51. Hum Saath Saath Hain

239 1 0
                                    

Hum chahe bandhan mein bandhe na bandhe, jazbaat ka rishta to dil se hai.

👴

Ladki apne dil ki baat aankhon se keh deti hai.

👴

Agar kisika dukh baatna hi chahte ho, to kaam kuch aisa karo ke doosro ki zindagi mein khushi aaye.



👴


Jisse hum jhagadte hain, pyar bhi toh sabse zyada ussi ko karte hain.


👴

Tumne aurat ko samjha nahi bhaiya...wo andhero se nahi darti; jab wo faisla kar leti hai, to mann mein vishvas ka diya jalakar, usse apni maang ka sindoor bana leti hai.

👴



Jitna sukh saath rehne mein hai, utna alag rehne mein nahi.

👴



Aadmi ko subah jaldi uthna chahiye, varna saare kaam adhoore reh jate hain.




👴


Bhabhijaan, aap humein apnaye na apnaye, hum aapko mooh-dikhayi mein mile hain.




👴



Insaan ki pehchaan tann se nahi, mann se ki jaati hai.

👴

Jo kaam aaj poore nahi hue, wo kal poore honge... Har subah apne saath, asha ki ek nayi kiran lekar aati hai.

Quotes from Bollywood { ONGOING }Where stories live. Discover now