Amavasya 🌒

119 13 6
                                    

Yn ke abbu ki tabiyat din ba din kharab hoti Jaa rahi hai yn apne abbu ka khayal Achche se rakhne ki koshish kar rahi wahi tahir bhi uske abbu ke liye dawaiya bhijwa raha hai jo wo khareedne sheher nahi Jaa sakte aur dusri taraf yn aur tahir guzarte Waqt ke sath bohot Achche dost ban gaye.

Yn ki masoomiyat aur naadangi tahir ko bohot pasand aayi uske naadaan sawal aur bachkaani harkate Tahir ko kabhi kabhi ye sochne par majboor kar deti hai ki aaj ke zamane me bhi khuda kuch log aese bana dete jo anjane me hi sahi aapki zindagi me khushi ki wajah ban jate hai....

Yn aur tahir nadi ke Paas bethe huye dhalte sooraj ko dekh rahe hai us sooraj ki kirnen andhere me mil kar bhi ujala kar rahi hai jo gor se dekha jaye to samajh aayega ki ujala, ujala hota hai chahe wo andhere me hi kyu na mil jaye...






Tahir : Yn...
Yn : Ji Tahir ji...?
Tahir : Aaj pitaji ki chitti aayi thi...
Yn : Badhe maalik ka khat?
Tahir : Hn... Pitaji ne mujhe kaam diya hai seola Nagar jana hai waha hamari ek haweli hai aur usse aage wali pahadi par pitaji ki badi behen rehti hai hamari bua ya hamari soteli bua....
Khair hai to wo hamari bua hame unhe ghar lana hai pitaji ek samaroh aayojit kar rahe hai 10 din Baad diwali ke awsar par.

Yn : A-Abhi to kaafi Waqt hai aap itni jaldi kyu...?

Tahir : ( choti si muskaan ke sath yn ki aankhon me dekhte huye jisme wo saaf uske chale Jane ki Baat sunkr ek ajeeb si bechaini dikh rahi thi)
Yniee ( yn ka hath pakad kar)  fikar mat karo Mein amavasya se Pehle Aa jaunga mene khalu ki dawaiya manga li hai mere sath chaukidaar chacha bhi jayengi kyuki mera kautwaal mere chote bhai ke yaha hai.

Yn : Aapka chota bhai?
Tahir : Jiiiiiiiiii mera chota bhai hai chiku meri Jaan Hai me uske liye kuch bhi kar sakta hu.

Yn tahir ki Josh bhari aawaz dekh kar muskurakr kehti hai...

Yn : Aap chiku se itni mohabbat karte hai ☺️

Tahir : BEPANAH!!!

Yn : haha Achcha mujhse bhi zayada...?

Tahir : 😶
Yn : 😶🙂
Tahir : 😏
Yn : 🙃

Yn : Dashi run run run
Tahir : Hahaha haha YN KHAN  KAHA  BHAAG  RAHI  HO  MERA  JAWAB  TO  SUNTI  JAO!!!!

Lekin yn Sharam ki wajah se bullet ki train ki tarah waha se no do gyara ho jati hai aur wahi dusri taraf Tahir uske ask ko gayab hote huye haste haste muskurane lgta hai aur apne dil par hath rakh kar wahi beth jata hai ab tk sooraj mukammal doob jata hai aur raat ho jati hai lekin us raat ke andhere ko door krne ke liye aasman me chand apni chandni ke sath nikal aata hai. Tahir us chand ki taraf dekh kar muskurata hai aur apne dil ki dhadkano ko aankhen band karke sunta hai kuch lamho Baad wo apni aankhen kholta hai...

Tahir ~ Tumhe soch kar jo aati hai, kasam se wo muskurahat Kamaal Ki hoti hai...













Subah :

Tahir : Chalta hu khalu ka Dhyaan rakhiyega mauhtarmah...
Yn : Ji ( neeche dekhte huye )
Tahir muskurahat ke sath : pata hai aaj aaine ne tumhare baare me kuch kaha hai pata hai...???
Yn : Aaine ne yani sheeshe ne?
Tahir ek masoom muskurahat ke sath gardan hilate huye : Ji aayene ne sheeshe ne.
Yn : kya kaha hai?
Tahir : Aaine ne kaha ki
O yn yun jo sawar rahi ho tumhe dekhne wale ki maut ka kyu saaman bn rahi ho...?

Yn ye sun kr laal tamatar ho jati hai aur wahi tahir use dekh kr hasne lagta hai yn aur sharma jati hai aur use maarne lgti hai waha tahir aur hasta hai.

