POEM (NOT RELATED TO THE STORY)

88 11 10
                                    

Well I would sincerely like to tag these people in my poem, as they are my inspiration and I request them to read my poem nagapriya Shakti5555  Sajal_ameena  Bibliophile161 angelpra Khwaish98

   AUR KITNI ZAINAB??

Kaafi zakhm seh kar,
Kai gum lekar.
Chali gyi vo nanhi si gudiya,
Chor kar ye zalim duniya.

Zindagi se kuch honge uske armaan,
Par vo nadaan , Thi Ek baat se Anjaan,
Nahi samajh thi usse Duniya Ke Kuritiyon  Ki,
Besharamo ki, Badmasho ki,

Chhinn Gaya uska har Adhikar,
Hua na  Koi Sapna Sakar.
Chacha samajh wo gayi Jiske ke Sath,
Woh zalim To Nikla badzaat.

Rona - chillana uska wyarth Gaya,
Aur Aabroo ke sath jaan bhi gaya. Dheere Dheere uski Saanse ruk Gayi,

Antim Palo Mein Woh chatpatati Aati reh gayi.

Lar  kar aunt  mein usne,
Jab Maut Gale Lagaya.
Dard bhari is Dastan ne,
Poore Vishwa Ko hilaya.

Insaaniyat fir hua  sharmsaar,
Charo Aur macha haha kar.

Lagaya Sab Ne Mahila Suraksha Ka Nara,
Bachi Ko Mila poore Sansar Ka Sahara.
Sabhi ki thi Bas Ek Hi Raye,
Milay Masoom ko pura nyay.

Do Dino Tak toh bahut Chali ladai,
Par ab sab so gaye, hain taankr razai,
Magadh ruko!!
Utho aur bhago Sabhi,
Annyaye se ladai hai adhuri abhi.

Kyuki Aaj Bhi Har naari ka man,
Hai Pareshan Ek Sawal se....
Aakhir darindo ki bhukh mitegi kab??
Aur Kitni ZAINAB se??
Aur kitni ZAINAB se??

                - 🍂🍂🍂🍂

##############################

How is it every one???

WE SHOULD NOT BE TOGETHER【ONGOING】حيث تعيش القصص. اكتشف الآن