●10●

167 20 14
                                    

Holding the coffee mug in her hand, occupying her seat in sitting area at Kashish's home, Mehak says,

"Kashish mujhe nahi lagta Sujal bhaiya kabhi bhi tumhe dhokha de sakte hain. Wo tumse bohot pyar karte the."

Kashish looks towards Mehak, knitting her brows, perplexed.

"Yahi baat mujhe pareshan kar rahi hai Mehak. Mera dil ye maanne ko tayar nahi ke Sujal... mera Sujal mujhe dhokha de sakta hai. Magar jo maine suna usko kaise main bhool jaun?",

says Kashish, her eyes well up.

Mehak stares her back, dumbstruck.

"Mere hisaab se tumhe ek baar phirse iss baare mein sochna chahiye. Iss baat ki teh tak jaana chahiye.",

suggests Mehak.

Getting up whilst setting the coffee mug on the center table, a determined Kashish says,

"Nahi Mehak. Main ab iss baare mein kuch nahi sochna chahti. Main soch-soch kar thak gayi hoon. Ab bus."

"To ab aagey kya?",

asks Mehak, looking up towards Kashish, knitting her brows.

"Main ab bus apne kaam par concentrate karungi. Nahi janna mujhe kuch bhi Sujal ke baare mein. At least abhi kuch waqt ke liye main khudko inn sub baaton se durr rakhna chahti hoon. That's it!",

says Kashish, fed up of thinking about everything, turning her head to her right.

Mehak nods her head in understanding.

Turning, looking towards Mehak, smiling, Kashish says,

"Soch rahi hoon kuch din Ambala ho aaun. Veena aunty aur CG uncle filhaal Ambala waale ghar mein reh rahe hain."

Mehak smiles and says,

"Arey ye to bohot achi baat hai. Aunty aur Uncle ko bohot acha lagega agar tum wahan gayin to. Unka mann bhi behl jayega."

"Haan. Aunty jab bhi call karti hain humesha wahan aane ke liye insist karti hain.",

says Kashish, remembering Veena fondly, re-occupying her seat next to Mehak.

"Unhe tumhari chinta hai.",

says Mehak, resting her hand on Kashish's hand.

Kashish smiles sadly.

"Magar mujhe darr hai ke wahan jakar unse jab milungi to Sujal ki yaadein mujhe aur zyada satayengi.",

says Kashish, her eyes well up.

"Kashish, aunty sirf Sujal bhaiya ki hi Ma nahi hain; unhone tumhe bhi apni beti maana hai. To tum unse unki beti bann kar milne jaiye. Tum dekhna Sujal bhaiya ki yaadein tab tumhe utna pareshan nahi karengi. I am sure tumhe iss situation se deal karne ki taakat tab mil jayegi.",

assures Mehak, smiling.

Kashish looks towards Mehak and smiles and nods her head. Mehak smiles back.

"Aur waise bhi aap sub wahan ek hi maksad se honge - Sujal bhaiya ki yaadon se kuch waqt ke liye durr rehne ke liye. I am sure aap sub ek dusre ki madad karoge iss mein. Aur shayad unki yaadon se nikalna aur such ko accept karna tab aap teeno ke liye aur zyada aasaan ho jaye?",

QuiverWhere stories live. Discover now