PANCHI HAI WOH

38 12 15
                                    

Ohh insaano,
Kuch toh rehem kar
Inn masoom si
Panchiyon ko kaid se azaad kar.

Dekh toh zaraa inhe
Kyaa haal bana rakha hai
Kuch toh sharam kar
Khaid karna bandh kar inhe.

Chup-chup si ho gayi hai
Chehre par udaasi chahi hui hai
Ek khone mein Bethe
Asmaan ko nihaar rahi hai.

Aasmaan mein udne ki talab
Inki aankhon mein jalakti hai
Taras rahe hai yeh uddne ke liye
Pukaar toh sunn lo inn sab ki.

Intezaar kar rahe hai ki kab
Yeh bhi iss bade se khule aasmaan mein, apne yeh pyaare se pankh pehlakar apni azaadi ka jashn kab manaayenge.

Insaan bann, haiwaan nahi
Azaadi doh, pinjra nahi
Panchiyaan uddne ke liye hai
Kaid rehne ke liye nahi.

Inn andheri raathon se azaad kardo unhe, inki khushiyaan inhe waapas Lauta doh.

PANCHI HAI WOH... UDDNE DOH💞

Ankahi Baatein Onde histórias criam vida. Descubra agora