#54 Kya tumhe pata hai?

38 2 0
                                    

Kya tumhe pata hai, sirf hakikat o mein nahi
Tumhe ab khwabon mein bhi dekhne laga hu

Kya tumhe pata hai, tumhe yaad kar
Bekhayali mein hasne laga hu

Tumhari zikar kisi zubaan pe sun lu toh
Ye aankhein tumhari talaash mein lag jati hai

Kuch din o se ye qalam bhi tumhara naam
Mere naam ke saath jodna chahti hai

Kya tumhe pata hai, tumhe khush dekhna
Ab meri ibadat ban chuki hai

Tumhe chahta hu pure dil se, par ye dil bhi
Tumhe paane ki chahat chor chuki hai

Par kabhi ye na sochna ki
Isme tumhaari koi bhi galti hai

Ishq toh sirf mera tha,
Ispe tumhaari kya bharpaai hai

Kya tumhe pata hai, shiddat-e-ibaddat pe
Khudah se manga ek dua hai

Ki gham ke badal saare haat jaye
Jaise khushiyon ke suraj ne tumhe chua hai

©Augustine D'rozario

Agar Main Shayar Hotaजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें