CHAAR DEEWARO KE ANDHAR

41 10 8
                                    

In chaar deewaro ke andhar
Meri alag hi duniya hai,
Joh sabki nazron se chupai rakhi hai
Un sab logo se dur, bohut dur.

Yeh chaar deeware hi hai
Joh sab kuch jaante hai ki,
Main kitni raatein ro kar soyi
Ki kab main khush hui, udaas hui, muskurayi.

Sukun milta hai in chaar deewaro
Ke andhar rehne se
Un ladayion-jagdhon se dur
Un Matlabi logo se dur.

Sab se dur reh kar jeena hai
Sabse alag ban kar dikhana hai
Janti hu main ki yeh duniya bohut Matlabi hai
Iss liye mujhe meri yahi duniya pasand hai.

Par phir kabhi-kabhi lagta hai ki
Kaash yeh duniya bhi meri duniya jaisi hoti toh kitna achaa hota na?

Ankahi Baatein Where stories live. Discover now