Chapter 7

1.3K 83 8
                                    

Kehne ko jashn e bahara hai
Ishq yeh dekh k hairaan hai
Phool se khushboo khafa khafa hai Gulshan mein.

Maa Begum: Anila Meerab tmhaari bhi kch lgti hai tm ek beti ki Maa ho k kese Kisi aur ki beti pe bohtaan Laga skti ho.
Anila Phopho: Bhabhi Begum mein Tou chup kr jaon magar Kya aap khandaan k logon se wakif nhi. Larki k nikkah Walay din uska Nikkah toot jaye Tou log Tou yehi smjhte Hain na k larki mein hi koi kami hogi. Mein Tou bs hamdardi kr rhi thi.
Anwar Khan: Meerab ko tmhaari hamdardi ki zaroorat nhi hai aur jiski galti hai woh uska jawab zaroor dengy. Burhan Ansari ko pta hona chahiye k Anwar Khan ki beti ko nuksaan pohnchanay ka sochna bhi usse Kitna bhaari pr skta hai.
Anwar Khan gets up in rage.
Maa Begum: Anila behtar hai k tm abhi Yahan se jao.
Anila Phopho holds haya hand and walks out.
Maa Begum: Anwar yeh waqt inteqaam aur jazbaati honay ka nhi hai. Unse hum nipat lengy filhal Meerab zaroori hai.
Anwar Khan: Bhabhi Begum Meri beti be kasoor hote hue bhi Sab seh rhi hai aur aap chahti Hain mein haath pe hath dharay betha rahun. Meri galti ki saza woh bhughat Rahi hai. Meine Galat insaan pe bharosa Kiya. Aur ab mjhe smjh nhi aati k iss nuqsaan ki bharpayi Kya krun.
Maa Begum: Iss maslay ka ek hi Hal hai. Meerab ka Nikkah aaj Raat hi Hoga.
Anwar Khan: Kya Matlab.
Maa Begum: Anwar mein apne bete Murtasim Khan k liye tmhaari beti Meerab ka hath mangti hoon Kya tmhen qubool hai??
Anwar Khan: Bhabhi Begum Magar...
Maa Begum: Iss maslay ka yahi Hal hai. Sab jaantay Hain k Murtasim Sardar hai aur agar Meerab ki Shaadi Murtasim se hogi Tou Sardar ki biwi par koi sawal uthanay ki jurrat nhi karega.
Anwar Khan: Par Kya bachay maan jayengy??
Maa Begum: Unhen manana Hoga aur woh bhi jldi kyun k thori hi der mein Gaon se mehmaan aana Shuru ho jayengy. Iss khandaan ki izzat o abroo issi mein hai.
Anwar Khan: Theek hai Bhabhi Begum jesa aap munasib smjhen. Bs ab Allah yeh faisla bachon k Haq mein behtar kre.
Maa Begum: Ameen.
Mariii. Maa Begum called her.
Mari: Jee Maa Begum
Maa Begum: Jao uper ja k Meerab ko Dekho aur usse Nikkah k liye tayyar krwao. Aaj Meerab Aur Murtasim Khan ka Nikkah hai. Jldi kro.
Mari: Jee Maa Begum.
She nodded and took the dress from her room to take it to Meerab.
Meerab was crying placing her head on her knees when she heard the knock. She gets up to open the door and Mari comes inside the room with her wedding outfit.
Meerab: Aap yeh kyun laayi Hain. Aap ko pta nhi chala Kya? She asked wiping her tears.
Mari: Woh Bibi aap ko tayyar krna hai Nikkah hai naa Raat ko.
Meerab: Kya mtlab!!!!
Mari: Woh Maa Begum ne hukm diya tha aap ko tayyar krwa dun aaj Raat aap ka Nikkah hai chote Khan se. Makeup wali bhi aati hi hogi. She gets inside the room to place the dress on the bed.
Aur Meerab ko Zameen ghoomti hui mehsoos hui thi. Tou Kya azmaish abhi tk khatam nhi hui. This was the last thing she wanted for today. Jisse mohabbat ho ussi pe bojh ban janay se bari bhi koi aziyat hoti hai bhala. Murtasim usse Shaadi nhi krna Chahta aur Maa Begum Sirf khandaan ki izzat k khatir uski Shaadi Murtasim se krwa rhi hain. This thought was enough to shake her nerves and she lost her consciousness.
Mari turn around to see her falling on the ground.
Mari: Meerab Bibi!!! Meerab Bibi Kya hua hai aap ko.
Mari tried to wake her up but she couldn't. She place her head back on floor and rush out to call someone for help.
Murtasim gets out of washroom after taking the shower. He has changed into white kurta pajama set. He's still so annoyed on Anila Phopho absurdity. How come she blamed Meerab for it when she's clearly not at fault. He walks out of the room when he saw Mari running down the stairs.
Murtasim: Kya hua hai?
Mari: Woh Meerab Bibi...
Murtasim: Kya hua hai Meerab ko?
Mari: Meerab Bibi apne kamray mein behosh hogyi Hain ......
Before she could say further Murtasim runs towards Meerab's room.
He saw her lying on the floor as he enters the room. Murtasim comes forward and picked her up in bridal style. He takes her to her bed. Making her lie down there he caresses her cheek.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Zilhaal e Miskeen Where stories live. Discover now