APNE

44 12 11
                                    

Aap log toh apne the na
Phir paraaye kyu hue?
Humara dard kyu nahi samjh paaye?
Humare aansu kyu nahi pehchaan paaye?

Baat karna bhi zaruri nahi samjha
Haal-chaal jaan na bhi zaruri nahi samjha, aisi kya galti hui mujhse joh sab rooth gaye hai...

Apne toh bure waqt mein saath dete hai na phir aap logo ne saath kyu Chodh diya, ya phir yeh samjhu main ki aap log toh kabhi apne the hi nahi sirf naatak karte aaye hamesha se...

Khud ko samjhaaya bhi bohut maine yeh kehkar ki puri duniya paraayi hai, koi apna nahi hai iss jahaa mein sab apne liye hi jeete hai...

Jab mujhe kabhi apnaa samjhaa hi nahi toh yeh apnepann ka ehsaas kyu dilate hai? Kyu apne se paraye ho jaate hai?  Kyu?....

Ankahi Baatein Where stories live. Discover now