Zakhm

229 12 8
                                    

Zindagi ke Safar me tu humsafar hai , fir is Safar m milta kyu nahi ?












Zindagi ke Safar me tu humsafar hai , fir is Safar m milta kyu nahi ?

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Jay pov

Ae khuda tu sab dekhta hai , ae khuda tu sab janta hai , ae khuda tu har jagah maujood hai , to aaj ye kis sarkashi mein fas gaya hu mein , tu janta hai meri bs ek hi dua hai ki mere bhai sahi salamat is shaitaani saaye s door ho jaye jiske liye m kuch bhi kar sakta hu or kr bhi rha hu , lekin mujhe aesa kyu lagne laga hai aap nahi chahte aesa ho , aesa kyu lag raha hai kahi n kahi koi to wajah hai jo itni khalal padh rahi hai , ya aap hi ye sab karwa rahe ho kyuki mene kahi padha tha upar wale ki marzi ke bina ek patta nahi hilta .

Lekin aap to khuda ho is shaitaan ki madad kabhi nahi kroge, to ye sab kyu ho rha hai ya aap chahte ho ki hum isse ladhe or aap hamara sath do , Ae khuda agar yahi Teri Raza is shaitaan s ladhne me hai to mein Teri har Raza me raazi hu.








Author pov

Jay apne samne tahir ko dekhta hai jo tahir nahi koi or hi hota hai Jay ki aankhon mein gusse , dard, or ye sab khtm n hone ki nirasha hoti hai lekin ek cheez or hoti hai aur wo na harne ka junoon .

Jay apni jagah se uthta hai aur kamre ki taraf bhaagna shuru krta hai wahi tahir uska ek khaufnak shaitaani hasi ke sath peecha karta hai , Jay apni poori himmat s kamre ki chaukhat tak aa jata hai tabhi wo dekhta hai darwaze ke upar jo kaanch ka kaam ho rha hai wo tootne lga hai ya ye kahe tahir usse tod rha hai apni kaali khoon jaisi nigaahon se . Wo kaanch agar Jay ke lag jaye to wo buri tarah zakhmi ho sakta hai Jay ye dekh to leta hai lekin rukta nahi hai .





Jay Pov

Abhi or kabhi nahi...ek baar andar chala jau aadhi jeet hamari hi hogi !





Aur wahi hua na jane kitne kaanch k tukde Jay ke jism ki khaal ko chhalli karte huye andar chale gaye , ye dekh kar Jay ko ek kikyati hui chheekh sunai di jisse sun kr Jay k chehre par ek muskurahat aai kyuki usse samajh aa gaya uske andar aane se ab ye kuch nahi kar sakta. Jay palat kar dekhta hai to usse tahir gusse mein ghoorta hua dikhta hai lekin uske chehre par fir ek shaitaani hassi aati hai aur wo waha se gayab ho jata hai . Jay uski khaali jagah ko dekhta rehta hai lekin tabhi usse yaad aata hai .


Jay pov

YNNNNNNNN!!!! Shitttt!!!!!!
Kahan ho yn Jay bahar jaane k liye badhta hai lekin uske zakhm usse hilne me taqleef dete hain jisse wo ye samjh jata hai uska bahar jana yn ko bachane k kisi kaam nahi aayega .
Yn m tumhara intezaar kar Raha hu jahan bhi ho jaldi aa jao teen bajne me zyada samay nahi hai .

Yn aa jao m tumhara MUNTAZIR hu.....

Yn aa jao m tumhara MUNTAZIR hu

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
























Tahir - Chali jao yahan s Jay ko lekr mere bachne ki koi ummeed nahi hai yn

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Tahir - Chali jao yahan s Jay ko lekr mere bachne ki koi ummeed nahi hai yn... tumhari or Jay ki saari koshishen bekaar hain meri Jaan.
Inka koi fayeda nahi hai , kyuki ek rooh jab aati hai to kuch n kuch lekr jati hai or is baar wo meri rooh apne sath lekr jayegi .



Tahir ki rooh ye sab yn ko bata rahi hoti hai jisse ye lagta hai uske pero k neeche s zameen nikal gayi ho , jo bas isi ummeed me jee Rahi hoti hai ki wo tahir ko theek kar ke apni zindagi uske sath guzaaregi , jisne apni aage ki zindagi bas usi ke sath dekhi hai jiska is duniye m tahir or uske chote bhai k alawa koi nhi hai . Yn ki palken bheegi hui , nigaahein surkh , halk khushk pada hota hai or wo apne samne khadi Hui rooh ko dekh rahi hoti hai jiska chehra to usse andhere ki wajah s saaf nahi dikh rha hota hai magar itna pata hota hai ki uske chehre par ek gumzada muskurahat hai jo yn ko aakhiri alvida kehna chahti hai .











Yn pov

Aesa nahi ho sakta aesa m hone dungi hi nahi chahe kuch bhi Krna kyu na ho!!!

Yn waha s bina kuch kahe jaane lagti hai tahir ki rooh usse aawaz lagati hai lekin wo ek n sun kar seedha kamre ki taraf bhaagti hai machis lekr .










Yn ko kamra samne dikhta hai to wo bhaagna band kar deti hai lekin fir yn ki nazar kamre k upar toote huye sheesho par padhti hai wo samajh jati hai ki kuch hua hai tabhi yn k samne tahir khada hua hota hai










Tahir - AA GAYIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIITahir yn k hath ki taraf dekhta hai jisme machis hoti hai yn apna hath foran peeche kar leti hai yn machis apni kamar par bandhe khanjar ki ladhi me sambhal kar rkh deti hai kyuki wo samajh jati hai ye 20 kando...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Tahir - AA GAYIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIII
Tahir yn k hath ki taraf dekhta hai jisme machis hoti hai yn apna hath foran peeche kar leti hai yn machis apni kamar par bandhe khanjar ki ladhi me sambhal kar rkh deti hai kyuki wo samajh jati hai ye 20 kandon k safar uske liye aasan nahi hoga kyuki uska samna is baar koi aam rooh s nahi hai.











Yn - Hat jaa mere raaste s khuda kasam achcha nahi hoga bohot dardnaak maut dungi jo mar kr bhi tujhe dobara marne k ehsaas degi.

Tahir - Tujhe usse baat karke bhi ehsaas nahi hua ki ab koi raasta nahi hai kitni ziddiiiii ladhki hai!!!!












Yn ke dimaag mein ye baat khalti hai k isse ye sab kaise pata aur tahir ji ki rooh ko isne aazadi kaise di wo khud to mere paas aa nahi sakte the . Yn tahir ki aankhon m dekhti hai jo rone s surkh ho chuki hoti hain  yn uski aankhon m aankhe daal kar kuch padhna shuru karti hai jisse tahir hilne lgta hai aur apna sar pakad kar neeche gir jata hai yn tahir k seene par apna per rkh kr jhukti hai aut uski aankhon m dekh kar ek muskurahat deti hai jo ye batati hai ki usse kuch aesa samajh aa gaya hai jo aana ab poora khel badal dega. Yn uske upar se guzar kar chali jati hai jo dard me padha tadap raha hota hai lekin yn k har kadam par khoon k nishaan bante jate hain.






















Jo chaha wo hua kaha?
Jo hua wo chaha kaha ?
Jo mila wo raha kaha ?
Jo rha wo apna hua kaha....























To be continued ~






You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Oct 07, 2023 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

{ MUNTAZIR }Where stories live. Discover now