Chapter 19

405 37 33
                                    

Krish: 'Kaise... Kaise hui thi unki death...?'

Radhika: (Flashback Starts)...'Mein sirf  aath (8) saal ki thi, mumma-papa office mein kaam karte the... Ek din unhone ne ghar pe phone kiya aur nani ko bola ki hum dono ready rahe....shaam ko hum ghumne jaayenge...Shaam ko time se pehle hi nanii ne mujhe ready kar dia tha...mein bohot excited thi ghumne jaane ke liye... shaam ho gayi....raat ho gayi lekin vo dono aye hi nahi, nani ne bohot phone kiye par koi jawab nahi... mein bhi ro rahi thi kyunki vo aye hi nahi ...hume lene.... fir achanak adhi raat ko ghar mein do bodies aayi white sheets main wrapped...mein itni choti thi ki mujhe ye bhi nahi pata tha ki vo dead bodies hai... Nani achanak hi zor zor se rone lagi mujhe samajh hi nahi aa raha tha ki ye sab ho kya raha hai....Fir unhone mujhe kaha ki mumma papa humesha ke liye chale gaye...(she became silent, eyes fixed on the floor)

Krish: 'Fir...?' 

(She gulped the lump formed in her throat)

Radhika: 'Fir...meine unhe bohot uthaya par vo nahi uthe... nani sahi bol rahi thi vo chale gaye the dur... bohot dur...humesha ke liye...(tears again started flowing from her eyes)...Aapko pata hai uss din ke baad mein fir kabhi khush nahi ho pai.... kabhi mein khul ke nahi hass pai....us din ke baad meri life bas ek video ki tarah thi aur kuch nahi...mera koi dost nahi tha.... kabhi mujhe kisi ne pyar nahi kia...nani pura din office jaati thi aur mein pure ghar main akeli... humare sabhi relatives ne hume chod diya tha... mein bilkul akeli pad gayi thi... uss time sirf meri kitaabein mere saath hoti thi...meine apni zindagi ka ek hi aim banaya ki mujhe CBI officer banna hai kyunki vo mere papa ka sapna tha... mein bhul gayi khud ko...meine kabhi koi festival nahi manaya....meine kabhi apna birthday nahi manaaya...
Mein aaj bhi itne saalon ke baad bhi tarsti hoon pyaar ke liye...jo mujhe nahi mila jo sabko milta hai... Mein jaanti thi ki mein akeli thi, akeli hoon...aur akeli hi rahoongi...'

Saying this, she unknowingly placed her head on Krish's shoulder and slept.

Perhaps today, she experienced a newfound sense of serenity, having unburdened herself of all that weighed heavily on her heart. For the first time, she slept without the torment of pain, granting her a respite long overdue.

(Mujhe pata hai ki meine Radhika ko bohot emotional person ke taur pe dikhaya hai, but you all need to understand, she lost her parents...and to lose parents....I really don't know what to say... She never had any friends....relatives...koi nahi tha uske saath sivaay her nani...socho ab...kya beet ti hogi uspe....and also tumhe lagta hoga ki how did her parents suddenly die...well...uske peeche bhi ek kahaani hai...that will be revealed soon...)

Krish went numb for a while, and he was only looking at her innocent face which was sleeping peacefully on his shoulder. Tears fell from his eyes too, seeing tears stains on her face... he looked at her like that for long and then wiped his tears...

Krish: (In his mind) 'Kisi insaan ke andar kitna dard hai voh usse dekh kar kabhi koi nahi samajh sakta....Tumne kitna kuch saha aur fir bhi kabhi kisi se kuch nahi kaha.... Zindagi ne tumhe kya nahi dikhaya fir bhi kabhi apne chehre par nahi ane diya.... aur ek main moorkh jo tumhe rude aur arrogant samajhta tha... mujhe tumhe samajhna chahiye tha maine tumhe galat samajh liya....mujhe tumhe jahan support dena chahiye tha maine nai diya...tum pehle se hi kitni akeli ho mujhe tumhara dost bankar akelapan door karna chahiye tha par maine nahi kiya... mujhe tumhari khushi ka khayal rakhna chahiye tha par maine nahi kiya...lekin koi bat nahi galti meine ki hai to use sudharunga bhi main hi...Jis akelepan ne tumhe aaj tak itna sataya hai use main door karunga.... Jis khushi ke liye tum aaj tak tadapti rahi voh mein tumhe doonga...jis pyaar ke liye tum aaj tak tarasti rahi, voh main tumhe doonga... yeh vada hai mera...'

Once more, Krish's eyes looked at Radhika, filled with tenderness. With utmost care, he lifted her, mindful not to disrupt her sleep, and tenderly placed her upon the bed. Ensuring her comfort, he delicately covered her with a warm blanket. He then went and slept on the couch.

