Chapter - 2

81 7 3
                                    

Woh teizi se bhaagte hue apni class ke darwaaze ke bahir pohanchi thi usne undar jaane se pehle ek gehra saans liya aur darwaaza khola andar kuch studients pehle se hi mojood the ya shayad koi group lag lag raha tha jisme ladke aur ladkiyaan dono mojood the class main unki wajah se shor tha zahir hai ke abhi class shuru nahi hui thi lekin jaise hi unho ne sehar ko dekha toh  saari class main khamoshi ho gai thi woh log baghour usko dekh rahe the aur wahan khari sehar jo abhi bhi darwaaze main khari thi usay inn ki nazrein kuch samajh nahi ayi thi woh kuch deir unhe dekhti rahi phir himmat kar ke ek kadam aage barhi aur ab class ke andar aa chuki thi tabhi peechay se ek ladki ne darwaaza band kiya tha sehar ne yuk dam peechay dekha toh woh kuch ghabra gayi thi lekin phir usay laga ke wo overreact kr rahi ha toh araam se seat pr bethne lagi thi jab use wahaan ek awaaz ne roka tha

"Excuse Me! New Addmission??"

Usne apne peechay uske seat ke saath wali line ki seat pr bethay dekha tha maga table pr

"W.......Woh"

Usay samajh nahi aayi ke wo kya bole

"Haan,Haan Main Aapse Hi Baat Kar Raha Hoon!"

Usne use sar se paun tak ek nazar dekh kr kaha tha usay saaf pata chal raha tha ke woh nervous ho rahi hai

"Jee Woh Main..........Main Parhne Ke Liye Aayi Hoon!"

Woh himmat jutta kr apni taraf se bohat confident ho kar boli thi lekin afsoos aisa nahi tha aur usay koi aur baat samajh main bhi nahi aa rahi thi

Woh Kuch deir use dekhta raha aur besakhta hans para balke sab ne hi yehi kiya woh sab kehke laga kr hans rahe the aur wahaan khari sehar ko dekh kr ye lag raha tha ke usne waqai ko ghalati kar di ho

"Seriously?, Is Madam Ko Dekho Guys Yeh Parhne Aayi Hain!!"

woh bamushkil hansi rokte hue bola tha aur aise bol raha tha jaise uske saamne koi bohat funny si cheez ho

Sehar jamm chuki thi woh kuch bol nahi paa rahi thi aur us ladke ne apni jaga se uth kr uske kareeb ate hue kaha tha

"Ohh...I Am...I Am Sorry Par Tum Parhne Ayi Ho Na Haina?"

Usne khud ko kaabu karte hue poocha tha aur sehar ne sar haan main hilaya tha

"Oh Aisa Hai Toh Phir Theek Hai Tum Idhar Nahi Woh Saamne Wali Class Main Jaao"

Usne bahir ki taraf ungli ki thi aur usay kuch samajh nahi aa raha tha

"Kiyun?...Kiyun Ke Stupids Ki Class Wahaan Saamne Hai!!!"

Uski awaaz unchi aur sanjeeda thi jise baaki class bhi khamosh ho gayi thi aur Wahaan uske saamne khari ladki ke andar kuch toot sa gaya tha is kadar beizzati pr woh bas usay dekhti hi reh gayi thi

Abhi woh usay dekh hi raha tha ke phir se saari class ke saath zor zor se hansne laga jaise usko bohat sakoon mil raha ho usay usko SHARAMSAR kar ke

Hanste hue uski nazar us ladki par pari jo chashme ke neeche apni aankhon main aansu bhar kar khari thi aur us ladke ki muskurahat usay dekhte hi kuch deir ke liye pheeki pari thi uski aankhein jaise usay sawaal kar rahi hon ke uske saath aisa kiyun kiya pata nahi kya ho gaya tha us waqat baki sab hans rahe the aur woh uski aankhon main kaheen gum ho gaya tha pata nahi lekin uski unn nazaron ne use andar tak jakar liya tha

woh usay kuch deir waise hi dekhti rahi aur phir teizi se bhaagti hui bahir nikal gayi thi aur woh usay waise hi jaate hue dekhta raha woh apni jagah se hil bhi nahi paya

____________________________________

"Yeh Kya Kiran Tumne Toh Kuch Liya Hi Nahi"

Sheheryar ke zid karne par woh uske saath lunch pr aa to gayi thi par uska dehaan kaheen aur hi laga hua tha

"Shehryar Aapko Pata Hai Na Ke Main Bohat Tenssion Main Hoon Aur Sehar Ke Baaray Main Sochte Hue Mujhse Kuch Nahi Kaya Jata"

Sehriyar kiran ko 2 saal se jaanta tha woh dono ek dusre se mohabbat karte the...woh jaanta tha ke woh sehar ke maamlay main kitni sensitive thi aur usko us cheez se koi masala nahi tha balke woh usko support karta tha jaha woh kar sakta tha..itni doulat hone ke bawoojood woh uske saamne kabhi ghuroor nahi kar ta tha kiyun ke woh usay sachi mohabbat karta tha aur kiran bhi lekin abhi woh shaadi keliye taiyaar nahi thi woh chahti thi ke sehar ki shaadi ke baad kuch soche aur abhi woh par rahi thi lekin shehriyar ne us par koi pressure nahi dala tha woh har tarha se uske saath tha lekin kiran ne sehar ko abhi uske baare main kuch nahi bataya tha



If You Like the chapter please press star

SharamsarWhere stories live. Discover now