Maula Yeh Kaisi Reet Hai?

16 0 1
                                    

Maulla, Yeh kaisi reet hai?
Jo mere sapno ke beech hai?

Kisiko kyu pati parameshwar bolu,
Jabki woh inkaar kare ki me bhi ek devi hu 

Woh chahe uska hath mere haath ke upar,
Par mera chahna aur meri haan bhi jaruri hai

Yeh nasamjhi ka keeda hai ya samjh hoke bhi bekhabar rehne ki saazish?
Jo bhi hai, meri awaaz uthane se hogi nakamyab, isliye use dabane ki hai yeh ranjish 

Par woh mujhe chup nahi kar payenge,
Kudrat ke karishme se rache hue mere pankh
Kaat toh liye, par Uddna nahi bhula payenge 

Zanjeero ko langhkar unse dur me udd chalungi,
Ummeed aur atmavishwas ke kalam se aur ek reet likhungi

Iss naye reet me koi rishton ke bazar me nahi bikegi,
kisiki khamoshi bhi marzi banke nahi dikhegi,
Kisike sapno ko bhi khudkushi karni nahi padegi

Maulla, yeh banjayengi ek aisi sundar reet,
Jisse hamare pankh baadalo ko chhukar gayenge azaadi ka geet

Shaadi ke samay bhi na hoga koi dar,
Na mera hath neeche hoga na uska upar
Dono rishte ki shuruaat karenge haatho me haath,
Dono ke kadam bhi badhenge bandishon ke paar, saath saath

Eh Maulla, yeh hogi ek parivartit sonch ko darshati hui reet,
Yeh hogi eksamanta ki jeet
-------------------------------------------------------
Hello,
It's been a while. This is written in English script but uses hindi words. It's about a girl questioning the god she believes in about the traditions set by society as well as about woman's voice and place.

Maulla, Yeh Kaisi Reet Hai?Where stories live. Discover now