After breakfast they all sits together chatting, when Devang and Poonam entered with their little one... they both take blessings from all and sits when Devang said to Nanu, "mummy papa ke itna sab bura karne ke baad bhi aapne humein bulaya, apna samjha, yeh hamare liye bohot badi baat hai Dadaji... mujhe bohot sharmindgi hai ki unhone apne hi pariwaar ke saath ye sab kiya... unka kiya toh maafi ke laayak bhi nahin hai... agar aap nahin humein apna samajhte toh hum bilkul akele ho gaye the... sabne humse rishta tod liya Papa ke gunaaho ki wajah se..."

Nanu wiped his tears and said, "beta yeh sab toh kismat ka khel hai... Raavan ke ghar mein bhi tum jaise ram ne janam liya yahi badi baat hai... agar tum baad mein humein unke khilaaf sabut nahin dete toh aaj hum unhein unke kiye ki saza theek se nahin dila paate... aur phir mere kitna kehne ke baad bhi tumne sharam ki wajah se Maheshwari Industries chhod kar Mumbai mein ek chhoti si Naukri kar li aur vahin settle ho gaye... aaj bhi mere ek baar bulane par yahaan aaye hamari khushiyon mein shaamil hone ke liye... ab sab bhool jaao aur enjoy karo... aakhir tum bhi hamare hi bachche ho..."

Poonam came to Sameer, "bhaiya, humein pata hai ki aapko aur Naina ko kitni takleef huyi thi, ho sake toh humein maaf kar dijiyega... agar humein jara bhi pata hota toh hum unhein pehle hi rok lete... aap logon ne kitna kuchh saha unki wajah se..."

Sameer hold her hand, "bhabhi aap aur bhaiya mere bade ho... aap maafi kyun maang rahe ho... jinki galti thi unko saza mil chuki hai... mujhe aapse koi shikayat nahin.." Devang came and hugged him apologizing again on his parent's deed...

Vivek to lighten their mood said, "ab chhodo yeh sab aur chalo apne devar ki shaadi ki saari jimmedari sambhalo... sab tumhein hi toh karna hai... aur Devang apne bhai ko ghodi nahin chadaoge kya..." he took the little one in his arms, "ab bhai apne Chachu ki shaadi mein dance bhi toh karna hai ... kyun hai na chhote sahab..." all laughed and starts discussing on all the preparations as guests will starts coming from tomorrow....

At Agarwal house, Anand and Bela came back early morning and saw all house messed up and girls were still sleeping... Bela wake them all except Naina saying, "chalo utho tum teeno aur ghar theek karo... usaki shaadi hai usse aaraam karne do... kal se rasmein shuru hongi toh thak jayegi..."

Preeti murmured while half sleepy, "yeh theek hai... kal Sameer ke chakkar mein voh teenon pit gaye aur aaj yeh madam sapno ki duniya mein doobi hai hamare haath mein jhaadu dekar... chalo beta kaam karo..." all three cleared all mess with Bela when doorbell ring...

Swati opened the door and shouts excitedly, "Pooja didi..." she hugs Pooja and took Poorva in her arms greeting to Varun.... they all entered and greet each other... then only Naina also came out and meet them...while settling Naina said, "Didi aap baitho mein aapke liye aapki pasand ki adarak ilaichi wali chai lekar aati hun... aapko mere haath ki pasand hai na..."

Pooja hold her hand and said, "nahin Naina, ab tu kitchen mein nahin jaayegi... tu bas baith aur enjoy kar apni shaadi ka har lamha... mein hun na sab dekh lungi..."

Varun too hugged her from side, "aur kya... ab Sameer ki Dulhan se kaam thode hi karwayenge... usse pata chala toh daudta hua aa jayega yahaan... pata laga bina phero ke aise hi utha kar le gaya..." they all teased her to make her blush profoundly....

At Maheshwari house, after lunch, Vishakha called them all out and said, "voh mein aur Poonam Naina ka shaadi ka joda dene jaa rahe hai... thodi der mein aa jaayenge... tum log kahin baahar mat jaana aaj..." she starts leaving with Poonam and her kid when Sameer said, "voh Mummy, shaadi ki rasmein toh kal se hai na... toh aaj kya mein bhi aapke saath chal sakta hun... aaj toh mil lun Naina se... please.." she smiled and said, "vaise rasam toh nahin hai, par theek hai chalo... par haan kal se koi badmaashi nahin chalegi... kal se no milna julna... samjhe.."

Kuchh Ankahi Baatein - Part 2 (Completed)Where stories live. Discover now