

"Ji bhabhi."

"Hume kuch baat karni hai."

"Pehle bakri ko dekhle phir aate hai aap k pas.", Haseena again runs towards the gate.

"Hum jante hai tum dono k baare mein!", Barbie said which froze Haseena's steps. "Humari baat sunkar jao."

Haseena was flabagestered by Barbie's words as misri and Mira were the only ones to whom their relationship not hidden. Except these two no one in the world knew about Haseena and Karishma. Hundred of questions came in her mind, unable what to reply or what to do. She slowly moved to Barbie and stood lowering her head with guilt.

"Tumhe ya karu ko sharminda hone ki zaroorat nai hai.", Barbie said keeping her hand on Haseena's shoulder.

"But di... Wo...", Haseena tried to speak but she didn't have enough courage.

"Chalo tumhe aaj ek secret batate hai. Karu ko tum se pyaar hai, usse realise karane wale hum hi hai.", Barbie shots another bullet of truth. "Ab ek aur sach. Hume tum dono k baare mein khud karu ne bataya hai.

Haseena looks at her surprisingly. Now she doesn't have any word or even a letter to say. All this time, she was thinking it is Misri and Mira who did this. She was confused about karishma because few days back, she took promise from her to not disclose their relationship. And now she herself said it to Barbie. Haseena wasn't able to understand what was going on.

"Fikar mat karo. Humare alawa kisi aur ko nai pata. Sahi time par hum sab se baat karenge. Amma, ammi, Aayan, sab...", She continues.

"Dii... Hum sach mein... Karishma se mohabbat karte hai.", Haseena says nervously.

"Hasu hum jante hai. And I truly appreciate your love. I don't have any problem.", She tried to encourage. "Ab humari baat bole?"

"Ji..."

"Humari behan duniya k liye ek doctor hai par andar se sensetive aur naram dil hum jante hai. She is just like coconut, hard from the outside world but soft from inside. Jaise wo khud ko dekhati hai waise wo hai nai. Jaise tum dono iss rishte mein aage badhoge toh tumhe malum hoga, asal Karishma Singh hai koun."

"Ji." 

"Aaj hum, tumhe apni behan ki zimmedari de rahe hai. Uska humesha khyal rakhna. Jitna chahe lado par kabhi uska Dil mat todna, shyd seh na paye.", Barbie almost requested being emotional.

"Bilkul di hum sab samhj rahe hai...", Haseena said holding Barbie's hand in between her palms. "Par ek cheez nai."

"Haan pucho."

"Kyu seh na paye? Matlab hum aisa kuch karenge toh nai but iske peeche ki wajah?", Haseena asked.

"Karu ne ye bhi bataya hai usne tum se kasam li hai kisko nai batane ki. Bas samhjlo kahi na kahi ussi se related hai. Aur humara bharosa karo ye baat khud karu hi batayegi."

"Aap bhabhi baad aur humari badi behan pehle hai, Barbie dii. Aaj aap ne hum par bharosa dekhaya hai uss par khada hokar dekhenge.", Haseena said with determination.

"Abhi jo usse dekho. Usse tumara mazak acha nai laga.", Barbie said.

"Ji theek hai.", Haseena moves towards the same.

"Don't worry hum Amma aur Santu ko ghar aane nai denge, Pyaar se manana humari behan ko! Thode nakhre karegi par maan jayegi. Take your time.", Barbie teased her.

Haseena blushed on this statement and immediately rushed inside Singh's house. She looked for Karishma but couldn't find her anywhere. Then she goes in the room where Karishma was on the bed, weeping. Haseena runs to her and holds her.

"Bakri... Kya hua? Why are you crying?", Haseena asked getting worried.

Karishma jerks off her hands and turns away from her. "Get lost!"

"Do you think I will leave you in this state?"

"Tum duniya ki sab se buri insaan ho. I hate you!!"

"Humare kaan kharab hogaye kya? Tum ne I love you bola aur hume I hate you sunai aaya.", Haseena said checking her ears.

"Hum ne I hate you hi bola hai."

"Ohhh par kyu?"

"Kyuki... Hum kyu bole. I will not. Get lost giraffe!"

"Kabhi tum ne dekha hai?",

"Kya?"

"Khud ko mirror mein.

"Haaan bahut baar. Ab nikalo yahan se."

"Hayee tum rote hue aur gussa karte hue kitni cute lagti ho. Ye tumari gol naak tamatar ki tarah lal ho jati hai. Aur gaal par natural blush... Uff you are looking so cute.", Haseena' said pulling her cheeks.

"Hasu!!! Hume tang mat karo!!"

"Acha bolo na...", Haseena requested.

"Kya bole?", Karishma asked.

"Hum kya pehane kal?, Haseena said, slowly taking Karishma in a back hug.

