Chapter - 4

103 9 4
                                    

"Kya Matlab H Chutti Pr H?? Aap Please Unhein Call Karein!! Meri Behen Ki Koi Izzat Nahi Hai??"

Wo takreeban cheekh rahi thi ke wo log aaj chutti pr the

"Dekhiye Aap Tasali Rakhein Hum Kal Unki Puri Class Leinge!"

sir ke kehne ke baad bhi usay ghussa tha jab peechay khari sehar ne usay israar kiya k wo jaye to wo maani thi lekin usay class tak chor k aayi thi

____________________

"Good Morning Bhai!"

wo chalta hua table ke paas aya tha

"Good Morning Waise Aaj Aap Ki Subha Itni Jaldi Kaise Hui?"

"Bas Bhau Aaj Kaheen Jaana Tha Friends K Saath Toh"

Usne uski saath wali kursi p bethte hue kaha tha

"Humm.....University Nahi Jaana Aaj"

"Nahi"

"Kiyun?"

"Bas Mood Nahi Hua"

usne befiker andaaz main kaha tha

"Theek H Lekin Parhai P Bhi Tawajo Do"

wo yahi baathein kr rahe the jab unke ghar ka ek mulaazim haathon main kuch files pakray hue unke paas aya tha

"Sir Y Wo Gaari Agayi H Jo Ayaan Sir Ne Passand Ki Thi Aur Y Kuch Files Hain Unpe Ayaan Sir K Singh Chahiye"

usne kaha aur ayaan ne usay files le li aur unpe singh karne laga

"Keemat Kya H"

Usne aise hi khaanay main masroof hote hue kaha tha

"Sir Bohat Expenssive H 2crore Ki"

usne kaha aur usne jawaab diya

"Chahe 2crore Ki Ho Ya 3crore Ki Agar Mere Bhai Ko Passand H To Uski Koi Keemat Nahi H!"

usne kaha aur ayaan ne araam se files pe singh karke usay pakrai thi aur woh le kr cala gaya tha

"Thank You Bhai"

usne muskurate hue kaha tha

"Isme Thank You Ki Kya Baat Hai Waise Bhi Paisa Kabar Main To Jaana Nahi Hota Duniya Main Kharch Karne Ke Liye Hi To Hai Aur Waise Bhi Jo Kuch Mera H Sab Tumhara Hi Toh H"

"I Know"

usne kaha aur uske gale lag kr chala gaya tha

kuch saal pehle ek plain crash main do couples ki mout hui thi ek shejriyaar ke mom dad ki aur ek kiran ki jab shehriyaar k maa baap ko check kiya to wo zinda the  unho ne marne se pehle 5 saal ke shehriyaar ko bulaya aur waada kiya ke wo apne chote bhai ayaan ka hemesha khayal rakhe kabhi kisi cheez ki kami mehsoos na hone de hamesha uski har zid kawahish puri karein aur wo yehi kr raha tha.....Kuch saal baad kiran se itafaqan mulaqaat hui thi to kuch dino main milne ke baad usne bataya ke un do families main se uske maa baap bhi the aur shehriyaar ne bhi apni familiy k bare main bataya tha shayad qismat ko yehi manzoor tha

_________________

"Stupid Kaheen Ka Darrpok!!"

"Kispe itna ghussa utara ja raha h?"

Usne cofee ka ek ghunt bhrte hue kaha tha

"Wohi Jiski Aaj Class Lagwani Thi!"

usne ghussay se kaha tha

"Acha Woh?"

"Jee Haan Wo Chutti Krke Bethe The Aaj Nawaabzaaday!!!"

Usne kaha tha aur shehriyaar ne bamushkil apni hansi roki thi

"Aap Hans Rahe Hain Shehriyaar? Main Itni Ghussay Main Hoon Agar Nahi Aana Tha Darr Ke Chupna Hi Tha Toh Nahi Dikhani Thi Na Showbaazi!!"

"Yaar Tumnay Konsi University Main Daal Diya H Sehar Ko?"

usne pucha tha uske wehm o gumaan main bhi nahi tha k wo uskay hi bhai ki university m parhti h aur wo ladka uska bhai hi tha

"Aapi!!"

woh batane lagi thi jab usay pichay se sehar ki awaaz ayi thi

"Shehriyaar I Think Sehar Aagayi H Main Aapsay Baad Main Baat Karti Hoon"

usne yeh keh kr phone band kiya toh sehar bilkul normal aur khush nazar aayi thi jaise usay pehle din aana chahiye tha wo bilkul fresh thi din main kya hua sab kiran ko bata rahi thi jaise usay batana chahiye tha aur kiran usay aise dekh k bohat pussakoon thi

____________________

Raat ke 1:30bje the jab woh ghar aaya tha woh shehriyaar se milke seedha apne bedroom main gaya tha shehriyaar ko uska late aana passand nahi tha lekin ye uski routine thi toh wo roz roz keta bhi nahi tha

"Haan Yaar I Know! Ab Soja Subha University Bhi Jaana H"

usne bed p girrte hue aapne dost se mushkil jaan churai thi aur phone band karke apni aankhein band ki thi jab usne university ka naam zehen main aane se phir aankhein kholi thi aur wohi chehra wohi aankhein uske dil o dimaagh pe haavi ho gayi thi woh usay itna pareshaan kiyun kr rahe the????

Pata nahi.





Hey Guys If You Like The Chapter Please Press Star And Lots Of Love!!!!!

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Jul 31, 2020 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

Sharamsarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें