TWIN MADNESS

1.4K 45 9
                                    

The 4 grand weddings had taken place a few days ago , and finally King Janak and Kushadhwaj bid an emotional farewell to their daughters. On the way back to ayodhya , they stopped briefly at a temple to perform some rituals . Dashrath : My beloved sons , I along with yudhajit , sumantra and the army will return to ayodhya directly from here for our welcome along with your mothers . You all will need to perform puja at the shores of river ganga enroute to ayodhya , then you shall return home. I am pretty sure you wont be needing the army for your journey , I know that my 4 sons are more than capable to defend themselves with valour.Bharat : Pitashree , you please proceed and we shall return after carrying out your orders.Dashrath along with the troupe leaves. After completing puja at the temple , 

Vashishta : Putra Ram , Abhi ek aur vidhi shesh hai , jo keval tumhe aur sita ko karni hogi kyunki yeh vidhi rajya ke sabse bade putra veh uski patni dwara ki jaati hai

Ram : Ji guruji . 

Shatrughan : Ram bhayia , agar aapki aagya ho to Lakshman bhayia aur main pehle prasthan karle ganga tat ki ore .

  Ram : Parantu itni jaldi kya hai jaane ki , kuch samay baad sab saath chalenge naa.

Shatrughan : Bhayia aap ko toh sab gyat hi hai bachpan mein kitna aanand aata tha nadi ke gehre paani mein jab ham sab khela karte the , jaane dijiye naa , pata nahi ab phir kab mauka lagega.

Lakshman : Haan Haan , Bharat bhayia ko bhi saath le chalte hain . Urmila , shrutkirti aur Mandavi bhabhi aapke aur sita bhabi ke sath aa jaengi.

Urmila : Kyun , phir to shrutkirti aur main bhi chalungi , Humein bhi tat par geeli miti se chitra banana atyant priya hai.

Lakshman : Parantu urmila , aap samajhne ka prayas kariye , abhi aapka chalna hamare sath theek nahi hai .

shrutkirti : nahi Lakshman bhayia , hum bhi jaenge

shatrughan : Zid mat karo shrutkirti .

Ram : Tum dono ka ab vivaah ho chuka hai , apni patni ki har icha ko pura karna tumhara kartavya hai , isliye Urmila aur shrutkirti bhi saath jaaengi , nahi toh tumhe anumati nahi milegi 

.Lakshman and shatrughan made long and disgusting faces before finally agreeing , and Urmila and Shrutkirti were very delighted that they had managed to subdue their husbands into taking them along

Shrutkirti and Urmila ( Excitedly ) : Dhanyavaad Ram bhayia !!

Bharat : Parantu bhayia , main kataya nahi jaaonga inke saath , main aapke saath baad mein prasthan karoonga .

Lakshman ( with a wicked smile , holds his hand and drags him ) : Arey bharat bhayia , aayie naa , bahut anand aaega , bilkul bachpan ki tarh.

Ram : Lakshman !!! Bharat nahi jaana chahta toh rehne do , jaisi uski Icha. Tum charon dhyan se jaana , jungle bahut ghana hai , khatra ho sakta hai 

.Lakshman ( Laughing and pointing towards Urmila ) : Bhayia , sabse bade khatre ko to aap hamare saath bhej rahe hain?

Hearing this , Urmila pinched him tighltly on his arm and Lakshmana screamed aloud

Lakshman : Arey aap to naraaz ho gayin , chaliye ab . Chalo shatrughan , kya kehte ho , pratispardha ho jaaye , dekhte hain pehle kaun pahunchta hai ??

Shatrughan : Haan haan bhyia , avashya ..

Shatrughan and Lakshman then holded hands of their wives , literally dragging them towards their rath and rode off at great speed causing some panic for Urmila and shrutkirti , they were not used to travel like this . Rama , bharat , mandavi and sita could hear the scream of urmila and shrutkirti dying away slowly as their raths faded away slowly towards the horizon .At the temple :

Ramayan Drabbles By ShivamDonde viven las historias. Descúbrelo ahora