7.6 Broken 💔 But Beautiful (B3)

Start from the beginning
                                    

Ab : Akshu baba dekho ek galti huyi thi uski itni badi punishment mat do please. Main khatam ho jaaunga. AbhiRa ki story is mod pe nahi aa sakti. Pyaar to beinteha hai na. Jo bharosa toota hai wo wapas aa jaayega ek chance to de do.

Ak : Jab mujhe khud hi nahi pata ki meri jindagi ka ab kya hone wala hai tumhe kaise ummeed de doon Abhimanyu. Aaj Tak sabne mujhe khud se kam samjha kyu ki maine khud ke baare me kabhi socha hi nahi. Jo dusre decide karte gaye maine unke decision ko apni jindagi maan li. Tum aaye to tumne mujhe support Kiya , hausla diya khud ke liye kuch karne ka, khud ke sapno ko jeene ka aur main pagal bhul gayi duniya me koi bhi cheez life time guarantee ke saath nahi aati. Na hi pyaar na hi support. Kabhi na kabhi kuch aise situations aayenge jab har tarah ke support ko challenge milega aur us waqt jo saath reh gaya wohi apna hai baaki sab delusion hai. Ab tak tum saath hote the to kami nahi hoti thi. Nahi pata tha ki tumhare saath hone ke peeche driving force humesha Manjari aunty hoti thi. Tum har situation ko unki aankhon se dekhte ho. Tumhare saath rehte rehte itna to samajh hi gayi hu tumhe. Jab jab aisa mauka aaya ki Manjari aunty bhi mere khilaf huyi tab tab tum bhi mujhe apne peeche nazar nahi aaye Abhimanyu.

Ab : Akshu aisa nahi hai baba. Main sach me tumpe believe karta hu. Tumhare saath khada hu.

Ak : Chalo tumhe kuch yaad dilati hu. Manjari aunty ka accident. Tumhe private detective se accident ka sach pata chala. Tumne mujhe milne bulaya. Main aa gayi ye soch ke ki tumne mujhe surprise date ke liye bulaya hai. Lekin mujhe kya pata tha surprise to milega mujhe par wo surprise happy nahi hoga. Tum aaye tumne ilzaam lagaye ki main Aarohi ko humesha humare rishte se uper rakhti aayi hu. Aur phir bina meri puri baat sune chale gaye. Agar bharosa hota support hota to kam se kam meri baat to sunte. Tumne nahi suni. Haath chhuda ke chale gaye tum. Agar sach me bharosa karte to mera ye kehna ki mujhe bhi nahi pata tha aur jaise hi pata chala maine tumhe batane ki koshish ki thi ye kehna kaafi hota. Lekin tumne soch liya ki maine Aarohi ko favour karne ke liye tumse baat ko chhupa liya. Us din ke mere panick attack ko bhi bhula diya tumne. Yaad bhi nahi aaya ki itna major attack tabhi aata hai jab aisi situation trigger karti hai jis situation se hum gujar chuke hote hai. Khair tumhe pata nahi tha. Maine us din tumhe tumse raat me baat ki tab bhi humari baat adhuri reh gayi. Lekin meri kismat to dekho sach pata chala bhi to Mahima Mam ko. Aur har baar ki tarah is baar bhi unhone us situation ko tod marod kar apne fayde ke liye use kiya. Aur pahunch gayi mere ghar me police lekar. Agar us din Manjari aunty ne tumhe nahi samjhaya hota to tum to aate hi nahi na Abhimanyu. Aur humari shaadi wo to kabhi huyi hi nahi hoti. Tumhe us din bahut hurt hua tha ki ek baar phir Aarohi ka ilzaam maine apne sar le liya tha. Tum batao aur bacha kya tha mere paas. Tum agar us din nahi aate tab tak to mujhe yahi lag raha tha na ki tumne mujhse rishta tod liya hai aise me aur kya bacha tha mere liye. Us family me rehna jisne aaj tak jab bhi Aarohi ne mujhpe blame lagaya ek baar bhi ek insaan bhi mere saath nahi tha ye kehne ke liye ki Aarohi kuch gadbad huyi hogi beta. Akshu ne aisa nahi kiya. You know what jail jaana manjoor tha lekin sabki nazron me ek baar phir khud ke liye blame dekhna nahi. Tumhe to kho hi diya tha maine. Main maanti hu bahut badi baat thi. Kisi ki maa ke saath wo nahi hona chahiye tha. Par sab ye kyun bhul jaate hai har baar maine bhi Maa khoyi hai dard samajhti hu. Haa Aarohi ko humesha lagta hai ki wo meri apni Maa nahi thi lekin Maa to thi. Attachment aur pyaar sayad apna paraya dekhte ho lekin dil ka rishta to ye sab nahi dekhta na. Unke jaane se dard to mujhe bhi hua hoga. Lekin dikayi sabko Aarohi ka dard diya. Mere dard ka kya? Aur mujhe to yaha bhi double bonanza mila. Do do baar maa ko khone ka dard oh sorry teen baar. To triple bonanza hua hai na? Manjari aunty ko bhi to Maa maana hi tha na unhone bhi mujhpe give up kar diya.

Man : Akshu beta aisa nahi hai beta. Tune apni Maa nahi khoyi hai. Main ab bhi tumhari Maa hu beta. Main give up nahi karungi beta tujhpe.