"Kuch nai. Huh!", Karishma said in upset yet dramatic tone.

"Bakrii!! Don't you have any shame? Tum apni girlfriend ko bina kapdo k kaam pe bhejogi?"

"Haan. Ohh aap ko yaad aaya girlfriend hai?", Karishma taunts.

"Tumhe kaise bhul sakte hai. You are my most irritating cutie pie.", Haseena said kissing her cheek.

"Ye tareef hai ya beizzati?", Karishma asked looking back at her.

"My love of life... Tareef hai.", Haseena covered up.

"Hum tumhe bahut miss karenge...", Fresh tears sheds from Karishma eyes.

"Karu... Calm down.", Haseena said softly.

"Kaise calm down ho? Tum batao!", Karishma shouts getting up from the bed. "Pehle toh hume humara beech kya hai samhj nai aa raha tha. Phir jab samhj aaya aur tum se pyaar hua toh tum jaa rahi. Log sahi kehte hai, jab koi insaan tumara addiction ban jata tabhi chhod kar chale jata hai. Tum bhi wahi kar rahi ho. 14 saal saath rahe hai, din raat. Relationship ko toh bas 10 din hue hai. Par hum unn 14 saal ka kya kare? Agar ab iss waqt hum relationship mein nai hote aur tum jaa rahi hoti toh bhi hum bolte hum miss karenge. Tabhi bolte mushkil hoga tumare bina jeena. Then how the hell do you expect from me that after being in love with you and you are going thousands of miles away, I should calm down and relax?!", Karishma vent out her furstation.

Haseena held Karishma's shoulders tight, "Ssshhh! Okay don't calm down. Yes it's bitter truth I'm going away from you. But not from your heart, love. I'm always in you. Haar waqt tumare pas hai.".

She slowly takes Karishma in a hug. Karishma wraps her hands around Haseena, hugging her more tightly.

"I'm sorry...", Haseena said regretfully.

Karishma tried to break hug but Haseena didn't let her go. "Hasu kya bol rahi tum?", She asked in surprising way.

"Karu... Tumhe akele chhod k jaa rahe hai. Jab ki iss waqt tumare saath hona chahiye. Tumhe aur humare rishte ko samhjna chahiye. Jante hai tum upset ho iss baat se. I'm sorry.", Haseena cried.

"Nai... Aisa toh bilkul bhi nai hai. Tum galat samhj rahi ho.", Karishma says while rubbing her back. "Hum bahut khush hai. Tum ne apna sapna pura kiya hai aur iss baat par hum se zyada khush koi nai ho sakta. You know why?"

Karishma says trying to console her. While Haseena held Karishma more tight, crying on her shoulder.

"Because my love, achieved her dream, completed her father's goal. I'm most happiest person. Hum tum se bilkul bhi upset nai hai. Bas thoda sa dukh ki hum tum dur honge. Heart surgeon is my dream just like yours is captain. Aur sapne pure karne k liye thodi bahut difficulties toh hongi hi.", Karishma explains her like a kid.

After a few minutes, Haseena calms down and comes out of the hug, kissing her forehead then held her hands tightly.

"Thank you...", Karishma was about to interrupt but Haseena didn't let her. "Hume bolne do. Really I'm very thankful to you. Humesha humare saath rehne k liye. Humesha humari family ko support karne k liye. Bhale hi humare point of views bahut alag hai but tum ne kabhi iss baat ko humare beech aane nai diya. Thank you for coming into my life as my love, my friend, and everything."

"Kya kare ab hum hai hi itne ache."

"Aur ek baat. Ab humara sapna kuch aur hai."

"Kya?"

"Humara sapna ab ek hi hai, tumare saath apni puri zindagi bitana, apne ek ghar mein. Jahan humari family aur pyaar ho."

As Haseena completes her words, Karishma was stunned by her. There a lot of mixed emotions running in Karishma. She didn't knew how to react, to be happy, to be grateful to God, to be honest with her and tell her she to dreams of the same things or just kiss her, letting out her love.
Before she could say, Haseena engaged her in passionate kiss.












Continue Reading

You'll Also Like

88.8K 8.6K 47
Hey! this is my first kareena love story with alot of mysteries , twists n turns , romance and a lot of suspense 🤫 . So please give it a try . pe...
36.9K 6.4K 35
You all can derive the story from the title itself. Keep Supporting for more Kareena Story With Gratitude RJ
32.7K 4.1K 51
It's a karEena love story.... For the introduction part 👆👆 "I think it's more than enough" Disclaimer - there is no concept of tomboy /she male...
11.3K 887 15
hello everyone this is my first story kareena love #romance #mature scene #jealousy #takrar #language #violence (lil bit) so let's start plz...