19. Inner Turmoil

7.6K 444 4
                                    

Ahaan ne bht jyada drink krli thi phir vo apni car mein baitha aur MM ke liye nikal gaya...Savitri main door close krne hi jaa rahi thi ki ahaan andar aagaya...

S: ahaan tune sharab pikar aaya hai...

A(drunk voice): maa muje aapki godi mein sona hai...

Savitri use apne kamre mein le jaati hai uska sar apni godi mein rakhti hai aur uska sar sirhane lagti hai...

S: beta tune itni q pili hai...

A: meri zindagi hi ek khel banke reh chuki hai maa toh yeh sharab kya cheez hai...

S: beta aisa mat bol..

A: Q na bolu maa...meri zindagi mazak bankar reh chuki hai...kya main itna bura hu ki chahkar bhi kabhi khush nhi reh sakta...

S: tu toh mera sabse Accha beta hai...

A: toh maa q har baar mere saath hi aisa hota hai...main kaise Ishqi aur Vidhi mein se kisi ek ko chunkar dusri ki zindagi barbaad kar sakta hu...

S: kisne kaha ki tu dusre ki zindagi barbaad kr raha hai...tu vahi kr jo tera dil keh raha hai...

A: dil toh mera kuch keh hi nhi raha hai maa...kabhi Ishqi ka face saamne aajata hai toh kabhi Vidhi ka...kaise main kisi ek ki khushi cheen sakta hu...aur mera kya...

S: beta tu chinta mat kar...samay ke saath sab kuch theek ho jaayega...tu bas abhi soja...

She caress his hairs and he slept... Savitri to herself:yeh kya ho raha hai mere baccho ke saath...q unki khushi tikti nhi...pata nhi ab aage kya hoga...maine Ahaan ko toh bol diya ki sab theek ho jaayega lekin kaise...hey bhagwan mere teeno baccho ki zindagi sawar dijiye...

Morning mein Ahaan ki neend jaldi khulti hai...vo uthta hai aur sochta hai ki khamka usne apni maa ko bhi pareshaan krdiya...phir vo uthkar apni car mein baithkar apne apartment mein chala gaya...vo ghar mein enter hua toh Vidhi ko sofe par sote hue paaya vo use dekhne lagta hai...Thodi der baad vo apne room mein chala jaata hai...vaha vo Ishqi aur Vihaan ko sote hue pata hai...vo ishqi ko bhi dekhta rehta hai...phir vo sidha nahane chala jaata hai...

Vo nahakar bahar nikalta hai tabtak Ishqi uth jaati hai...vo bina nazre milaye usse bolta hai ki

A: office mein jaroori kaam hai issliye jaldi jana padega...

I: Main breakfast ready krti hu...

A: uski koi jaroorat nhi hai...already late ho raha hai...main office mein khalunga...

I: par abhi toh...

A:pls ishqi muje late ho raha hai...

Aur vo ready hokar chala jaata hai...niche Vidhi use milti hai..vo bhi usse puchti hai aur vo jaldi jaldi mein use bolkar chala jaata hai...

Ishqi Vihaan ko ready krke breakfast krne ke liye bithati hai...vo uske paas jaati hi rehti hai ki uska paer fisal gaya aur vo girne hi vali hoti hai ki tabtak Vidhi use bacha leti hai...

I: thanks...

Vi: koi nhi...

I: aap chaliye breakfast krlijiye...

Vidhi breakfast krne ke liye baithti hai..tabhi

V: meri mumma ko bachane ke liye thank u...

Vidhi just nods...she was just looking Vihaan...

Then Vihaan went to school...now Vidhi and Ishqi were alone at home...

I: I am sorry kal Vihaan ne jaisa behave kiya uske liye...

Vi: tumhe sorry kehne ki koi jaroorat nhi hai...main samaj sakti hu...aakhir tumne hi use sambhala hai...

I: aap chinta mat kijiye Vidhi vo jaldi samaj jaayega...

HUMSAFAR [Completed✅]Where stories live. Discover now