8.1 Destiny Calls

1K 87 7
                                    

Vansh the famous Vlog creater was requested by his fans to film a vlog for the famous Gopi Mask festival held in the outskirts of Udaipur. He was preparing himself to go visit this festival when Akshara who has just returned to Udaipur after achieving her degree as music therapist came to him and requested to tag along as she wanted a break from the continuous torture that her family as in Bade Papa, Badi Mumma and Mimi were doing at her in the name of Marriage proposal.

Van : Par tu waha karegi kya Akshu? Main to waha busy rahunga vlog banane me. Aise me tu bore ho jaayegi. Kisi friend ko saath le le.

Ak : Bhaiya waha kaun kisko jaanta hai jo mujhe kisi se koi problem hogi. Jaise sab enjoy karenge main bhi kar lungi. Kam se kam yaha ke torture se to azaadi mil jaayegi na.

Van (giggling) : Par tu agar saath rahegi aur wo bhi akeli to mujhe har pal teri tension lagi rahegi.

Ak : Bhaiya aap bhul rahe hai ki main peechle 5 saal se akele hi thi apni degree ke liye. Par aap hai ki mujhe bachhi hi samjh rahe hai.

Van : Agar bachhi nahi hai to kar le na shaadi waise bhi umar ho gayi hai teri.

Ak : Oh please bhaiya main aise shaadi nahi karne wali. Aaj ke date me arrange marriage karta kaun hai? Haa Bade Papa ne option diya hai ki main unhe jise bhi pasand karti hu uska naam bataun par uske liye koi hona to chahiye na. Pune me padhne gayi thi ladke fasane thodi ki kisi ko bhi pakad ke Bade Papa ke saamne khada kar doon. Time to milna hi chahiye. Yaha to aate saath hi mere sar par shaadi naam ki talwaar latak padi hai. Aur abhi umar hi kaha huyi hai meri. 25 ki hi to huyi hu. 1-2 saal me kar lungi na shaadi. Kaha mana kar rahi hu.

Van : Par Akshu is tarah se bhaagne se bhi to kuch nahi hoga na. Abhi maan le festival jaayegi 3-4 din ke liye bach jaayegi. Lekin phir ? Uske baad kya? Bhaagne ki bajaye Bade Papa se baat kar unhe samjhane ki koshish kar.

Kai : Vansh Bhaiya theek keh rahe hai Akshu. Is tarah bhaagna koi solution nahi hai.

Ak : Bhaiya aap kab aaye?

Kai : Main bas thodi der pehle hi aaya tha. Aur Teri baat sun chuka hu. Agar tera jaane ka man hai Mask festival me to chal main bhi tere saath chalunga. Taaki Bade Papa ko tasalli bhi rahe ki tu safe hai aur tu enjoy bhi kar legi. Lekin aate ke saath tu Bade Papa ke saath baat karegi. Is tarah se kab tak bahar bhaag bhaag ke baat ko taala jaa sakta hai.

Ak (happily hugging both her brothers) : Thank you Bhaiya. Thank you , thank you, thank you so much. Mera jaane ka man tha. Aur aapne jo kaha uske baad to ab Bade Papa bhi objection nahi karenge.

Both Kairav and Vansh talked to Manish Goenka (the said bade papa) and took his permission to take Akshu to Gopi Mask festival. Since Kairav was also going so Bade Papa agreed as they know Vansh will be busy in making vlog.

Birla House:

During breakfast time on the table everyone sat and were busy with their breakfast. Some were busy with their discussion about hospital. Abhimanyu was not interested as he only knows to do his work in which he is excellent and famous. At that moment Neil his younger brother started talking to his mother who was sitting on the chair next to him.

Neil : Maa mera ek friend hai Vansh. Wo na YouTube pe vlogs banata hai. Wo bata raha tha ki kal se Udaipur ke outskirts me ek famous festival hone wala hai - Gopi Mask festival. Kehte hai jinki jodi waha pe banti hai na unhe Radha-Krishna ka aashirwad mila hota hai. Aur wo jodi kabhi break nahi hoti hai.

Abhira/Harshali OS Series (Continued)Where stories live. Discover now