chapter 33

106 23 6
                                    

Khushi Arnav ke pass aati hain aur kese saath niche zamin per bethi hain. Aur Arnav ke shoulder per haath rakh kar bolti hain

Khushi - Arnav ji

Arnav Khushi ki aur dekhta hain aur use hug karta hain

Khushi - bas Arnav ji aap na rote hue ache nahi lgte ,sirf gussa karte hu aur what the bolte hue ache lgte hain  .

Arnav kuch na bol kar khushi ko kaskar hug karta hain

Khushi - ab bas aur nahi ,bas na yaar aur kitna mere bacha , acha now stop crying and listen to me very clear bacha yeh jo life hain na kaafi choti hoti hain agar hum saari Umar sirf gussa lekar chelge ho woh bhi acha nahi hoga na aap btao yeh acha hoga , past mein jo bhi hua acha Bura sabko ek side karo aur mere ek question ka answer do

Arnav - khushi please

Khushi - nahi Arnav Aaj nahi ,aapko pta hain yeh life kaafi choti hain,agar hum past ko apne saath rakhe ge toh kabhi aage nahi bade ge

Arnav - tum ne mujhe phele bhi btaya tha but kya hua ,un logo ne kya Kiya yaad hain na

Khushi - sab yaad hain arnav ji ,but kabhi kabhi sab side mein rakhna padta hain , Arnav ji let's forget everything,maaf kar karte hain sabko , kyu ki main nahi chahti ki aap apne parents ko hurt karo jab aap apne papa se ese baat karo ,unse gussa ho, jab aap khud papa Bane Wale ho , iss time per mujhe aap sirf happy chahiye aur aap sirf tabhi happy hoge jab aapki Puri family aapke saath hogi ,

Arnav: kya bola tum ne abhi

Khushi:  Puri family saath mein ho

Arnav: nahi yaar tum ne abhi bola ki jab aap khud papa Bane Wale ho it's means

Khushi - ji Arnav ji , Aap papa Bane Wale ho , iss liye please Arnav ji ,ab bas karte yeh sab ,

Arnav: per kesi khushi you tell , waha ke kuch persons ese hain Jo tumhe accept nahi karege ,woh log tumhe kabhi ache se nahi rehne nahi dege isse life aur difficult ho jaaye gi , yeh main nahi jaata ,woh log humse or hum unse dur rahe toh acha rahe ga
Aur baaki ka tum jaanti ho

Khushi: such main Arnav ji ,maine yeh baat humesha boli hain aur Aaj ek baar phir bolugi, aap meri life ke woh insaan ho jinke Bina main nahi re skti . Aap meri life ho , pyaar karti hu main aapse , maine aapki sab side se pyaar Kiya hain aur agar aap rudra ji ki wajah se insecure ho toh

Arnav: esa nahi hain khushi,

Khushi: let me complete first,i know very well Arnav ji ,woh aapke Bhai hain ,jinke saath aap apne bachpan se rahe ho aur main nahi chahti ki aap meri wajaha

Arnav: nahi khushi tumhari wajah se kuch bhi nahi hain please yaar khud ko

Khushi: nahi Arnav ji kahi na kahi meri wajah se aapka aur rudra ji ka rishta aaj esa ban gya hain jesa  aap dono wse nahi tha , phele aap dono ram aur lakshan the per ab , main yeh nahi chahti,iss liye aaj iss baat ko yahi maturity ke saath finish karte hain . Aap chalo mere saath

Arnav: per kaha

Khushi: chalo

Nk apartment

Arnav dadi : kya hua tum sab log ese kyu aa rahe ho ,chote mile aapko

Anjali - dad kya hua chote ko btaya ki maa unko yaad kar rahi hai.

Aakash: Asad bhai, viren,nk rudra Bhai btao na kya hua

Manohar: jija ji kya hua

Arnav dad unki maa ke pass jaate hain aur unko hug kar lete hain
Aur bolte hain

Arnav dad : maa main Aaj haar gya , aaj maine apne Arnav ko kho Diya hain , mera beta apne papa ka face nahi dekhna chahta hain ,

Arnav dadi: kya hua hain beta,tum esa kyu bol rahe ho , tum chinta mat kar ro main baat karugi use ,

Arnav dad : nahi maa ab kuch tik nahi ho skta , phele hum ne use humse dur Kiya aur aaj woh humse dur rehna chahta hain

Arnav mom - esa aap kyu bol rahe ho

Sab room side dekhte hain toh Arnav mom hoti hain

Nk : mom
Verma: taai ji
Rudra: maa

Arnav dad :  toh aur kya bolu main , aaj main haar gya ,

Asad: taaya ji please esa na boliye

Arnav mom : aap esa kyu bol rahe hain ,kya hua hain mujhe bataiye,aap chote se Milne gye the ,kya bola usne , gussa hain abhi bhi woh mujhse , bataiye

Arnav dad : gusse se bhi kaafi uper hain , use yeh lgta hain ki hum ne use kabhi pyaar nahi Kiya hain,aaj main apne bete ke nazaro main girgya

Arnav mom : esa kuch nahi hua hain samjhe aap woh aaye ga humare pass dekhna aap sab aur hum sab phir se ek happy family hoge ,mera chote aayega ,apni family ke pass mere pass

Itne mein door bell bajati hain .

----------------------------------------------------------

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jan 27 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

kumkum ( pyaara sa bandhan )Where stories live. Discover now