Pandit too getting very sleepy, "dekh bhai, hamari na shaadi ho gayi hai... aise tu aadhi raat ko humein baahar bulayega toh teri bhabhi kya sochegi hamare baare mein... samjha kar na.. galatfahmi ho gayi toh bhaari padega sab par..."

Sameer hit hard on his head, "bakwaas bandh karo donon aur chalo mere saath baahar..."

Munna asked shockingly, "kyun ab kya Naina aur Nanu ne tujhe ghar se bhi baahar nikaal diya... beta tu ne aaj harkat hi aisi ki hai, laat toh padni hi thi tujhe...." Sameer glared and pull them outside in garden...

They raised their brows to ask what next when he raised his finger towards terrace and said cutely, "mujhe vahaan jaana hai..."

Munna hit on his arm getting irritated, "bewkoof tu apne hi ghar ke raaste bhi bhool gaya kya, tujhe raasta nahin pata uppar jaane ka ... ghar ke andar se hi toh sidiyaan jaati hai... sidi chad aur chala ja... ab hum kya god mein utha kar tujhe chhod kar aayenge... duffer kahin ka... pehle ulti harkat karta hai aur phir raat ko terrace par walk karne jaana hai isse..."

Sameer said lowering his head like an obedient baby, "walk nahin karni... voh Naina vahaan uppar hai... mein gaya tha usko sorry bolne par us ne phir se mujhe terrace se baahar nikaal kar darwaja bandh kar diya... mujhe usey manana hai abhi ke abhi... mein subah ka intzaar nahin kar sakta..."

Pandit holding his laugh, "phir se... tere munh par darwaja... yaar kya hai tu, naak kata rakhi hai hamari... har baar daant kha kar munh latka kar vaapas aa jata hai... lagta hai tera charm ab feeka padne laga hai..." he winked to Munna and they both burst into laughter holding their stomach seeing his dull face....

Sameer jerked them hard, "yaar ab bas bhi karo aur jaldi se mujhe uppar jaane ka idea do... tumhein pata hai voh kitni udaas hai... maana maine galti ki hai par mein usse aise udaas nahin dekh sakta... dekho jaldi se koi idea de do na varna tum donon ko saari raat sone nahin dunga..."

They stopped laughing seeing him frustrated and angry... Pandit said, "yaar dekh yahaan koi pipe toh hai nahin toh tu apna pehle wala idea kyun nahin try karta.." trio shout together happily, "Sidi"...

Listening voices from outside, Ramdhari too came in garden rubbing his eyes and shocked to see them all standing there at this time, "bhaiya aap log kya phir se party karne aa gaye yahaan par... ab toh so jaaiye na... sab kitna thak gaye hai..."

Sameer went to him and said, "tu jaa aur jaldi se jaakar sidi lekar aa.." he looked him surprisingly but knowing his anger went other side of garden and bring the ladder....

Ramdhari asked innocently, "bhaiya aapko kya aadhi raat mein garden ki lights theek karni hai jo sidi chahiye... dekhiye kal hum electrician ko bula lenge, aap chinta mat kijiye aur aaraam se jaa kar so jaaiye..." Sameer glared him to shut his mouth when Mundit hold their laughter....

Sameer took the ladder from him and place to the adjacent wall to reach on terrace... he looked up when Ramdhari asked again innocently, "bhaiya hamare ghar mein andar se bhi uppar jaane ka raasta hai toh aap yahaan se kyun ja rahe ho... kahin gir gaye toh... au raise toh chor jaate hai na..."

Pandit put his hand on his mouth, "bhai chup rah varna yeh sidi se upar jaane se pehle tujhe jarur uppar bhej dega gusse mein... ek toh pehle hi uski band baji huyi hai aur tu aur aag mein ghee daal raha hai..." he nodded his head cutely and stood there when Pandit told him the reason to him slowly...

Ramdhari thinking again tried to say something but stood there remain quiet, "phir kuchh kahunga toh daantenge... chhodo mein bolunga hi nahin... kare jo karna hai... meri sunta hi kaun hai" he murmured making faces...

Sameer starts climbing up.. Munna said worriedly, "bhai sambhal ke jaana aur jaldi se mana kar neeche aa jana... hum yahin intzaar kar rahe hai... aur dekh baaton mein saari raat mat laga dena... aur sun agar voh gussa kare toh chup chap se sun lena, jyaada bahas mat karna... ladkiyon se baaton mein jeetna aasaan nahin voh bhi jab voh gusse mein ho... mera personal experience hai..."

Kuchh Ankahi Baatein - Part 2 (Completed)Where stories live. Discover now