Next morning, Krish woke up extra early and got ready as fast as he could after that he went down in the kitchen where his mom was preparing breakfast.

Mom: 'Krish...kya baat hai aaj ...itna jaldi ready ho gaya... jaldi nikalna hai kya aaj tum dono ko...?'

Krish: 'Nahi mumma...mein to breakfast banane aaya hoon....'

Mom: 'Teri tabiyat theek hai na...?' (she said touching his forehead)

Krish: 'Haan mumma mujhe bhala kya hua hoga...'

Mom: 'Toh fir breakfast kyun banana hai tujhe.....aur vaise bhi tujhe aata kya hai jo tu banaayega...gin ke do cheeze toh aati hai...'

Krish: 'Aree mein sabke liye thodi bana raha hoon... mein sirf Radhika aur apne liye banaunga....Voh bohot dukhi thi kal toh meine socha apni famous dish khilaun... aur vaise bhale hi do cheeze aati hai...aati to hai na...'(he said pulling mom's cheeks)

Mom: 'Waah aaj lag raha hai tu bada ho gaya....apni wife ke dukh sukh ka soch raha hai...mujhe aur kya chahiye...chal bana le jo banana hai tujhe...'

He prepared breakfast, and went back to the room.

In the room,

Radhika was still sleeping.

Krish: 'Yarrr yeh... toh abhi tak nahi uthi...mujhe lagta hai ab utha dena chahiye nahi to office ke liye late ho jayega...'

Krish: 'Radhika...Radhika...hello... Radhika utho...'(He gently patted her shoulder but she turned to the other side without opening her eyes) 

Krish came over to the opposite side and attempted to awaken her once more.

To his delight, this time she opened her eyes, and their gazes immediately locked up with his chocolatey brown eyes captivating her attention.

It felt as though she was being engulfed in those eyes, but Krish gently shook her, bringing her back from her daze. Startled, she became anxious upon noticing his formal attire.

Radhika: 'Oh no no...I'm late...Kitni pagal hoon mein....pata nahi itni der tak kaise soti reh gayi...' (She was about to get down the bed but Krish stopped her)

Krish: 'Shaant Shaant...tum late nahi ho... abhi kaafi time pada hai...'

Radhika: 'Fir aap kyu jaane ke liye ready hai...?' (She asked yawning)

Krish: 'Aree...nahi nahi mein actually jaldi uth gaya tha isiliye ready ho gaya...'

She sighed in relief and kept her hand on her head, but then she realized that she was sitting on the bed and within a few seconds the whole sequence of last night flashed infront of her eyes.

Radhika: 'Meine fir aapko pareshaan kardia na (she said sadly)...I'm really sorry...aage se pakka aisa kuch nahi hoga...' (she said looking to the other side)

Krish: 'Dekho Radhika... I'm sorry ki meine tumhe galat samjha... mein sach keh raha hoon... mujhe pehle lagta tha ki tum bohot arrogant aur rude kisam ki ladki ho...Lekin jise zindagi ne itna sataya ho vo bhala kaise kisi pe vishwas kar le... dekho jo hua so hua... yeh to sach hai na ki hamari shaadi hui hai...toh yeh meri zimmedari hai ki mein tumhara dhyaan rakhu....mein chahta hoon ki hum apne rishte ki shuruat friendship se kare lets give it a try... so would you like to be my friend, Radhika...?'

Radhika: 'Thank you for your words... par mujhe koi sympathy nahi chahiye...'
(Saying this she got up)

Krish: 'Aisa nahi hai Radhika... Tum bilkul bhi aiaa mat socho...Galti insaan se hi hoti hai na...mein to sirf use theek karna chahta hoon...Mera yakeen karo tum... tumhe mujhse dosti karke kabhi pachtana nahi padega...jis akelepan se tum joojh rahi ho use door karenge hum milke...Vaie mein dost kaafi accha hoon.. fayde ka sauda hai...jaldi bolo nahi to deal khatam ho jaayegi...' (He said raising his fake collars😎😆)

She chuckled and came near him.

Radhika: 'Mein jaldi kisi pe bharosa nahi karti... aap pe kar rahi hoon... ise todna mat...'

Krish: 'Kabhi nahi...toh now we are friends...'(He said forwarding his hand)

Radhika: 'Friends...' (She said reciprocating)

Krish: 'Chalo to fir humari friendship ka pehla gift ready hai... tum ready ho jao fatafat main leke ata hoon...

Radhika: 'Aisa kya hai...?'

Krish: 'Aree tum pehle ready toh ho jao mein jata hoon...tab tak lene...' (saying this he went outside the room)

Criminal HeartsWhere stories live. Discover now