Ak : Ye pyaar tab kaha tha jab mujhe dhakka maara tha. Doctors ki fàmily hai na. Miscarriage ke waqt ek ladki kin halaton se gujarati hai kisi se chhupi nahi hogi ye baat right. Are meri khud ki body me itne saare changes aaye the but aap sab ne use ignore kar diya aur har taraf har nazar me mujhe sirf apne liye allegations nazar aa rahe the. Phir Maa kaha thi meri? Main maanti hu aapne mujhe Maa ka pyaar dene ki koshish ki lekin Maa ban nahi payi meri. Agar kabhi aisi situation aaye ki Abhimanyu pe koi ilzaam lage to kya tab bhi aap uspe allegations lagayengi sabke saath mil kar ya uske saath khadi rahengi. Khair jaane dete hai waha pahunchne ka mujhe koi haq hi nahi hai. Haq rishton se milta hai. Aur mujhe to rishte me bhi haq nahi mila khud ko defend karne ka ab kya hi milega.

Ab : Akshu baba ek situation ko lekar har rishte ko blame mat karo please. Hum sab maante hai galti huyi hai humse. Aur sab yaha khade hai na tumse maafi maangne ke liye.

Ak : Meri baat to abhi shuru bhi nahi huyi aur abhi hi faisla le liya ki mujhe maaf kar dena chahiye sabko. Aur main hoti kaun hu maaf karne wali main to koi mayne hi nahi rakhti to meri maafi mayne kyu rakhne lagi. Aur maafi chahiye hi kyun. Kya farq pad jaayega. Jaisi jindagi chal rahi hai use waise hi rehne dete hai. Bas Akshu ko apni life se minus hi to karna hai aur usme to sab ab tak habitual ho chuke honge. Itne din ki practice jo hai. Bhul jaao Akshara naam ka koi kabhi aap log ki jindagi me tha bhi. Tum mujhse kehte aaye ho na ki maine apni khushiyon ko humesha peeche rakha hai aur Aarohi ki khushiyon ko aage. Jaante bhi ho kyun? Kyu ki seasoning hi aisi huyi hai meri. Sirat Mumma ne do anaath bachhon ko maa ka pyaar dekar Goenka House pe jo ehsaan kiya uske neeche sab dab gaye. Main bhi. Are mujhe Maa kya hoti hai , unka pyaar kya hota hai ye bhi to unki wajah se hi pata chala na. Mujhe janm dene wali maa to kaisi thi ye jaan ne ka mauka bhi nahi mila. Unke baare me bas Mimi ki kahaniyon se hi pata chala tha. To jab unki death huyi to sabne Aarohi ke dard ko jyada bada maana kyu ki wo uski real mumma thi meri taraf kisi ka dhyaan nahi gaya. Ki maine bhi jab se hosh sambhala hai tab se unhe hi apni Maa ke roop me dekha hai. Kya ek sach ki unhone mujhe janm nahi diya hai wo mere itne din ke emotions pe bhaari pad sakta hai. Lekin sabne use bhi ignore kar diya. Aarohi ne ilzaam lagaya aur sabne maan liya. Mujhse kaha gaya ki Aarohi se door raho. Sirat Mumma ne jaate jaate ek waada liya tha mujhse ki main Aarohi ka khayal rakhu aur maine apni jindagi usi tarah se jee hai. Aarohi ko jo chahiye hota tha main bina kuch soche use deti aayi us waade ke liye. Mujhe aisa lagta tha ki main apna waada nibha rahi hu. Aur meri family me kisi ne mujhe nahi samjhaya ki har ek jid puri karna waada nibhana nahi hota. Isse insaan delusionary ban jaata hai ki wo har cheez chahe wo samaan ho ya insaan jis par humari nazar pad gayi wo agar hume pasand hai to humara hi hai. Aarohi aaj jaisi bhi hai uske peeche hum sab ka haath hai. Abhimanyu ke case me bhi wahi hua. Bahut pyaar karti thi main usse. Jis din Aarohi ka accident hua us din apne pyaar ka izhaar karne hi aayi thi. Lekin tab Aarohi ka accident hua aur us raat jab main uske kamre me gayi aur use hosh aaya to usne mujhse ye kaha ki agar maine Abhimanyu ko accept kiya to wo hum sabse bahut door chali jaayegi. Tumhe pata hai apni jindagi humesha ek gunehgar ki tarah gujarne ka dard kya hota hai. Bachpan se jhelti aayi hu. Aur jaanti thi Aarohi ne jo bola hai wo use pura to nahi lekin aadha adhura jarur karegi. As in apni jid ko pura karne ke liye minor suicidal attempt. Doctor hai na pata to hoga hi ki kitne cut se kitna blood loss hota hai. Use kuch hota to nahi lekin mujhpe ek aur ilzaam ka bojh aa jaata. Aur uske liye to note me ye likhna ki maine Akshu se kaha tha ki mujhe Abhimanyu chahiye aur usne nahi diya to mujhe marna jyada asaan laga ye bahut badi baat nahi thi. Humesha se wahi to karti aayi hai wo. Tum mera pyaar the Abhimanyu lekin uska junoon aur dekho na uska ye junoon hume kaha le aaya. Kahi na kahi tumhare man me bhi ye baat chalti hi rehti hai ki main apni family ko tumse uper rakhti hu.

To be continued.......

Huff bahut likh liya yaar. 24 k words ho gaye hai. Next me aur bhi bahut kuch hoga and here we will see a new Akshu. She will not blame anyone but not let them be guiltless also.

Let's see where does this story goes from here.
Bhar bhar ke pyaar lutana doston jaisa ab tak karte aaye ho is story par.

Thank you in advance. ❤️

Abhira/Harshali OS Series (Continued)Where stories live. Discover now