chapter 20

30 2 0
                                    

Aahan arish ke pass jata hai aur usse bolta hai ki kya tum apni girlfriend ka khayal nahi rakh sakte ya tumhe dance nhi ata. Tabhi tho Inaya meri dance partner hai.

Wo dono baat kar hi rahe the ki waha Inaya aur miya bhi aa jate hai aur unse puchta hai ki tum dono akhir esi kya baat kar rahe the jo hamare ane se band kar diya. Tabhi arish aahan ke kandho per hath rakhkar bolta hai ki hum tho bas hamari purani memories ko yaad kar rahe the.

  Inaya yaha per actually mai aahan ko dance practice ke liye bulane ayi thi aur jaise hi usne aahan ko ye bola wo use apna sath le kar chala jata hai.

  Arish aur miya tho baas une dekhte hi ja rahe the. But arish miya ko notice karta hai aur usse puchta hai ki kya use abhi tak koi dance partner nhi mila.
   Miya haa mai sar hilati hai. Arish usse uska dance partner banne ko kehta hai.
But miya mna kar deti hai kyuki wo uski best friend ka boyfriend hai isliye wo arish ke sath perform nhi kar sakti.
But arish ke pass ek plan tha. Wo apne plan ke bare mai miya ko batata hai aur wo bhi uske plan mai samil ho jati hai.

  Ab wo dono ek dusre ka hath pakad kar dance stage per jate hai jaha sabhi students practice kar rahe the. Un dono ko sath mai dekhkar Sare students gossips kar rahe the. Kuch girls bolti hai ki
     "Ye dono sath mai kitne ache lag rahe hai, ekdam perfect "

  Inaya ko gussa aa jata hai aur un dono ko sath mai dekhkar Inaya ko jealousy hoti hoi wo waha se chali jati hai aur uske piche aahan bhi bahar chala jata hai.

  Inaya bahar akeli khadi thi tabhi waha aahan aa jata hai aur use sant hone ko kehta hai. But wo jab sant nhi hoti tho wo use huge kar leta hai aur use bolta hai ki
   "Arish sach mai tumhe like karta hai, wo mazak kar raha hoga, ya ye uska koi nhi planning hai tumhe pareshaan karne ki. "

  Inaya thoda calm hoti hai. But arish aur miya dono ko isse bura lagta hai. Arish waha se gusse se chala jata hai. Aur miya bhi waha se apne ghar chali jati hai.

____________________________________________________________________________________________________

Mr. Bad  जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें