chapter- 24

267 41 15
                                    

Next day

Delhi

Sab Raizada family Delhi wapas aati hain, sab sad bhi aur happy bhi hote hain, happy ki nk ki shaadi ho gayi aur rudra wapas aa gya. Sad iss liye ki arnav ek baar phir un sab se gussa ho kar gya hain. Sab ko  lgta hain ki arnav ab un sab se kabhi baat nahi karega.

Sab log shaanti hawan house ke ander aate hain per waha per lock dekh kar sab shocked ho jaate hain.

Nani- yeh sab kya hain. Yaha kisne lock lgaya.

Dadi- haa iss ki chaabi kaha hain.

Mami- hello hey bye bye yeh kya ho gaya yeh lockwa kisne lagwaya

Koi aur kuch bolta itne mein piche se ek awaaj aati hain ki aur sab piche dekhte hain

Person - yeh lock ab kabhi nahi khule ga.

Sab piche dekhte hain waha per dadi ke husband ka cousin brother hota hain.

Dadi- tum, yaha kya kar rahe ho aur yeh sab kya hain

Dadi devar - namaste bhabhi ji, aap se milkar khushi hui. Kesi ho aap

Dadi- apna muh band karo aur niklo yaha se, tumhari hi

Dadi devar- na na bhabhi ji iss baar main yaha se nahi jaauga. Agar koi jaaye ga toh woh aap hain kyu ki ab main iss property ka maalik hu aapke yeh pote nahi.

Arnav dad- kya bol rahe ho tum

Asad- tumhe lgta hain ki hum tumhari baat per vishwas kare ge.

Viren- tum rahi baat hum mein se kisi ne bhi kisi per sign nahi kiya

Dadi devar- na na young man main kabhi jhut nahi bolta. Tum logo ne khud raizada ki saari property mere naam kar di.yeh dekho papers

Sab paper dekhte hain woh shocked hote hain. Phir dadi ka devar btata hain ki kese usne apne pote ko AR Delhi branch mein kaam karne beja aur kal kese usne sabke sign le liye.
Kuch der baad police aakar sabko ghar se nikal deti hain.

On road

Anjali- dad ab hum kya karege

Arnav mom- hum ne kabhi nahi socha tha ki yeh din bhi aaye ga ki koi hume humare ghar se nikal dega

Arnav chachi - ab hum kaha jaaye ge.

Rudra - don't worry chachi koi na solution toh nikal hi aaye ga.

Nk- dad, chahu, bhai mere pass ek solution hain.

Arnav chachu- toh chup kyu hain bol kya solution hain

Arnav dad- haa bolo nk

Nk- dad abhi humare pass itne paise nahi hain ki koi aur ghar le sake aur na itne Paise ki koi ghar rent per le ske

Asad- sidha bol kya bolna chahta hain tu.

Nk- okay fine main yeh bol raha tha ki kyu na hum  new york chale aur jo ghar arnav bhai ne , mujhe aur lavanya ko  gift kiya hain, us mein rahe. Dekho abhi humare pass itne paise nahi hain ki hum koi ghar rent ya buy kare. Iss liye new york chale

Phele toh saare mna kar dete hain per last mein maan jaate. Aur sab new york land kar jaate.............

..........................।.....।........।.........।.......


kumkum ( pyaara sa bandhan )Where stories live. Discover now