11.

147 9 2
                                    

Assalamu alaikum....

Bewqoof aurat Apne shohar ko apna Ghulam banati hai aur khud Ghulam ki Biwi ban jati hai..

Jab ke aqalmiand aurat apne shohar ko Badshah banati hai aur khud Badshah ki Mallika banjati hai..
__________________________________

Zindagi ke har mod par sulaah karna seekho.

Kyun ke jhukta wohi hai jis me jaan hoti hai.

Akadna to murday ki pehchaan hoti hai...
__________________________________

Dua mangte raho kyun ke mumkin aur na mumkin to sirf hamari soch me hai,

ALLAH ke liye to kuch bhi na mumkin nahi...
__________________________________

Apni ghaltiyon se taqdeer ko badnaam mat karo

kyun ki

taqdeer to khud himmat ki mohtaaj hoti hai...
__________________________________

Dua dastak ki tarah hai

musalsal dastak say darwaza khul hi jata hai...
_______________________________

Jo tumhe khushi mein yaad aaye,

samjho tum us se mohabbat karte ho

aur jo tumhe gham me yaad aaye to

samjho woh tum se mohabbat karta hai...
__________________________________

Rishton ki khoobsurti
ek dosre ki baat ko bardasht karna hai..
be aib insaan talash mat karo warna
akele reh jaoge...
______________________________________

Agar qismat ka likha sab kuch hota to

ALLAH insaan ko dua maangna kabhi na sikhata....

-------------

Best lines from one of the Islamic scholar.

Thank you @richie
For your precious time :)


Vote

Comment

Share

Your Shayari WorldWhere stories live. Discover now