Yuvi: Nhi nhi bhai nhi

Sumi: Kya nhi nhi

Mahir: Kuch nhi mom yeh pagla toh esa hi hai aur idhar aao aap mujhe aapki special wali jappi dijiye, I missed your hugs

Mahir hugged Sumi

Andy: Okay toh Mahir woha ka kaam sab sahi raha na

Mahir: Hanji dad sab thik ho gaya ab koi problem nhi hai

Sumi: Kya Andy,  Mahir kal raat ko hi aya hai aur atey hi kaam ki baat shuru kar di

Andy: Okay Mrs ji nhi karta

Everyone laughed

Nisha entered Sehgal house

Nisha: Arey kya baat hai subah subah sab itne hass rahe hai

Sumi: Nisha tum subah subah

Nisha: Kyu ! nhi asakti kya

Mahir: Aa sakti ho aap aunty kyu nhi aa sakti

Nisha: Mahir !! Tum kab aye ?

Mahir: Kal raat ko aya aunty, aap kesi ho

Nisha: Mai ek dam thik hu

Yuvi: Aunty aaye na aur breakfast kijiye humare saath

Nisha: Arey nhi nhi mai toh bas yeh letter dene aayi thi Sumi. Yeh lo kal galti se humare udhar post ho gyi thi

She gave the letter to Sumi

Nisha: Ab mai chalti hu Ronit ko bhi office nikalna hai

Sumi: Bela hospital nhi jarahi hai kya ?

Nisha: Haa subah se keh rahi hai ki headache ho raha hai aur tumhe toh pata hai na usko agar headache ho toh bas ghar mein hi rehti hai

Sumi: Oh aur tumhe yaad hai na aaj humey NGO jana hai

Nisha: Offo mere dimaag se ek dam se nikal gyi yeh baat acha huwa tumne yaad dila diya

Sumi: Tum bhi bhulne lag gyi ho Nisha, toh mai ajati hu 12 bajey

Nisha: Haa

Nisha left from there

In Sharma house

Bela: Papa, mumma kaha hai kab se dhund rahi hu

Ronit: Woh Sehgal house gayi hai unka koi letter humare yeha deliver ho gaya tha toh woh dene gyi hai

Bela: Ohh

Ronit: Ab headache kesa hai

Bela: Wesa hi hai ab lag raha hai shir faat hi jayega

Ronit: Toh aram karo beta

Bela: Haa papa

Nisha came there

Ronit: De ayi letter

Nisha: Haa aur pata hai Mahir wapas agaya

Bela: I know

Nisha: Tumhe kese pata woh toh raat ko aya na

Bela: Haa usne mujhe call kiya tha Mumbai pahuchke .
Ah mumma please meri liye chai bana dijiye

Nisha: Haa tum betho mai lati hu

Bela heard Adya's crying

Bela: Adu uth, gayi mai leke ati hu niche

In Bela's room

Adya: Mummaaaa

Bela: Haa haa mera bacha yeh dekho aagyi mumma aao

Ab Tum Hi Toh Ho ✓Where stories live. Discover now