IN CALL

Bela: Hanji boliye ish waqt aapne call kiya koi khash wajah

Otherside: Kyu nhi kar sakta kya  ish waqt aapko call

Bela: Arey kar sakte hai aap, akhir aap humare best friend jo hai Mr Mahir

Mahir: Acha toh kya hum apke sirf best friend hi hai aur kuch nhi Dr. Bela 

Bela: Umm woh toh sochna padega mujhe, acha woh sab chhodo aur batao kyu call kiya

Mahir: Pehle tum promise karo ki tum gussa nhi karogi

Bela: Pehle baat batao toh sahi phir sochungi

Mahir: Arrey yeh kya baat hui pehle promise karo na yaar ki tum gussa nhi karogi

Bela: Acha baba promise mai gussa nhi karungi ab batao bhi kya baat hai

Mahir: Woh mujhe na 4 mahine ke liye London jana padega kuch business ke silsiley mai

Bela: What tum abhi hi toh 1 mahine pehle aye thay aur aab wapas janey ki baat kar rahe ho

Mahir: Haa bola na business ke silsiley mein jana hoga warna kya mai itna pagal hu ki tumlogo ko chhodkar mai London chala jao . 

Haa woh baat alag hai ki pehle pagal tha isiliye 2 saal ke liye New York mein bas gaya tha

Bela let out a chuckled

Bela: Aacha toh 4 mahine hi na ussey jyada toh nhi na

Mahir: Haa baba sirf 4 mahine ussey jyada nhi

Bela: Toh kab jaa rahe ho tum London ?

Mahir: Kal sham ko

Bela: Thik hai aaj sham ko milte hai

Mahir: Jo hukum meri jaaan ... a pie ki mumma

Bela(giggled): Thik hai ab lunch time hogaya hai toh tum lunch karo aur mai bhi karti hu

Mahir: Okay Bela bye

Bela: Bye

Call ended

In Sehgal office

Mahir: Mahir tu sach mein pagal hai phirse usey Jaan bolne wala tha. Agar usey thoda sa bhi shaq ho gaya na humara plan hi flop ho jayega.
Ab bas yeh 4 mahine beeth jaye jaldi se par ussey pehle apna kaam khatam kar phir bak bak now concentrate on your work

The day has passed and its night time and Vish went back to her home to Delhi after bidding bye to all

Bela was going inside her house
but Mahir called her from behind

Mahir: Bela aao na thodi der idhar garden mein bhethte hai wese bhi kal jane wala hu mai toh thodi der Adya aur tumhare saath time spend kar leta hu

Bela: Mai bhi yehi soch rahi thi aur yeh madam toh soney wali hai nhi toh chalo baat hi karte hai

Then they sat on the bench which in was in their garden

Adya was in Bela's arms and she was blabbering something in her language

Mahir: Wese Bela Chiklu ka birthday kab hai ?

Bela: 20th April,  kyu?

Mahir: Arey dr sahiba humari princess ka first birthday toh ek grand way mein celebrate karna hoga na toh. Uske liye abhi se hi planning karni hogi warna baad mein kuch samajh nhi aayega kab kya karna hai

Bela: Haa par abhi 4 mahine hi huye hai aur 8 mahine baki hai

Mahir: Correct 4 mahine huye aur kya tumhe pata chala ki yeh 4 mahine kese beeth gye thik usi tarah tumhe yeh bhi pata nhi chalega ki agey ki 8 mahine kese beeth jayenge

Bela: Haa sach mein kese yeh 4 mahine beeth gye pata hi nhi chala

Mahir: Hanji toh ek kaam karna aap yeha apne princess ke pass rehkar sochna aur mai udhar meri Chiklu se dur rehkar sochunga thik hai na

Adya: Ni ni ni

Bela: Dekha Mahir ab tumhari Chiklu  bhi nhi chahti ki tum ussey dur jao

Mahir: Kya karu jana toh padega na

Saying this he took Adya is his arms

Mahir: Aur aap kya ni ni kar rahi ho, aapko pata bhi hai hum kis barey mein baat kar rahe hai aap toh bas apne hi duniya mein rehte ho

Bela: Acha suno agar isbar tumne mujhe call nhi kiya na London jakar toh dekh lena mai kya karti hu

Mahir: Chiklu apni mumma se pucho jara kya karegi woh

Adya: Bum mumm

Bela: Mai pehle toh tumse baat nhi karungi phir Adya se milne nhi dungi

Mahir: Arey bapre tum mujhse baat nhi karogi toh chalega lekin meri Chiklu se milne nhi dogi toh yeh galat baat hai na

Bela: Acha ji mai baat nhi karungi toh chalega ha toh thik hai abse hi baat karna band

Mahir: Kya yaar Bela mai toh bas majak kar raha tha dekho agar tum mujhse baat nhi karogi toh kon karega baat, Chiklu bhi toh ab bol nhi sakti

Bela: Hai na woh tumhari friend Sanchi

Mahir: Uffoooh Bela ab woh kaha se agye acha dekho Sorry kaan nhi pakad sakta Chiklu hai mere pass maaf do please

Adya: Sooooooi

Mahir: Ab dekho Adya bhi sorry bol rahi hai ab toh maaf kar do

Bela: Only for Adya par ab tum promise karo ki roj tum mujhe call karoge

Mahir: Pakka wala promise

Then they talked for something then Mahir realised that Adya was already sleeping

Mahir: Bela yeh madam toh soh gayi, ab tum bhi jakey so jao

Bela: Haa do mujhe Adya ko, raat ho gayi hai bohut

Mahir: Good night Bela
( To Adya ) Good night princess

Then gave a kiss on her forehead

Both mother and daughter went to their room and Mahir too his home and slept

To be continue...

A/N : 20th April was the day when we( me and my friend) published the first chapter of this book

So here is the thirteenth part of ' Ab Tum Hi Toh Ho ' ..Hope u all will love it... don't forget to give ur reviews....

Ab Tum Hi Toh Ho ✓Where stories live. Discover now