🍂 Sacchai 1 ✓

1K 83 21
                                    

(Description:-

What if Anubhav was being arrested by Hassena and Karishma during Mission Behrupiya instead of being killed)

It was a dark jail. Jailer guided Hassena and Karishma into darkness towards the cell in which Anubhav was kept. Jailer Finally stopped, both officers stopped too. They saw him in a corner writing something on a paper. Both looked at him with hatred in their eyes, entering the cell. Jailer left after opening the door (as two constables were gaurding the cell). All the while Anubhav didn't looked at them.

Hassena: Jarasi bhi Sharm nahi aayi aapko aapne desh aapne farz ke saath gaddari karte hue. Chand paiso ke liye bech Diya aapne farz ko aapne... Hume toh Sharm aa rahi hai yeh kehte hue bhi ki humne kabhi tumse pyaar Kiya tha. (She said with anger)

He didn't looked at her but chuckled which angered Karishma. She went and held his shirt. Hassena didn't tried to stop her anyway.

Karishma: Anubhav Singh, tumne jo hamare vishwas ki dajjiya udayi haina hum kabhi nahi bhulenge aur na hi kabhi tumko bhulne denge. Yaad rahe puri zindagi jail mein sadayenge tumko.

Anubhav smiled with no other expressions, he concentrated on the piece of paper in his hands.

Anubhav: SI Karishma Singh, jo khud vishwas ki dajjiya uda de unko aaise baatein karna Shobha nahi deta .... (He taunted)

Hassena: Vishwas tumne toda hai Anubhav Singh.... Vaise bhi khair jaane do in baaton ko, pehle yeh batao ki tumhara boss kon hai, jisse tum voh secret agents ki list dene vale the?

He remained silent. This angered Karishma once again, she was gonna hit him but a voice echoed in the whole corridor.

"SI Karishma Singh!", Karishma and Hassena looked towards the source of voice. A lady walked towards them with a bold aura around her. Karishma left his collar and stood beside Hassena. Both shared a confused look.

The lady entered the cell and stood beside Anubhav.

Anubhav: Pallavi ji, aap yaha?

Pallavi: Ha Anubhav. Maine suna ki tumhe Deshdroh ke iljam mein arrest kiya gaya hai. Jaise hi mujhe yeh news mili main turant Agra se yaha aa gayi. Mujhe tumhe iss halat mein dekhkar bohot bura lag raha hai. Aur mujhe yakin hai ki tum nirdosh ho. (She held his hand, Hassena eyed their hands)

Karishma: Ama Bhak! Kon ho tum? Aur yaha kaise ayi?

Pallavi: Tameez Karishma Singh, Tameez se baat kariye, main Anubhav ki lawyer hun. Adv. Pallavi Trivedi...

Hassena: Maaf kijiye ga, lekin ek vakil hokar bhi aap ek criminal aur khas kar ke ek deshdrohi ka case ladengi. Kehna padega ki Aaj kal paise kamane ke liye log kuch bhi kar sakte hai. (she said with hatred filled voice)

Pallavi: Paiso ke liye nahi Hassena Mallik (Hassena looked at her raising her eyebrows) Pyaar ke liye... I'll be frank with you. I love Anubhav! (Hassena shockingly looked at her then Anubhav whose expressions didn't changed) Ha ek baat ka afsos hamesha rahega that Anubhav didn't loved me back, he loved you.... But you couldn't love him enough.

Hassena: Baas! Aap aaise hamare pyaar par sawal nahi kar sakti. Karna hai toh iske pyaar par sawal uthaiye chahe voh hamare liye ho ya fir desh ke liye.

Pallavi: Tch tch tch .... Bachpan se jaanti hun main Anubhav ko, voh jisse bhi pyaar karega usse aapne pure Dil se pyaar karega kyuki Anubhav kabhi bhi asani se pyar mein padne valon mein se nahi hai. Par aapko yeh baat samajhane ka koi phayda nahi hai. Behtar yahi hoga ki aap hume hamare client se kuch baat karne ke liye akela chod de.

Hassena and Karishma left the cell in anger.

Pallavi sat beside Anubhav. A drop of tear fell on the paper. Pallavi was gonna wipe it but Anubhav did it first.

Pallavi: Kyu apne aap ko torcher kar rahe ho Anubhav (she kept her hand on his shoulder) Please Anubhav batao ki sach kya hai? Kyu Kiya tumne Miss Mallik ke Ammi ka kidnap? Kyu Tumne voh pendrive chahiye thi? Batao Anubhav please. Atleast aapni Maa ke baarein mein Socho Jo akeli hai. Pura Mahila Police Thaana tumhare khilaf khada hai lekin voh ek hi hai joh tumhare saath hai. Kaam se kaam uske vishwas ke Liye bata do.

Anubhav looked at her and "Maa" escaped his lips. He got up immediately and drank some water from nearby pot. Pallavi followed him and hugged him from behind.

Pallavi: I know ki iss sab ke piche koi maksad hai. But don't worry main aapni puri jaan laga dungi tumhe yaha se chudane mein. (She broke the hug and Anubhav turned towards her)

Anubhav: Hamara ek kaam karegi aap? (She nodded) Hume hamari Maa se milna hai, kripa karke unhe yaha laengi aap?

Pallavi nodded.

Pallavi: Kal main aunty ko lekar aa jaungi yaha. Jaanti hun unhe bohot taklif hogi aapne bete ko jail mein dekhkar lekin unki ankhen taras gayi hai tumse Milne ke liye. (she smiled weakly) Accha toh main chalti hun dhyan rakhna aapna.

Anubhav nodded. Pallavi left. Anubhav sat on the bench and removed the photo in his pocket. It was his and Hassena's photo shoot.

Anubhav's pov

Thak gaye hai hum Hassena ji, aapne tanne, aapki nafrat sehen karte karte. Kyu kabhi aap hume samajh hi nahi paayi. Ek apradhi ke liye tak aapke jazbaat kayam hai parantu hamare vakt yeh jazbat kyu nahi istemal kar paati hai aap? Behena bhi *he chuckled sarcastically* hum aur Karishma Singh Puri zindagi saath pale bhade parantu Sagai ke dauran unhone hamare bhavnaon ko samjhe Bina hi hamare saar par bandook rakh di. Parantu iss baar Jo bhi hua humne aap dono se apeksha chod di hai. Kadachit dosh kashti ka nahi hai Hassena ji, parantu kashti ne prayant nahi kiya uss dubte insaan ko bachane ka...

Anubhav's pov ended

He tried to tore the photo but couldn't do it.

*******

At Hassena's House,

Hassena locked herself in her room.

Hassena 's pov

Kyu Anubhav? Kyu aapne hamare bharosa haar baar Tod diya? Hum maante hai aapne hume desh ke Khatir dhokha Diya lekin agar aapko apne desh ke liye pyaar tha hi nahi toh kyu hume dhokha Diya apane Desh ka bahana dekar. Anubhav Singh.... Hum kuch bhi maaf kar sakte hai lekin desh se gaddari nahi. Hum tumhe kadi se kadi saja dilvakar rahenge.

Hassena's pov ended.

She wiped her tears and smiled confidently. She eyes the photo frame with photo of AnuSeena during Fake photoshoot. She rested her head over the door and rolled down closing her eyes maybe trying to erase all the memories of her and Anubhav.

**********

Will be continued...

𝑼𝒏𝒊𝒒𝒖𝒆- 𝑺𝒉𝒐𝒓𝒕 𝑺𝒆𝒓𝒊𝒆𝒔, 𝑶𝑺, 𝑻𝑺Where stories live. Discover now