Yn : TAHIR JI  ME AAP SE BAAT NI KRUNGI-
Tahir : SSHHH!!!
Tahir : Maar lo suna do lekin Baat ni karungi aesa karne ke baare me sochna bhi nahi.... Yniee ek tum aur chiku hi to ho meri is andheri zindagi me khushi ki wajah chiku to Filhaal door hai lekin tum door hokr bhi Paas hogi is ka pata hai mujhe kyuki tum hamesha yaha ( dil ki taraf ishara krke) rehti ho
Yn ye sun kr muskurati hai aur tahir ko gale laga leti hai aur us lamhe me Dono kho jate hai jab tak chaukidaar chacha khaans kr unka Dhyaan bhatkate hai

Chaukidaar chacha : Chote maalik chale?
Tahir : Ahm- hmm Chaliye.
Yn ki taraf dekh kr
Tahir : Yn chalte hai hum ab agli baar aayenge to sath lekr jayenge hum pitaji ko bhi sath layenge 😊
Yn : ☺️




























Present time
Yn : Aur uske Baad wo kabhi nahi aaye abbu ki tabiyat aur kharab ho gyi chaukidaar chacha ka bhi koi pata nahi chala aur majbooran mujhe raja ji se madad mangne jana padha lekin waha bhi koi madad no mili aur aakhir me....... (yn itna Keh kr chup ho jati hai lekin uski aankhon ke ashq saaf zaahir kr rhe hai ki andr se wo kitni tooti hui hai cheekh rahi hai chilla rahi hai Pehle uske abbu aur ab uske tahir ji aesa lagta hai jaise upar wala ek ek karke sbko usse door kar rahe hai aur yaha Jay uski baate sunkr uske Dard me shareeq ho jata hai usse yn ke liye afsos hota hai aur apne bhai ki kee gayi madad se fakhar bhi mehsoos karta hai Jay ko kyuki Jay ko pata hai unka koi gulistaan nahi tha lekin Talha ne Yn aur uske abbu ki Madad ki lekin Jay ko ye Baat samajh nahi Aa rahi ki Talha wapas kyu nahi lauta aur bua ko lekr tahir to 3 din me Aa Gaya tha jay yahi soch raha hota hai aur Phir uske mn me ek khayal aata hai aur wo Yn se kehta hai)

Jay : Yn aapne kaha bhai 10 dino ke liye gaye the lekin bhai to bua ko 3 din me le aaye the to Baaki din wo kaha the kyuki uske Baad to wo diwali ki raat hi aaye the aur me us din so gaya tha jaldi kyuki meri aur pitaji ki ladai hui thi.

Yn : Mujhe nahi pata lekin agr wo 3 din me Aa gaye the to Baaki ke din kaha the aur wapas kyu nahi aaye mujhe ye bhi nahi pata aur me itne saalo se unhe hi dhoondh rhi thi tabhi to mene banjaaro ka kabeela apna Lia tha aur wahi mene tilismi taleem seekh li.

Jay : Jo hota hai uski wajah hoti hai. Khair lagta hai ab purane panne kholne honge.

Yn : Hn! Lekin kaise?

Jay ( muskurate huye) bua ji se milne ka samay Aa gya tayyar rakhiyega hum subah hi rawa a honge.

Yn : Theek hai Mein tab tak Tahir ji ko kuch tilasmi mantro se bandh dungi kyuki shaam hote hi wo buri aatma unme Phir pravesh kr legi aur me bina us taaqat ke baare me Jane use rok nhi skti.

Jay : theek hai Phir
Yn : Hn

















Tahir ka kamra jaha yn ne saare sheeshe fek diye jaha se Saari khidhkiyo ko band kr dia gya hai Taaki wo todi na ja sake aur poore kamre me kaale dum kiye dhaago se jaal sa bana diya gaya hai kisi kone ko nhi chodh a gya jise dekh kr lag raha hai ye koi makdhi ka jaal hai. Yn ne poore kamre me agarbatti ki dhuni aur deewaron par padha hua Paani chidak dia hai tahir apne bistar par leta hua hota hai yn Jane se Pehle use dekhti h aur mn me sochti hai.

Yn : Kabhi socha nahi tha, itna sochenge tumhe, dekho na mohabbat ka dastoor, tum mujhse door aur me Paas hokr bhi tumse kitni door.
Lekin ab ye faasle khatm honge is baar me tumhe nahi Jane dungi Tahir bilkul nahi.







Ye Keh kar wo darwaza band kr ke chali jati hai lekin


















Talha : HAHAHA ab aayega.............
..................... MAZA HAHAHA HAHA!!!!!


















Don't forget to comment guys mujhe motivate feel hota hai and I really need motivation rn 🙂Take care bye bye 🌻

Hoppla! Dieses Bild entspricht nicht unseren inhaltlichen Richtlinien. Um mit dem Veröffentlichen fortfahren zu können, entferne es bitte oder lade ein anderes Bild hoch.

Don't forget to comment guys mujhe motivate feel hota hai and I really need motivation rn 🙂
Take care bye bye 🌻

{ MUNTAZIR }Wo Geschichten leben. Entdecke jetzt