Rift between us

216 32 2
                                    

Karishma Singh enters the gym and approaches Santosh Sharma.

SS- Yes Maddam?

KS- Tumhe kitni baar yaad dilana padhta hai ek baat ko Santosh Sharma? (Sternly)

SS- Sorry Maddam mujhse koi galti Hui hai kya?

KS- Galti toh sabse badi tumhari iss force mai aane ki Hui thi. Hainaa?

SS- Ma...

KS- Tumhe humne kitni baar details maangi thi case ki, par tumhe koi matlab nai hai. Kaise case solve hoga agar aise hi chalta raha toh? Kabhi toh responsibility liya Karo!

SS- Sorry Maddam.

KS- Jao yahan se, aur hume aaj sab ready chahiye.

SS- Yes Maddam. Mai saari details and files aapko email bhi kar dungi.

KS- Thik hai. Jao.

SS gives a salute and walks out. Haseena, who was observing it through the gym door, storms in.

HM- Kya tha yeh Karishma Singh?

KS- Aapne dekha toh hoga, fir yeh sawal karke apna aur humara waqt kyu barbaad kar rahi hai?

HM- Acha?

Haseena's eyebrows shoot upward. She then rolls her eyes.

Thik hai chaliye point par aate hai. Aap sabse aise kyu behave kar rahi hai. Hum aapke kaam ke liye aapke iss zajbe ki izzat karte hai.

Par jis tarike ka aapka yeh tarika hai hum sab se baat karne ka woh galat hai.

Karishma stands in front of Haseena, crosses her arms, and glances at her with firmness.

KS- Aap yahan kya kar rahi hai? Aapko humne crime scene mai jaane ke liye kaha tha.

HM- Hum...

KS(cuts her)- Maddam Sir behtar hoga pehle aap apni duty kare fir humse baat karne aaye.
Aur shayad aap bhul rahi hai toh yaad dila de, iss Thane ke andar hum sirf colleague hai. Isliye baat karni hai toh case se yaa thane se related kijiye.

HM- Listen Karishma, hum...

KS(cuts her again)- Pehli baat Karishma Singh boliye,
dusri hume aapka koi bahana nai sunna hai,
aur
teesri baat, aap Jaa Rahi hai yaa fir hum aapko iss Thane se bejhne ka process chalu kare?

Kya Lena chahengi aap Transfer yaa suspension?

HM- Fine!

As Haseena turns to walk outside, she pauses.

HM- Toh kya hum ab dost bhi nai rahe Karishma?

KS- Karishma Singh kab aapki dost thi, hamesha se toh woh bas khilona thi aapke liye, jab chaha tab bhar ke apnapan diya aur jab chaha phek diya. Khair hume ab inn baaton se ghanta farak nai padhta hai.

HM- Hume padhta hai. Humne apna dost kho diya.

KS- Phirse dost?
Acha konsa dost?
Woh dost jiski baatein kabhi aapke liye koi mayne rakhi nai gayi,
Acha bataiye, kon dost apne dusre dost ki kabiliyat kar shak karta hai?
Kon dost apne dost ko shoot karke Bina kuch kahe chala jaata hai?
Kon dost uske saamne mare rehne ki acting karta hai yeh jaante hue ki uske so called dost  par kya beet rahi hai?

Konsi dosti Mai yeh sab hota hai.

Sach toh yeh hi hai Maddam Sir, aapne kabhi parwah hi nai ki humari,
yaa humare emotions ki.
Aapko bas ek kathputali dikhi jisko jaise man kare chalao.
Aur hum bewakuf the jo Issey aapka pyaar samjhte reh Gaye.

Aap hume dard pe dard deti rahi aur hum bas sehte rahe.

Haan, maante hai humne bhi aapke saath kaafi  galat Kiya hoga,
par Maddam Sir aapne Jo Kiya hai woh hum bhul nai paayenge.
Kabhi nai.

Aur ab please chale jaiye yahan se Issey pehle hum kuch aur galat bol de.

HM- Itni nafrat humse?

KS- Nafrat nai hai bas aapko dekhkar chidh (irritation) machti hai.

Haseena drove her Jeep out of the police station, having had enough.

Karishma leaves the room and calmly works at her desk, behaving as though the conversations haven't troubled her at all.
Santosh, PhuspaJi, and Cheetah gave Karishma an intricate glance before becoming lost in their duties as well.

Karishma gets an SMS message while using her laptop.

'Ahem Ahem, Miss thoda shaant ho jaiye'

Karishma shuddered as she glanced at Samairaa's desktop.

She gets a text message again.

'Uff yeh smile ne toh maar hi dala mujhe'

Karishma responds, raising eyebrows.

'Toh maro aur hume kaam karne do. Bye'

Samairaa puts her phone back in her pocket after seeing the text.

KS- Bhut badhiya, sab idhar aaiye.

Yeh case almost solve ho chuka hai, Ab aap sab hume prime suspects bataiye.

PJ- Maddam hum sab ko toh koi family se hi lagta hai. Warna koi kaise itni aasani se gayab ho jayega.

SS- Haan maddam, yaad hai aap sabko abhi Jo ek hafte pehle hua tha.

CC- Woh jisme 5 saal ke bacha jungle ilake mai maara mila tha.

SS- Haan, usme bhi toh usko maara uske dad ne hi tha. Aur sabse usne jhooth kaha tha.

PJ- Haan, pehli baar Bulbul Pandey ne kisi case ko dhang se handle Kiya. Warna hume toh laga tha yeh bhi gaya.

Pta nai  Kaise ek baap ne apne hi bache ho maar Diya.

KS- Par usne Aaj Tak apna muh Kahan khola? Kya reason tha yeh murder ka kisi ko nai pta.

PJ- Aapko kya lagta hai?

KS- Yeh humara case nai hai, chodhiye iss baat ko, Maddam Sir ko aane dijiye ek baar, fir humara Shak yakeen mai badal jayega.

PJ- Thik hai Maddam, kab tak aayengi Maddam Sir?

KS- Pta nai, time le sakti hai le woh par jayda nai. Jaldbaazi bhi sahi nai hai aur naa hi der. Ab aap sab Jaa sakte hai. Dismiss.

Samairaa tum ruko.

Samairaa stops while everyone goes back to their desk.

SV- Yes Leader?

KS- tumhe kya lagta hai, uss bache ko uske baap ne hi maara tha?

SV- Haan, ab uske khilaf saare evidences the, aur sab strong. Toh definitely usne hi Kiya tha.

KS- Tumhe toh pta hai Aaj kal kitne tariko se evidences ke saath badlav Kiya jaata hai aur tab jab woh kisi laalchi police officer ke haathon mai ho.

SV- Ho sakta hai aur nai bhi.
Par aap yeh sab achanak se mujhse kyu puch Rahi hai?

KS- kuch nai bas uss din hum issi baare Mai baat kar rahe the naa, isliye. Tumhari field duty hai naa, jao tum.

SV- Sure Leader. Jai Hind.

Samairaa sighs and turns her side from Karishma.
Karishma gives her a look that reveals a cryptic smile forming on her lips.

By Your Side Where stories live. Discover now